"HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA"
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -1
*Mukhtasar Ta'ruf...*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
*_Ghaus ul waqt Waris e Uloom e Ala Hazrat Jaanasheen e Mufti e Aazam Huzoor Tajushshariah Qazi ul Quzat Fil Hind Sultanul Islam wal Muslimeen Hazrat Allama Mufti Alhaj Asshah Muhammad Akhtar Raza Azhari Al Qadri Barkati Razvi Almaroof Azhari Miya Maddazillahul Noorani_*
1- Unki peshani ki chamak se zulmatein door hoti hai, jis tarah tulue Aaftab se andhera chut Jata hai
2-or Unki Haibat se logo'n ki ankhein jhuk jaati hain
3-Wo Narm Khu hain, unki khaslatein poshida nahi hain, khush khulqi or khush mizaji ne zeenat bakhshi hai
4-Unki sifaat, Sifate Rasool Allah ki Ayina dar hain, unki aadatein wa khaslatein bahot khub hain
5-Dono hath musla dhar barish ki tarah Faiz e Rasa'n hai chahe maal ho ya na ho
6-Wo is Muqaddas giroh ke fard hain jinki Mohabbat deen hai or unka Qurb Nijaat dene waala hai
*Wiladat :-*
Waris e Uloom e Ala Hazrat Jaanasheen e Mufti e Aazam Huzoor Tajushshariah Hazrat Allama Mufti Alhaj Asshah Muhammad Akhtar Raza Azhari Al Qadri ibne Mawlana Ibrahim Raza Jeelani Miya Ibne Hujjatul Islam Mawlana Hamid Raza Ibne Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi 25 Feb 1942 ko Mohalla Saudagaran Bareily Shareef mei Paida hue..
βββββββ
πππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -2
*KHANDANI PAS MANZAR...*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Huzoor Tajushshariah ka Khandan Afghanistan or Kabilae Badhech se Talluq rakhta hai . Moarrois e Aala Shehzaada Sayeedullah Khan Kandahar Hukumat Afghanistan ke Wali Ahed thei. Khandani Ikhtelaaf ki wajah se Kandahar ko tark e watan kar lahaur aaye. Yaha per governor ne sheesha Mehel mei aap ke Qeyam ka intezaam kiya or Darbar Muhammd shah Badshah Delhi ko Ittela kiya or Darbar se shahi Mehmaan Nawazi ka hukm Hukm saadir hua. Phir Shehzaada Sayeedullah khan ne Delhi Baadshah Muhammad shah se jaa kar Mulaqaat ki ,Aap ko badshah ne fauz ka General bana diya or aap ke sathiyo ko bhi fauz me achi jagah mil gayi . Ruhail khand me kuch bagawat ke Aasaar numaya hue to Badshah ne aap ko Ruhail khand ki Darussaltanat Bareily bhej diya taaki waha aman o amaan qayim karein. Aap ke saahabzaade Saadat yaar khan darbar e dehli me wazeer e Mumlikat the unko kalaidi kalamdaan mila tha, unki apni alaahida muher thi .
Hafiz Kaazim Ali khan ke Ahed me Mughaliya Hukumat ka Zawal shuru ho gaya. Har taraf bagawato'n ka shor kr aazadi wa khud Mukhtari ka zor tha. Aap Awadh ki kamaan sambhalne pahunche. Aap ke farzand Mawlana shah Raza Ali khan bareily jinhone 1857 me ehem kirdar ada kiya. Angrez ne unka sar qalam karne ke liye Panch hazaar ke In'aam ka Aylaan kiya tha. Aap ke do farzand Mawlana Mufti Naqi Ali khan Barelvi or Doosre Mawlana Hakeem Taqi Ali khan Barelvi Tawallud Hue, Jinhone Darjano Kitabein likhi.
Mawlana Naqi Ali khan Barelvi ke Teen Farzand Tawallud hue.
1-Aala Hazrat Imam Ahmed Raza khan Qadri Fazil e Barelvi
2-Mawlana Hassan Raza khan Barelvi
3-Mawlana Mufti Muhammad Raza khan Barelvi
Radi Allahu Anhum Ajmayin..
βββββββ
ππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -3
*TASMIYA KHWANI...*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janasheen Mufti e Aazam ki Umar Shareef jab char saal, chaar maah, chaar din ki hui to waalid e maajid Mufassir e Aazam hind Mawlana Muhammad Ibrahim Raza jeelani Miya ne Takribe Bismillah Khwani Munaqid ki or us mei Darussalam Manzar e Islam ke Jumla Talaba ko Daawat di..
Huzoor Muftie Aazam kuddusa sirruhu ne Rasme Bismillah ada karayi or Muhammad naam per Aqiqa hua. Pukarne ka ka Naam 'Muhammad Ismayil Raza'or Urf Muhammad Akhtar Raza tajweez hua...
Huzoor Muftie Aazam ki Sahabzaadi Yani Janashine Mufti e Aazam ki walida Majida ne Talim ka khas khayal Rakha.
Chunke Naana jaan ka Sahih Janashin isi Nawase ke Mustaqbil me Banna tha, or Sari Tawaqquat unhi se wabasta thi. Isiliye Nana Jaan Huzoor Muftie Azam ki Sehar Amooz Duayein bhi aap hi ke haq me nikalti rahi..
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -4
*AlQAAB....*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Jaanashin-e-Mufti-e-Aazam ne 1984 i/1404 h me Surashtar ka Daura farmaya, Virawal ,Porbandar, JaamJaudhpur, Ilatiya, Dhoraji or Jeetpur hote hue 15 august 1984i 1404 h ko Amreeli Tashreef le gaye. Waha Hazaro log Dakhile Silsila hue. Raat 12 baje se do baje tak Jaanashin-e-Mufti-e-Aazam ki Taqreer hui. Or 18 August ko Jonagadh me Bazm-e-Raza ki Janib se ek Jalsa Raza Masjid me Rakha gaya. Jis me Ameer e Shariat Haji Noor Muhammad Razvi Maarfani ne 'TAAJ-UL-ISLAM' ka Laqab diya. Jiski Tayeed Mufti e Gujrat Mawlana Mufti Ahmed Miya ne Aam Jalsa me ki.
Janashin-e-Mufti-e-Aazam ko 'SADRUL MUFATTEEN', 'SANADUL MUFATTEEN' , or 'FAQEEH-E-ISLAM' ka Laqab diya 1984 i 1404 h ne Rampur me Mashoor Aalim e deen Hazrat Mawlana Sayyed Mufti Shahid Ali Razvi Shaikhul Hadees Al Jamiyatul Islamiya Ganj Qadim Rampur ne ek Aam Jalsa me diya.
'FAKHR-E-AHLE-SUNNAT', 'FAQEEH-E-AAZAM',or 'SHAIKH-UL-MUHADDISEEN' ka Laqab 14 Shawwal ul Mukarram 1405 h 1985 i ko Mawlana Haakim Muzaffar Ahmed Razvi Barkati Daata ganj Badayu ne diya. Us ke Alawa Maslan 'TAJUSHSHARIAH' , 'MARZAULULAMA WAL FUZLA' waghaira or Bohat se Alqaab Ulama wa Mashaikh ne diye. Jiski ek Taweel Fehrist hai.
Jam'e Azhar Misr ke Shaikhul Hadees me aap ko 'FAKHR-E-AZHAR' ka khitab 2010 ko Qaahir me Munaqid Taqrib me diya.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -5
*HUSOOLE ULOOME ISLAMIYA....*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janashin-e-Mufti-e-Aazam ne ghar per walida majida ne Quran kareem naazra khatm kiya. Usi dauran walide majid se urdu ki kitabein padhi. Ghar per Talim hasil karne ke baad walid buzurgwar ne darussalam Manzar e Islam me dakhil kara diya. Nahwmeer , Meezan, Munshaib wagairha se Hidaya Akhirain tak ki kitabaein Darul Uloom Manzar e Islam ke Kuhna Mashk Asatiza kiram se padhi.
Huzoor Tajushshariah ne farsi ki ibtedayi kutub pehli farsi ,dusri farsi, Gulzare dabista, Gulistan or Bostan Manzar e Islam ke ustad Hafiz Inaamuallah khan Tasneem Hamidi barelvi se padhi.
1952 i me F.R.Islamiya inter college me dakhila diya. Jaha per hindi or Angrezi ki Taleem hasil ki.
Mufassire hind Kuddusa Sirruhu ke Mureed e khaas Janab Nisar Ahmed Hamidi Sultan puri Marhoom ki koshish se Jamiya Azhari Kahira misr se Arabi Adab me Maharat hasil karne ke liye Fazilatushshaikh Mawlana Abduttawwab Misri ki khidmaat haasil ki gayi thi. Shaikh Sahab Darul Uloom Manzare me dars o Tadrees diya karte the. Unke khas Talamiza me aapka shumar hota tha. Aapka duarane Talib e ilmi Mamul tha ki Alassubah Arabi Akhbarat Ustaad ko sunate or urdu hindi ke Akhbarat ki khabro'n wa Ittela'aat ko arabi zaban me tarjama kar ke sunate.
Aap ke Shaikh sahab badi tawajjoh or inhemak se padhate.
Aap ki zehanat wa Fetanat ko dekhte hue Jamiya Azhar me dakhila ka mashwara Mawlana Ibrahim Raza khan ne diya.
Huzoor Tajushshariah Janashin-e-Mufti-e-Aazam 1963 i me Jamiya Azhar kahira misr Tashreef le gaye .waha aap ne 'Kulliya Usooluddin'(M.A) me dakhila liya Musalsal teen saal tak Jamiya Azhar misr me fane Tafseer o Hadees ke Maahir Asatiza se iktesab e ilm kiya....
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -6
*HUSOOLE ULOOME ISLAMIYA....*
_βContinue.....β_
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Huzoor Tajushshariah bachpan hi se zehanat wa Fetanat or Quwwate Hafiza ke Maalik the. Or Arabi Adab ki dildada the. Jamiya Azhar misr me Dakhila ke baad jab aap ki Jamiya ke Asatiza or Talaba se guftugu hui to wo aap ki be takalluf Fasih o Baligh Arabi Guftugu sun ker Mahwe hariat ho jate the or kehte the ki
" Ek Ajamiunnasal hindustani Arabiunnasal Ahle ilm hazraat se guftugu karne me koi takalluf mehsoos nahi karta "
Jamiya Azhar misr ke Shoba-e-Kulliya-Usooluddin ka salana imtehan agarche tehreeri hota tha. Magar Maalomaat Aamma (General Knowledge) ka imtehan taqriri hota tha. Chunanche Jamiya ke salana imtehan ke Mauqa per jab Janashin-e-Mufti-e-Aazam ka imtehan hua to Mumtahin ne Aapki Jamaat se ilme kalaam ke chand sawaalat kiye.Puri Jamaat me se koi ek bhi sawalaat ke sahih Jawab na de saka. Mumtahin ne Roo-e-Sukhan aap ki taraf karte hue sawalaat ko dohraya. Janashin-e-Mufti-e-Aazam ne unn ke sawalaat ka esa Shafi o Kaafi jawab diya ki Mumtahin Taajjub ki Nigah se dekhte hue kehne laga ki "Aap to hadees wa Usool e Hadees padhte hain, Tab ilm e kalan me kaise jawab diya "
Janashin-e-Mufti-e-Aazam Sayedi Huzoor Tajushshariah ne Jawab me kaha "ki maine Darul Uloom Manzar e Islam Bareily me Ilm e Kalaam padha tha" Aap ke Jawab se masroor ho ker Mumtahin e Jamiya ne aap ko Jamaaf me pehla Maqam diya..
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -7
*ANDAAZ E TARBIYAT....*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Hazrat Tajush'Shariah Ke Walid E Majid Mufassir E Azam E Hind Rehmatullah Alaihi Ne Apki Nashu Wa Numa Bade Naaz Wa Na'am Aur Khusoosi Ehtemam Ke Sath Ki.Daurane Talib'ilmi Apko Takreer O Waaz Ki Tarbiyat Dete The.Ek Baar Walid Majid Ne Apko Kareeb Bulakar Bithaya Aur Farmaya Ki Kal Se Talba(Manzare Islaam)Ko Saiful-Jabbar (Musan'nifa Saifullah Al-Masloom Allama Shah Fazle Rasool Usmani Badayuni)Sunaya Karoge.Apne Arz Kiya Abba Huzoor Abhi Hamari Urdu Bhi Acchi Nhi Hai Farmaya Ki Sab Thik Ho jayegi Ye Kaam Tumhare Zimme Kiya Jata Hai.Aapne Dusre Din Se Hum Dars Talba Ko Jama Kiya Aur Khanqa'e A'aliya Razwiya Ki Chat Par Baithkar *"Saiful-Jabbar"* Ka Dars Shuru Kardiya.Is Tarah Muta'did Bar Saiful-Jabbar Ka Dars Diya Aur Muta'la Kiya,Walid Majid Ke Is se Kayi Maqasid Poshida The,Ek To Aebarat Khwani Behtar Ho Jayegi,Dusri Aqeeda E Ahle Sunnat wa Jam'at Ki Khoob Jankari Hasil Hogi.Teesri Jagh Ye Thi Ke Takreer Wa Kheetabat Karne Me Takal'luf Jijik Khatam Ho Jayegi.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -8
*DAURAN-E-TALIM WALID MAJID KA INKAAR..*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janasheen e Huzoor Mufti E Azam Jab Jama'e Azhar Talim Wa Tarbiyat Hasil Kar Rahe The.Usi Dauran Apke Walid Majid Mufassir E Azam e Hind Maulana Ibrahim Raza Khan Jeelani Barelvi Ka 60 Saal Ki Umr Me 11 Saffar ul Muzaffar 1385 Hijri 12 June 1965. Ko Inteqaal Hogaya Inteqaal ki Khabar Pahunchte Hi Apke Qalb Ko Ghera Sadma Pahuncha.Apke Hum Dars Maulana Shamim Ashraf Azhari(Maurasius)Ne Apke Biradar E Akbar Maulana Rehan Raza Khan Rehmani Miya Ko Tazi'yati Maktoob Likha Aur Apki Kaifiyat Tehreer Ki Hai?Isse Bakhoobi Andaza Hota Hai.Janasheen E Mufti E Azam Ne Ek Taweel Khat Biradar E Akbar Ke Naam Tehreer Kiya Aur Walid Sahab Ke Inteqaal Ki Tafseelat Maloom Ki Aur Ek Taziyati Nazm Bhi Tehreer Farmayi Yah Tamam Chizen Rakimursutoor Mehfooz Hai.
βKisi ke Gum Me Zyada Tadpata Hai Dil
βAur Kuch Zyada Umadata Hai Dil
βHaye Dil Ka Asraa Hi Chala Gaaya
βTukde Tukde Ab Ho Jata Hai Dil
βApne AKHTAR Par Inayat Kijiye
βMere Maula Kiska Behkata Hai Dil
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -9
*AZATEEZA KIRAM..*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Aapke Asateeza Me Kabil Zikr Asateeza Ye Hai
1)Huzoor Mufti E Azam E Hind Maulana Mustafa Raza Khan Noori Barelvi
2)Bahrul-Uloom Hazrat Maulana Sayyed Ashraf Hussain Razvi Mongri
3)Mufassir E Azam E Hind Allama Shah Ibrahim Raza Khan Barelvi
4)Fazeelatush'Shaykh Allama Maulana Muhammad Samahi Shaikul Hadees Wat-Tafseer Jamae'a Azhar Kaheera
5)Hazrat Allama Maulana Mehmood Abdul Gaffar Ustad-ul-Hadees Jamae'a Azhar Kaheera
6)Ustaadul-Asateeza Hazrat Mufti Muhammad Ahmed Urf Jahangir Khan Razvi Azmi
7)Rehan E Millat Hazrat Maulana Rehan Raza Khan Barelvi Rehmani Miya
8)Fazeelatush'Shaykh Hazrat Abdut'tawwab Misri Ustad Manzar E Islaam Barely
9)Mualana Inaamullah Khan Tasneem Hamid Barelvi
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
ππππππ°π°π°π°πππππ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -10
*DARS WA TADRESS:*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Tajush'Shariah Allama Akhtar Raza Khan Azhari Ko 1965 Me Darul Uloom Manzare Islaam Me Dars Dene Ke Liye Pesh Ki Gayi.Aap Ne Us Dawat Ko Qabooliyat Se Sarfarz Kiya.1967 Se Tadrees Ke Mansab Par Fayaz Ho Gaye.Tajush'Shariah Ke Biradar E Akbar Maulana Rehan Raza Khan Barelvi Ne 1978 Sadrul'Mudarriseen Ke A'ala Ahode Par Takreer Kiya.Aur Us Ahode Ke Sath Razvi *Darulifta* Ke Sadar Mufti Bhi Rahe.Dars Wa Tadrees Ka Silsila Musalsal Barah(12) Sal Tak Chalta Raha.Hindustan Geer Tableegi Daur Ki Wajah Se Ye Silsila Kuch Ayyam Ke Liye Munqa'ta Hogaya.Magar Kuch Din Bad Hi Apne Daulat Kade Par Dars O Quran O Hadees Ka Silsila Shuru Kardiya.Jisme Manzar e Islaam,Mazhar e Islaam Aur Jamia Razviya Nooriya Ke Talba Kasrat Se Shirkat Karte.1407 Aur 1408 Hijri Ko Madarsa Al-Jamiatul Islamiya Ganjakdeem Rampur Me Khatme Bukhari Sharif Karaya.1408 Hijri Ko Jamia Farooqiya Bhojpur Zila Muradabad Me Bukhari Sharif Ka If'tiftah Kiya.1409 Hijri Ko Darul Uloom Amjadiya Karachi(Pakistan) Me Bukhari Sharif Ka If'tiftah Farmaya Aur Zil-Hijjah 1409 Hijri Ko Al-Jamiatul Qadriyah Richa Behdi Zila Barely Sharif Me Sharah Bakaya Ka Takweel Sabak Padaya.Ab Tak Mulk Aur Bairoone Mumalik Me Na Jane Kitne Madaris Wazami'at Me Dars E Bukhari Diye Hai .Jamia Farooqia Banaras Me Khatm Bukhari Ke Mauke Par Sahib e Bukhari Aur Akhri Hadees Par Dhaee(2:30) GhantaTakdeer Farmai...
*πPOST JAARI HAI....*
βββββ β
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -11
*KHANDANE RAZA KI FATWA NAWESI*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Khandane Imaam Ahmed Raza Qadri Fazile barelvi ki Muddate fatwa nawesi ka Mandarja zel Jayeza imaan or yaqin ko raushan karta hai. Hazrat Mawlana Raza Ali khan ki fatwa nawesi ka Aghaz 1246 h 1831 i Anjam 1282 h 1865 i
Imam Ahmed Raza ki fatwa nawesi ka Aghaz 1286 h /1869 i Anjam 1340 h 1831 i Hujjatul Islam Mufti Muhammad Hamid Raza ki fatwa nawesi ka Aghaz 1338 h 1910 i Anjam 1981 i /1402 hai
BehamdihiTaala ye silsila-e-Zarra'n Jiski Muddat 1408 h 1988 i tak 162 saal hoti hai. Ab bhi khanqahe Aaliya Qadriya Barkatiya Razviya Saudagaran Bareily se Tajushshariah 1967 i se Anjam de rahe hain. Aap Huzur Muftie Aazam Quddusa sirruhul Aziz or Mufti Sayyed Muhammad Afzal Hussain Razvi Mongiri ki zere Nigrani fatwa likhte rahe. Mufti e Aazam Quddusa sirruhu ke paas fatwa ki kasrat ki wajah se kayi kaam karte. Muftie Aazam ne Farmaya :
*"Akhtar Miya ab ghar me baithne ka waqt nahi. Ye log jinki bheed lagi hui hai kabhi sukoon se baithne nahi dete .Ab tum us kaam ko anjam do. Mai tumhare supurd karta hu'n"*
Logo'n se Mukhatib ho kar Muftie Aazam ne farmaya :
*"Aap log ab Akhtar Miya Sallamahu se Ruju karein unhi ko mere qayim maqam kr Janashin janein"*
Usi din se logo'n ka Ruzhaan Tajushshariah ki taraf ho gaya. Aap khud apne fatwa nawesi ki ibteda yu tehreer farmate hain .
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -12
*FATWA NAWESI KA AGHAZ*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
*FATWA NAWESI KA AGHAZ ..*
Janashine Huzoor Mufti e Aazam Allama Mufti Muhammad Akhtar Raza kha Azhari Daamat Barkatuhumul Aaliya ko Allah Ta'la ne Wadiyat ke taur per Ilmo wa Fiqahi salahiyatein or Juziyate fiqhiyya per kamil dastaras, Ilme Quran o Hadees per Mukammal Idraak ata farmaya. Aap ne sab se pehle fatwa 1966 i/1382h me tehreer farma kar Mufti Sayyed Afzal Hussain Mongiri Sadr Darul ifta Manzare Islam ko dikhaya, Aap ne farmaya ki ab maine dekh liya hai Nana Mohtaram ko dikha aayiye Phir aap ne apne Nanajaan Taajdare Ahle Sunnat Huzoor Muftie Aazam Quddusa sirruhu ki khidmat me pesh kiya. Hazrat ne mulahiza farma kar aap se mukhatib ho kar Daad k tehseen or hausla afzayi farmayi or hidayat ki. Ki Darul ifta me aakar fatwa likha kare or Mujhe dikhaya karo. Is se pehle fatwa me sawalat ke shaafi o kaafi jawab diye. Ye istefta Markaze Islam Madinatul Munawwar se aaya tha. Jis me Talaq, Nikah, Meeras, se mutalliq Sharaiya Dariyaft kiye gaye the. Aap ne Tafseel wa Baraheen ke sath fatwa ko Muzayyan kar ke Ustaz e Mohataram or Nana Jaan se Daad o Tehseen Hasil ki..
Nabira-e-Ustaz-e-zaman Hazrat Mawlana Habib Raza khan Barelvi kehte hain ki. -
"Kabhi-Kabhi Naaga ho jaata tha to Hazrat ki Ahliya Mohtarma Peerani Amma sahiba Alaihrrehma daryaft Farmati ki aaj Akhtar Miya nahi aye hain. Un se kaho rozana aaya kare. Hazrat in ko bohat Pasand farmate hain"
Huzoor Tajushshariah jab bhi fatwa ki islaah ke liye Hazire khidmat hote to Hazrat aap ko apne Qarib bithate fatawa mulahiza farmate or zarurat ke tehet kch izafa ya tarmeem o tadleel farma kar dastakahat farma de ye Mamool Barso'n raha .or Hazrat ke Ayyame Alalat me daftari kaamo,Darululoom Mazhare Islam or Sanade Khilafat o ijaazat per dastakhat karne or muhar ki tamam zimmedariya aap ke supurd farma di thi.
Jisko aapne ne bahusno khubi anjam diya. Aap khud apni fatwa nawesi ki ibteda yu tehreer farmate hain
"Mai Bachpan se hi Hazrat (Muftie Aazam) se Dakhile Silsila ho gaya hu, Jamiya Azhar se waapsi ke baad maine apni dilchaspi ki bina per fatwa ka kaam shuru kiya. Shuru shuru me Mufti sayyed Afzal Hussain sahab Alaihirrehma or Dusrw Muftiyane kiram ki nigrani me Mai ye kaam karta raha. Or kabhi kabhi Hazrat ki khidmat me hazir ho kar fatwa dikhaya karta tha .kuch dino ke baad us kaam me meri dilchaspi zyada badh gayi or phir me Mustaqil Hazrat ki khidmat me Hazir hone laga. Hazrat ki tawajjoh se Mukhtasar muddat me us kaam me mujhe wo Faiz hasil hua ki jo kisi ke paas Muddato baithne se bhi nahi hota. "
*[Maahnama Isteqamat Kanpur page no 151 RajabulMurajjab 1403 h 1983 i]*
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -13
*FATWA NAWESI KA AGHAZ*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
*Huzoor Tajushshariah ne Raqimussutoor ke ek sawal ke jawab me farmaya ki :*
Maine Darul Uloom Manzar e Islam me padha or Jamiya Azhar me bhi padha, shuru se hi mujhe Mutala ka bohat shauq tha apni darsi kitabo ke alawa shuruh wa hawashi or gair mutalik kitabo ka rozana kasrat se mutala krta. Or khas khas chizo ko dairy per note kar liya karta tha. Uske alawa sab se Ahem bat ye hai ki mujhe jo kuch bhi mila wo Huzoor Mufti e Aazam e Alame Islam Quddusa sirrahu ki sohbat wa istefada se hasil hua. Unke ek ghanta ki sohbat istefsaaraat or istefada salo ki mehnat wa mushaqqat per bhari padte the. Mai aaj har jagah Huzoor Mufti e Aazam Ke ilmi wa roohani faizan paata hu. Aaj jo meri Haisiyat hai wo Unhi ki sohbate kimiya ka sadqa hai
Taqriban 24 saal se musalaal Muftie Aazam Quddusa sirruhu ke us mansab ko Bahusn o Khubi anjam de rahe hain
Huzoor Tajushshariah ke fatawaa iksaaye Aalam me sanad ka darja rakhte hain. Ek Andaze ke Mutabiq ta dam tehreer fatawa registero ki taadad 31 se mutjawaz ho gayi hai
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -14
*MARKAZI DARUL IFTA KA QAYAM .*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
1981 Me Taajdar E Ahle Sunnat Huzoor Mufti e Aazam Quddusa sirrahu Ke inteqal Ke Baad Ala Hazrat Imaam Ahmed Raza Qadri Fazile Barelvi ka Daulat Kada (Jaha Tajush'Shariah Ki Mustaqil Sukunat Hai) Markazi Darul Ifta Ki Buniyad Dali.
1982 Me Ghar Par Hi Masail Ke Jawabat Inayat Farmate the.
Bazabta Taur Par Kisi Idara Ki Buniyad Nhi Padi Thi .Magar Ulama Wa Mashaikh Wa Awaam e Ahle Sunnat Ka khayal Karte Hue "Markazi Darul Ifta" Ke Qayam Ka Faisla Kiya.
Us Waqt Hazrat Rozana Darul Ifta Me Jalwa Afroz Hote Aur Aapne Maulana Mufti Qazi Abdur Rehman Bastavi,Maulana Mufti Nazim Ali Qadri Barabanki,Maulana Mufti Habeeb Raza Khan Barelvi Ko Mufti Ki Haisiyat Se Markazi Darul Ifta Me Muqarrar Farmaya.
Fatwa Ko Register Me Naql Ki Khidmat Ke Liye Maulana Abdul Wahid Khan Barelvi ko Mamoor Kiya Gaya.Maulana Abdul Wahid Barelvi Marhoom ne 1983 se 2005 Tak Fatwe Ki Naql ka Kaam Kiya.Aaj Markazi Darul Ifta Me Maulana Ke Hath Se Mundarja Fatwa Ke 80/ Register Honge.Maujooda Waqt Me Markazi Darul Ifta Se Jari Fatwe Ki Haisiyat Mulk Aur Bairone Mumalik Me Harfe Akhir Ke Darja Me Hai.
.Jis Masnad Ifta Ki Buniyad Mujahide Junge Azadi Maulana Mufti Raza Ali Khan Barelvi Rehmatullah Alaihi Ne Rakhi Thi Woh Aaj Tak BaRaunaq Hai.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -15
*AZDWAJI ZINDAGI:*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janasheen E Huzoor Mufti E Azam Ka Aqde Masnoon Hakeemul Islaam Maulana Hasnain Raza Khan Barelvi Alaihirrehma Ki Dukhtare nek Akhtar Saleh Seerat Ke Sath 3 November 1968 Me Shabanul Muazzam 1388 Hijri Baroz Itwar Ko Mohalla Kankar Tola Purana Shaher se Hua.
Jinse Filhal Ek Shahabzada Makhdoome Girami Maulana Asjad Raza Qadri Barelvi Aur Paanch(5) Shahabzadiya'n Tawallud Hue.
Jinme Sabki Shaadiya'n Ho Chuki Hai.
Allah Tabarak Wa Ta'ala Apki Aulad Amjad Ko Salfe Saliheen Aur Khandane Raza Ka Namuna Banaye Aur Shahabzade Girami Ko Walid Buzurgwar Tajush'shariah Ka Sahi Mano Me Janasheen Aur Qayam Makam Banaye (Ameen).
*HAJ WA ZIYARAT:*
Tajush'shariah Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Ne Pehla Haj 1403/4 September 1983. Dusra Haj 1405/1985 Aur Teesra Haj 1406 Hijri Me Ada farmaya Aur Mutad'did Bar Umrah Se Bhi Faizyab Hue.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -16
*NASBANDI KE KHILAF FATWA:*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Shrimati Indra Gandhi Sabik Wazeer E Azam Hind Ka Mijaaz Amrana tha Unke Daure Iqtedar Me Awaam Par Zulm o Jabr Kiya Gaya,Congress Party Ki Sari Quwwat Ka Nuqta,Irtikab,Sirf O Sirf Indra Gandhi Ki Zaat thi.
Unhone Bila Shirkat Gair Iqtedar Par Apni Giraft Qayam Rahkne Ke Liye Hi Kiya Tha.Wo Siyasi Mukhalifeen Ko Be-Dardi Se Kuchal Dene Ke Liye Sakht Se Sakht Ikdaam Karne Me Koi Hichkichahat Mehsoos Nhi Karti Thi.
Indra Gandhi Ke Sath Unke Bete Shri Sanjay Gandhi Ka Tana Shahi Pase Pusht Kaam Kar Raha tha.1975 Me Pure Mulk Me Hungami Halat Ka Ailaan Kar diya gaya.Tamam Shehriyo Ke Bunyadi Huqooq Salb Karliye Gaye.Raqibo Ko Qaid E Salasil Me Jakad Kar Nazre Zinda Kardiya Gaya.*"MISA" Jaise Jabir Kanoon Ka NafisulAlam Kardiya Gaya.In Tamam Halat Ke Sath Hi Do(2) Se Zyada Bachcha Paida Karne Par Sakhti Se Pabandi Ayid Kardi Gayi Aur Un logo Par Nasbandi Karna Zaroori Qarar De diya.
Police Awaam Ko Jabran Pakad Pakad Kar Nasbandi Kar Rahi Thi. Isi Isna Me Nasbandi Ke Jawaz Ya Adme Jawaz Par Sharai Nuqtae Nazar Janne Aur Amal Karne Ke Liye Darul Ifta Bareily Se Awaam Ne Ruju Karna Shuru Kar Diya.Dusri Taraf Deoband Ke Darul Ifta Bareily Se Qari Muhammad Taiyab Mohtamim Darul uloom Deoband Ne Nasbandi Ke Jaiz Hone Ka Fatwa De Diya.Mulk Ki Hejazi Kaifiyat Aur Ummat E Muslimah Me Inteshar Ko Dekhte Hue Jabir Wa Zalim Hukmaran Ke Khilaaf Taajdar E Ahle Sunnat Huzoor Mufti E Azam Qudas'sirrahu Ke Hukm Par Tajush'Shariah Ne Nasbandi Ke Haram Wa Najaiz Hone Ka Fatwa Sadir Farmaya.
Is Fatwe Par Huzoor Mufti E Azam Ke Elawa Hazrat Maulana Mufti Qazi Abdur Rehman Bastavi,Maulana Mufti Riyaaz Ahmed Siwani Ke Dastakhat Hai.
Fatwe ki ita'at Ke Bad Hukumat Ne Is Baat Ke Liye Dabao Dala Ki Ye Fatwa Wapas Liya Jaye Magar Hazrat Ne Fatwe Se Ruju Karne Se Inkaar Kardiya Aur Numaindagane Hukumat Se Saaf Saaf Keh Diya Gaya Ki "Fatwa Quran O Ahadees Ki Rushni Me Likha Gaya Hai Kisi Bhi Soorat Me Wapas Nhi Liya Ja Sakta".
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -17
*Haq Goi Wa Be Baaqi:*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Allah Rabbul Izzat Ne Janasheen e Mufti E Aazam Ko Jin Gonaho'n aur Sifat Se Mustafiz Kiya Hai. In Sifat Me Ek Haq Goi Aur Be Baaki Hai. Aap ne Kabhi Bhi Sadaqat Wa Haqqaniyat Ka Daman Hath Se Nhi Choda.Chahe Kitne Hi Maslihat Ke Taqaze kyu Na Ho. Chahe Kitni Hi Qiad O Band Masaib o Aalam aur Hatho Me Hathkadiya'n Pehanna Padi Kabhi Kisi Ko Khush Karne Ke Liye Uski Manshaa Ke Mutabiq Fatwa Nhi Tehreer Farmaya.Jab Likhi Koi Fitri Tehreer Farmaya To Apne Aslaaf Wa Apne Aaba O Ajdad Ke Kadame Takad'dum Hokar Tehreer Farmaya.Jis Tarah Jadde Amjad Imaam Ahmed Raza Fazile Barelvi Aur Huzoor Mufti E Azam Maulana Mustafa Raza Khan Noori Ne Bekhauf o Khatar Fatwe Tehreer Farmaye.Isi Tarah Apne Ajdad Ke Naqshe Kadam Par Chalte Hue Janasheen e Mufti E Azam Nazar Ate Hai.Is Haq Goi Ke Shawaheed Aaj Apke Hazaro Fatawa Hain Jo Mulk Aur Bairune Mulk Faile Hue Hai.
βββββββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -19
*Saudi Hukumat ka zulm Huzoor Tajushshariah ki zabani*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
31 Agust 1968 Shab Me 3 Baje Achanak Saudi Hukumat Ke CID Aur Police Ke Log Meri Qiyaam Gah Par Aye Aur Mujhe Bedar Karke Passport Talab Kiya Aur Fir Mere Saman Ki Talashi Ka Mutalba Kiya.Mere Sath Meri Parda Nasheen Biwi Thi.Meine Unhe Bathroom Me Bheja.Fir CID Ne Bahar Se Bathroom Ko Mukfal Kardiya.Aur Fir Wo Log Sipahiyo Ke Sath Mere Kamre Me Dakhil Hue.Mujhe Revolver Ke Nishaane Par Harkat Na Karne Ki Warning Di.Mere Saman Ki Talashi Li.Mere Pass Hazrat Maulana Sayyed Alawi Maddazillahu Ki Di Hui Chand Kitabein Aur Kuch Kitabein Ala Hazrat Ki Aur Dalail Ul Khairat Thi.Un Tamam Kitabo Ko Apne Kabze Me Liya.Mujhse Telephone Ki Dairy Mangi.Jo Mere Pass Na thi.Mera,Meri Biwi Aur Mere Sathiyo Ka Passport Ticket Aur Wo Kitab Hamara Le Kar Mujhe CID Office Laye.Aur Ek Ke Bad Digar Mere Rafqa,Mehboob,Yakoob Ko Bhi Utha Laye.Mujse Rat Me Rasmi Guftagu Ke Bad Pehla Sawal Yah Kiya Ki Aapne Juma Kaha Padha.Meine Kaha Me Musafir Hu Mere Upar Juma Farz Nhi.Lihaza Meine Apne Ghar Me Zohar Padi.Mujhse Pucha Ke Tum Haram Me Namaz Nhi Padte Ho??Meine Kaha Me Haram Se Door Rehta Hu Haram Me Tawaf Ke Liye Jata Hu Isliye Me Haram Me Namaz Nhi Pad Sakta.Mujhse Kaha Ki Aap Q Nhi Apne Mohalla Ki Masjid Me Namaz Nhi Padte.Meine Kaha Ki Bahot Se Log Hai Jinhe Me Dehkta Hu Ki Wo Mohalle Ki Masjid Me Namaz Nhi Padte Aur Bahot Logo Ke Mutalliq Mujhe Mehsoos Hota Hai Ki Wo Sire Se Namaz Hi Nhi Padte To Mujhse Hi Q Baj purs Karte Hai.Mujhse Fir Bhi Israar Kiya Gaya To Meine Kaha Ki Mere Mazhab Me Aur Aap logo Ke Mazhab Me Ikhtilaf Hai Aap Hambli Keh Late Ho Aur Me Hanfi Hu Aur Hanfi Muktadi Ki Riayat Gair Hanfi Imaam Agar Na Kare To Hanfi Ki Namaz Sahi Nhi Hogi.Is Wajah Se Me Namaz Alahida Padta Hun.Mujhse Hazrat Allama Sayyed Alawi Maddazillahu Ki Kitabo Ke Mutalliq Pucha Ki Yah Tumhe Kaise Mili??Yeh Kitabein Unhone Mujhe Chand Roz Phele Di Hai.Jab Me Unse Milne Gaya Tha.Mujhse Sawal Kiya Kya Ye Pehli Mulakat Thi.Meine Kaha Ha,Ye Pheli Mulakat Thi.Ala Hazrat Imaam Ahmed Raza Fazile Barelvi Ki Chand Kitaben Dekh Kar Jo Naat Aur Masail Ke Mutalliq Thi Pucha Unse Tumhara Kya Rishta Hai? Meine Kaha Ki Wo Mere Dada The.Us Mukhtasar si Enquiry Ke Bad Mujhe Rat Guzar Jane Ke Bad Fajr Ke Waqt Jail Bhej Diya Gaya.Das(10) Baje Fir CID Se Guftagu Hui Usne Mujhse Pucha Ki Hindustan Me Kitne Firqe Hai.Maine Shia,Qadyani Wagaira Sab Firqe Ginaye Aur Meine Wazeh Kiya Ki Imaam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi Ne Qadyaniyo Ka Rad Kiya Hai.Aur Uske Rad Me 6 Risaale
βββββββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -20
*Huzoor Tajushshariah ki zabani*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Hum Par Kuch Log Ye Tohmat Lagate Hai Aur Apko Ye Bataya Hai Ki Hum Aur Qadyani Ek Hai Yeh Galat Hai Aur Wohi Log Barelvi Kehte Hai Jise Wahem Hota hai Barelvi Kisi Naye Mazhab Ka Naam Hai.Aisa Nhi Hai.Balki Hum Ahle Sunnat Wa Jamat Hai.
CID Ke Puchne Par Meine Bataya Ki Imaam Ahmed Raza Fazil e Barelvi Ne Kisi Naye Mazhab Ki Buniyad Nhi Dali Balki Unka Mazhab Wohi Tha Jo Sarkar Muhammad Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Aur Sahaba Aur Taba'in Aur Har Zamane Ke Saliheen Ka Mazhab Hai.Aur Yah Ki Hum Apne Apko Ahle Sunnat Wa Jamat Kehelwana Hi Pasand Karte Hai.Aur Hume Is Maqsad Se Barelvi Kehne Ki Hum Kisi Naye Mazhab Ke Pairokar Hai Hum Par Bohtan Hai.CID Ke Puchhne Par Meine Wahabhi Aur Sunni Ka Farq Mukhtasir Taur Par Wazeh Kiya.Meine Kaha Ki Wahabhi Huzoor Alaihis'Salatu Wa Salam Ke Ilme Gaib Aur Unki Shafa'at Aur Unse Tawassul Aur Istimdad Aur Unhe Pukarne Ke Munkir Hai.Aur Un Umoor Ko Shirk Batate Hai.Jabki Hamara Yeh Aqeedah Hai ki Huzoor Alaihi Salatau Wa Salam Se Tawassul Jaiz Hai.Aur Unhe Pukarna Bhi aur Yeh Bhi Ki Wo Sunte Bhi Hai Aur Allah Ke Bataye Se Gaib Ko Bhi Jante Hai.Aur Allah Ne Unko Shafa'at Ka Mansab Ata Farmaya Aur Ilm E Gaib Par CID Ke Puchhne Par Ayat E Quram Se Meine Daleel E Qayam Ki.Aur Sabit Kiya Ki Nabuwat It'tala-Al-Gaib Hi Ka Naam Hai.Aur Nabi Wohi Hai Jo Allah Ke Batane Se Ilm e Gaib Ki Khabar De.Aur Yeh Ke Nabi Ke Waste Se Har Momin Gaib Janta Hai Jaise Ki Quraan Muqaddas Me Mansoos Hai.CID Ke puchhne Par Meine Bataya Ki Sarkar Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Ke Bad Wisal Sabhi Gaib Ki Khabar Hai.Isliye Ke Sarkar Sallallahu Ta'ala alaihi Wa Sallam Ki Nubuwat Baki Hai Aur Nubuwat Gaib Janne Ko Hi Kehte Hai.Aur Yeh Ki Ayato Me Aisi Qaid Nhi Hai Ki Jisse Ye Zahir Ho Ki Bad Wisaal Sarkar Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Ilm e Gaib Nhi Jante.Ek Aur Nashisht Par CID Ke Mutalbe Par Meine Tawassul Ki Daleel Me ........@@ Ayat Padi Aur Ye Bataya ki Sarkar Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Ke Tawassul Minjumla Aamal Saleha Hai.Aur Yeh Ki Kisi Aamal Ka Saleh Hona Aur Wasila Hona Is Shart Par Maukuf hai Ki Wo Maqbool Ho Sarkar e Risalat Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Bila Shubha Maqbool Bargah e uloohiyat Hai,Aur Balki Sayyadul Maqboolin Hai.To Unse Tawassul Badarja'e Ulaa Jaiz Hai Aur Tawassul Shirk Nhi...
βββββββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -21
*Huzoor Tajushshariah ki zabani*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
CID Ke Puchhne Par Meine Mazeed Kaha Kisi Se Us Taur se Madad Mangna Ke Allah Ke Siwa Usko Mustaqil Aur Fa'il Samje Shirk Hai Aur Hum Is taur Par Kisi Se Madad Mangne Ke Qail Nhi Hai.Ha Allah Ki Madad Ka Waseela Jankar Kisi Maqbool Bargah Se Madad Mangna Hargiz Shirk Nhi Hai.CID Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Kaha ki Hum Me Aur Wahabiyo Me Yeh Farq Hai Ki Wo Humse Tawssul Wagairah Umoor Ki Bina Par Kafir wa Mushrik Batate Hai Lekin Hum Unko Mahez Is bina Par Kafir O Mushrik Kehte Hai(Yani Uske Wazuhat Aur Hai).
Dusre Din Mere Us Bayanat Ki Raushni Me CID Ne Mere Liye Ek Iqraar Nama Usne Khud Likh Kar Mujhe Sunaya Jo Yun Tha.Me Fala(n) Ibne Fala(n) Barelvi Mazhab Ka Matia Hu Meine Aeteraz Kiya ki Me Barha Ye Keh Chuka Hu Barelvi Koi Mazhab Nhi Hai. Aur agar Koi Naya Mazhab Banaam Barelvi Hai to Usse Me Bari Hun.Aage Ikraar Name Me Usne Yun likha Ki Me Imaam Ahmed Raza Khan Ka Pairav hu aur Barelviyon Me Se Ek Hun Aur Hamara Aqeeda Hai Ki Sarkar Se Tawassul Istigaasa Aur Unko Pukarna Jaiz Hai.Aur Sarkar Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Gaib Jante Hai.Aur Wahabhi Un Umoor Ko Shirk Batate Hai Aur Yah Ki Me Unke Pichhe Is Wajhah Se Namaz Nhi Padta Hun Ki Hum Sunniyo Ko Mushrik Batate Hai.Ikraarname Ke Akhir Me Mere Mutalbe Par Usne Ye Izafa Kiya Barelviyat Koi Naya Mazhab Nhi Hai aur humlog Apne Aap Ko Ahle Sunnat Wal Jama'at Kehalwana Hi Pasand Karte Hain.Fir Mukhtalif Nashishto Me Bar Bar Wohi Sawal Dohraye.Bad Me Mujhse Mere Safar London Ke Bare Me Puchha.Aur Kaha Kya Aapne Waha Kisi Confrence Me Shirkat Ki Hai.Meine Jawab Diya Confrence Hukumat Ke Paymane Aur Siyasi Sat'tah Par Hoti Hai Humlog Na Siyasi Hai,Na Kisi Hukumat Se Hamara Rabta Hai.
CID ke Puchhne Par Meine Bataya Ki london Ke Us Ijlaas Me Jis Me Sharik Tha.Banam Barelviyat Masail Par Mubahisa Na Hua.Balki Ittehadi Islaami Aur Tanzeemul Muslimeen par Takreer Hue aur Jalse Ka Kharch Waha Ke Sunni Musalmano Ne Uthaya Aur Usi Me Yeh Mutalba Kiya Gaya ki Imaam Ahmed Raza Fazile Barelvi Ke Pairav Ahle Sunnat Wal Jama'at Ka Rabta Aalame Islaami Numaindagi Di Jaye.Jis Tarah Nadviyo Wagairah Ko Rabta Me Numaindagi Hasil Hai.
βββββββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -22
*Huzoor Tajushshariah ki zabani*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
CID Ke Puchhne Par Meine Bataya Ki Ye Tajweez Bil'ittefaaq Rai Paas Ho Gayi Thi.Teesri Nashisht Me Jab Do Nashishto Ki Tafteesh Khatam Ho Chuki aur Mera Iqraar Nama Khud Tayyar Kar Chuke to Mujhse Ek Bade CID Officer Ne Kaha Ki Me Aapka Apke ilm,Umr Aur Shaksiyat Ki Wajhah Se Ehteram Karta Hu Aur apko Makhsoos Aukat Me Duao Ka Talib Hun.Giraftari Ka sabab Mere Puchhne Par Usne Bataya Ke Aap ka Case Mamooli Hai.Warna Us Waqt Jab Sipahi Apko Hathkadi Dalkar Apko Laya Tha Me Apki Hathkadi Na Khulwata.
Mukhtsar Ye Ki Musalsal Sawalat Ke Bawajood Mera Jurm Mere Bar Bar Puchhne Ke Bad Bhi Mujhe Na Bataya,Balki Ye Kehte Rahe Ki Mera Muamala Ehmiyat Nhi Rahkta Lekin Uske Bawajood Meri Rihai Me Takhir Ki Aur Izhar Jurm Mujhe Madina Munawwara Ki Haziri Se Maukoof Rakha Aur Gayrah(11) Dino Ke Bad Jab Mujhe Jeddah Rawana Kiya Gaya To Mere Hath Me Jeddah Airport Tak Hathkadi Pehnayi Rakhi Aur Raste Me Namaz E Zuhar Ke Liye Mauka Bhi Na Diya Gaya.Us Wajah Se Meri Namaz Zuhar Qaza Ho Gayi.
βββββββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -23
*Bainallakwami ehtejaji muzahiri*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
September 1986i 1407 hijri me dauran haj Janasheen-e-Mufti-e-Aazam ko hukumat saoodi arab ne makka mukarrama me bila jurm sirf Galba-e-Najdiyat ki khatir giraftar kar ke gyarah din tak qaid o band me rakha .or majid sitam ye ki unhe Dayare Habibe Paak SalAllahoAlaihi wasallam ki haziri se bhi mehroom kar diya. Lekin Janasheene Huzoor Muftie Aazam apne Moqaf or Maslak per Qayem rahe or unke paye sibat me laghzish nahi payi.
Aap ki giraftari se Aalam e Islam me gham o ghussa ki ek leher daud gayi thi. Or na sirf Hindustan balki bairune hind beshtar islami or ghair islami mumalik me sawade Azam Ahle sunnat ke ehtijajat ka lamba silsila shuru ho gaya tha .Akhbarat wa rasayil ne bhi Janashin-e-Mufti-e-Aazam ki us be ja giraftari ki mazammat ki. World islamic mission bartaniya, raza academy mumbai, sunni jamiatul ulama, jamia Ulamaye islam pakistan or choti badi anjumano wa jamato ne zabar dast ehtejaji muzahire pure barre saghir me kiye. Or Hukumat e saoodi se maafi ka mutalba kiya..
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -24
*SHAH FAHAD, SHAHZADA ABDULLAH OR TURKEY IBNE ABDUL AZEEZ SE MULAQAT*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janashine Huzoor Mufti e Aazam ki giraftari ke rade amal per qayideene millat ne london me saudi hukumat ke badshah shah fahad, shehzada Abdullah (maujoodah badshah) or turkey ibne Abd Al Azeez wazir e mamlakit se taweel Mulaqatein ki. Jin me Allama Arshadulqadri Mawlana Abdussattar khan niyazi, Mawlana shah Ahmed noorani, Mawlana Sayyed Ghulamussayyedain, Mawlana Shahid Raza nayeemi, Shah Muhammad Jeelani siddiqui, Mawlana yunus kashmiri, Mawlana Abdulwahhab siddiqui, or Shah Faridul haq or digar Ulamae Ahle Sunnat ne Humurane Saudiya ko pur zor andaz me giraftari per ehtejaj darz karaya. Or Haramain shareefain me har Maslak ke logo ko apne Aqide ke mutabiq namaz padhne or digar arkan karne per mutalba kiya, jis per un serbarahne mamlukat ko fauran manzoor kar liya or ummate muslimah ke liye saudi hukumat ne ek Aylan jaari kiya ki :
"Haramain Shareefain me har Maslak wa Mazahib ke log ab Aazadaana apne taur o tariqe se ebadat karenge. KANZUL IMAAN per Pabandi mere hukm se nahi lagayi gayi hai., mujhe is ka ilm bhi nahi hai.. Ab milaad ki muhafil Aazadana tariqa per hongi. Kisi per musallat nahi kiya jayega. SUNNI HEJAAJ E KERAM ke sath koi zyadti na hogi. "
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -24
*SHAH FAHAD, SHAHZADA ABDULLAH OR TURKEY IBNE ABDUL AZEEZ SE MULAQAT*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janashine Huzoor Mufti e Aazam ki giraftari ke rade amal per qayideene millat ne london me saudi hukumat ke badshah shah fahad, shehzada Abdullah (maujoodah badshah) or turkey ibne Abd Al Azeez wazir e mamlakit se taweel Mulaqatein ki. Jin me Allama Arshadulqadri Mawlana Abdussattar khan niyazi, Mawlana shah Ahmed noorani, Mawlana Sayyed Ghulamussayyedain, Mawlana Shahid Raza nayeemi, Shah Muhammad Jeelani siddiqui, Mawlana yunus kashmiri, Mawlana Abdulwahhab siddiqui, or Shah Faridul haq or digar Ulamae Ahle Sunnat ne Humurane Saudiya ko pur zor andaz me giraftari per ehtejaj darz karaya. Or Haramain shareefain me har Maslak ke logo ko apne Aqide ke mutabiq namaz padhne or digar arkan karne per mutalba kiya, jis per un serbarahne mamlukat ko fauran manzoor kar liya or ummate muslimah ke liye saudi hukumat ne ek Aylan jaari kiya ki :
"Haramain Shareefain me har Maslak wa Mazahib ke log ab Aazadaana apne taur o tariqe se ebadat karenge. KANZUL IMAAN per Pabandi mere hukm se nahi lagayi gayi hai., mujhe is ka ilm bhi nahi hai.. Ab milaad ki muhafil Aazadana tariqa per hongi. Kisi per musallat nahi kiya jayega. SUNNI HEJAAJ E KERAM ke sath koi zyadti na hogi. "
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -25
*Roz Nama Alehram Kaheera 12/Rabiulawwal 1407 Hijri.Roz Nama jung London 3 March 1987/1407 Hijri,*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Balakhir Qurbani Rang Layi Ahle Sunnat Ke ehtejajat Ne Hukumat Saudiya Ko Yeh Sochne Par Majboor Kardiya aur london Me saudi Farma rawa Shah Fahad Ko yeh elaan Karna Pada ki "Harmain Shareefain me Har Masalak Ke Logo Ko Unke Tareeke Par Ibadat Karne Ki Azadi Hogi".Arkaan World Islamic Mission Bar Taniya Ne London Me Shah fahad Aur unke Bhai Turki ibne Abdulazeez se Mulakat Karke ihktelafi Masail Muzakra Ke Silsila me Guftagu ki,Allama Arshadul Qadri Razvi Ne Sadui Safeer ko bazuban Arbi ek ehtejaaji Memorundum Bhi diya.
21 May 1987 /1407 Hijri ko Saudi Safarat Khana Delhi Se Janasheen e Mufti e Azam Ke Dawlat Kada par Ek phon aya aur Khud Safeer Saudiya ne apse Maafi Mangte Hue ye Khabar Di ki Hukumat Saudi Arab Ne apko ziyarat Madina Munawwara Aur Umrah ke Liye Ek maah Ka Khosoosi viza diya hai
Janasheen e Mufti e azam 24 May 1987/1407 Hijri ko Saudi Flight Se Via Jeddah,Madina Munawwara Pahunche.Saudi Safarat khana Ne Apki Amad Ki Ittela Bazariya Telecas Jeddah Aur Madina Hawai Addo Par De di thi.Saudi Safeer Mister Fawad Sadiq Mufti Ne Is Muamla Me Kaafi Dilchaspi li.Janasheen E Mufti azam Umrah aur Madina Munawwara KI ziyarat Se Musharraf Hokar Saudi Me Solah Roz(16Days) Qayam Ke Bad Watan wapas Aye.Delhi Hawai Adda Aur Bareily Junction Par Hazaro Musalmano Ne Pur Josh Isteqbal Aur Khairmakdam Kiya.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -26
*TAQWA SHIARI:,*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Aaj Kal Peer Faqeer aur Alimo Aur Alimo ke Sath Ird gird Aurto ka hujoom Laga Rehna Aam si baat hai, Jaha dekhiye muh khole chalti firti nazar ayengi. Haya naam ki koi chiz hi baqi nahi reh gyi hai. Magar Janasheen e Huzoor Mufti e Aazam ki taqwa shiari mulahiza farmayein.
1407 hijiri ki baat hai ki Janaan khane me aurtein ziyarat or bayt ke liye hazir hain. Jab aap janan khane me tashreef le gaye to chand aurton ke neqab ulte or muh khule hue the. Aap ne fauran apni ankhein band kar li or farmaya "Neqab dalo, Neqab dalo ,La hawla wa la quwwata illa billahi aliyul azeem "
(π Muftie Aazam or un ke khulafa Jild awwal safa 50
Matbua Raza Academy 1990 iswi)
Sab aurto ne neqabein dal li, Phir baiyt farmaya Shariat ki paasdari ho to aisi ho. Safar chahe jaisa ho, hawai jahaz se ho ya train se ya Gadi se namaz ka waqt hote hi namaz ki adayegi ke liye bechain ho jate hain. Aksar Raqimussutoor ko hukm farmate ki musalla bichao, Namaz padhunga, chahe Airport ho ya station, namaz to qaza nahi hoti. Namaz padhne ki sabhi ko Taqid farmate. Hazrat Raqim se aksar puchte ki namaz Padhi ki nahi. Agar malum ho gaya ki Namaz nahi padhi to sakht naraz hote. Mujhe khoob yaad hai ki 1991 iswibse 2006 tak taqriban 15 saal tak maine Hazrat ke sarh pure mulk ka safar kiya magar namaz Hazrat ki koi qaza nahi hui.
AllahuAkbar
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -27
*Khilafat wa ijazat ki shaandar Taqrib :*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janasheen-e-Mufti-e-Aazam Allama Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Azhari Barelvi ki khilafat wa ijazat ki taqrib, ek haseen or shandar Taqrir thi. Darul Uloom Mazhare Islam Bareily ke seh roza ijlaas 13/14/15/January 1962 iswi 6/7/8 Shaban ul Muazzam 1381 hijri ki sadaarat or sarparasti Taajdare Ahle Sunnat Huzoor Mufti e Aazam Quddusa sirruhu ne farmayi,
Huzoor Muftie Aazam Quddusa sirruhu ne Mawlana Sajid Ali khan barelvi Mohtamim Darul Uloom Mazhare Islam ko hukm diya ki 15 January 1962 iswi ko 8 Shabanul Muazzam 1381 hijri ki subah 7 baje ghar per Mehfile Meelad Shareef ka ineqad kiya jaye. Meelanld khwa'n Hazraat Ulama wa Mashaikh or Talabae Madaris wa Fariguttahseel hone wale Talaba ko Dawate shirkat de di jaye
Shadeed sardi ke mausam me kayo Hazar logo ne Meelad Sharif me Tashreef laaye or Tajushshariah Allama Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Azhari ko bulwaya, Apne qarib bithaya, Dono hath apne hatho me le kar Jameeye Salasul Aaliya, Qadriya, soharwardiya, Naqshbandiya,Chistiya or Jamee salasul Ahaadees musalsal Bilawwaliyat ki ijazat o khilafar se sarfaraz farmaya, Tamam Awrad o wazaif ,Aamal o Ashgal, Dalaeelulkhairat shareef, Hazbulbahar, Taweezat wagairah wagairah ki Ijazat marhamat farmayi..
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -28
*Khilafat wa ijazat ki shaandar Taqrib :*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Is Mauke Par Mujahid E Millat Maulana Habeebur Rehman Abbasi Raees Azam Odisha,Burhan e Millat Mufti Burhan Ul Haq Jabalpuri,Maulana Khaleel Ur Rehman Muhaddid Amrohvi,Allama Mudhtaq Ahmed Nizami Alhabaad,Mufti Nazeerul Akram Naeemi Muradabadi Maualana Muhammad Haseen Sambhli,Maulana Anwar Ahmed Shahjanpuri,Maulana Qazi Shamsuddin Jafri Jaunpuri,Maulana Kamal Amhed Tuslhipuri,Maualana Shaban Ali Hubbani Gondvi,Sufi Azeez Ahmed Barelvi Wagaira Jaise Aur Bhi Jayyad Aulma Wa Mashaikh Maujood The.Sabhi Hazrat Ne Uth Uth Kar Yake Bad Deegare Tajush'Shariah Ko Mubarakbadiyan Di(Mahanama Noori Kiran Barely Safa:February1962/1381 Hijri.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
Post -29
*Khilafat wa ijazat ki shaandar Taqrib :*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
Janasheen Mufti E Azam Ko Bachpan Me Hi Huzoor Mufti e Azam Qudassirrahu Bait Farma Liya Aur 20 Saal Ke Bad Khud Hi Huzoor Mufti e Azam Ne Milaad Sharif Ki Mehfi Me Khilafat Wa Ijazat Se Sarfaraz Farmaya.Jab Huzoor Mufti e Azam Ne 15 January 1962 Hijri 1981 Hijri ko Khilafat Ata Farmayi Us Waqt Shamshul Aulma Maulana Qazi Shamsuddin Ahmed Razvi Jafri Alierrehma ,Burhan e Millat Mufti Burhanul Haq Razvi Jabalpuri Alierrehma Bhi Tashreef Farma the.Mufti Burhanul Haq Razvi Jabalpuri ne Farmaya ki Mufti E azam Se Meri Guftagu Is Bare Me Huzoor Mufti e azam ne farmaya Tha ki Janasheen Apne Waqt par Wohi hoga Jise Hona hai.Sadrushshariah Maulana Amjad Ali Razvi Fazile Barelvi se Daryaft Kiya tha ki Huzoor Apka Janasheen Kaun hoga?to Ala Hazrat Ne Hujjatul Islaam Alierrehma Ke Mutalliq Farmaya Bade Maulana Meine Arz Kiya Unke Bad Farmaya Mustafa(Huzoor Mufti e azam)Arz kiya unke Bad Farmaya Jeelani Bashart Ilm O Amal Ki Qaid, Sunniyat Ala Hazrat Hai.Jab Ala Hazrat Ne Nabira e Ala Hazrat Mufassir e Azam E Hind Alierrehma Ko Mureed Kiya To Shajra Par Tehreer Farmaya "Kahleefa IN SHA ALLAH Bashart Ilm o Amal "Yahi Register Mureedin Me Tehreer Farmaya.Huzoor Mufti E Azam Qudussirrahu Ne Apne Janasheen Ke Mutalliq Irshaad Farmaya Ki Is(Allama Muhmmad Akhtar Raza Khan Azhari) Ladke Se Bahot Umeed Hai.
Huzoor Mufti E Azam Qudussirrahu Ne Akhri Zamane Me Ek Tehreer Janasheen e Mufti E Azam Ko Inayat Farmai Aur Ise Apna Janasheen Aur Qayam Maqam Banaya.
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
*HAYAT E HUZOOR TAJUSHARIAA*
*Post -30 End*
*Khilafat wa ijazat ki shaandar Taqrib :*
πΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉπΊπΉ
14/15 November 1984 Ko Marehrah Mutahra Urse Qasmi Ki Takreeb Me Ahsanul Aulma Maulana Mufti Sayyed Hassan Miya Barkati Sajjada Nasheen Khanqa E Barkatiya Marehrah Ne Janasheen Mufti E Azam Ka Istaqbal *"QAYAM MAQAM MUFTI E AZAM ALLAMA AZHARI ZINDABAD" Ke Naare se Kiya aur majma kaseee me ulama wa Mashaikh or fuzala wa danishwaro ki maujoodgi me Jaanasheen Mufti e Aazam ko ye keh kar
"Faqeer Aastana Aaliya Qadriya Barkatiya Nooriya ke Sajjada ki haisiyat se Qayim Maqam Mufti e Aazam Allama Akhtar Raza Khan Sahab ko silsila Qadriya Barkatiya Razviya Nooriya ki Tamam khilafat wa Ijaazat se Mazoon wa Majaz karta hu pura majma sun le, tamam barkati bhai sun le, or ye ulama e kiram (jo urs me maujood hain) is bat ke gawah rahein.
Baaduhu Ahsanululama Mawlana Sayyed Hassan Miya Barkati Maddazillahu ne Janasheene Huzoor Mufti e Aazam ki dastaarbandi ki or nazar bhi pesh ki.
Sayyedul Ulama Mawlana Ashshah Sayyed Ale Mustafa Barkati Marhehrvi Alahirrehma ne Jumla Salasul ki ijazat wa khilafat ataa farmayi or khalifa Imam Ahmed Raza Burhane Millat Hazrat Mufti Burhanul Haq Razvi Jabal puri Alaihirrehma ne bhi tamam silsilo ki khilafat se nawaza .
Walide Majid Mufassir e Azam e Hind ne apne Farzande arjumand ko qable faraghat ilme Aala Hazrat Imam Ahmed Raza ka Janasheen banaya or ek tehreer bhi inayat farmayi
Raihane Millat Mawlana Muhammad Raihan Raza barelvi saabiq Mohtamim Manzar e Islam Apni iraadat me shaye hone wale "Mahnama Ala Hazrat" me ba unwan "Qawayef Darul Uloom" Tehreer farmate hain. Yeh tehreer uss zamane ki hai jab Mufassire Aazam e Hind Mawlana Ibrahim Raza barelvi Quddusa Sirruhu ki tabiyat bahot zyada Aleel thi or saare logo ko ye Ummed thi ki ab Mawlana Ibrahim Raza Jeelani barelvi Zahiri Duniya se Rukhsat ho jayenge, bawajhe Alalat ye tawaqqo nahi ki ab zyada zindagi ho, bina baree'n zarurat thi ki dusra Qayem Maqam ho. Lihazaa Akhtar Raza Sallamahu ko qayem maqam wa Janashin e Ala hazrat banadiya. Janasheen ka Amama bandha gaya, or iba Pehnayi gayi .ye dastaar or iba aur talaba ki dastaar wa iba Ahle Banaras ko taraf se hui..
(π Mahnama Ala Hazrat Bareily safa 32 december 1962 iswi 1382 hijri)
*πPOST JAARI HAI....*
βββββββ
Assalmu alaikum wa rahmatullahi wa barkatahu bhaijan
ReplyDeleteKya ye book hayate Huzoor Tajush'shariah ka puri book ki likhi Huyi poat hai kya bhaijan ?