NAAT SHARIF
π NAAT 01
Imdad kun Imdad kun, imdad kun
Azaranj wa gham azad kun,
Dar deeno dunya shaad kun ...2
Ya Ghaus e Azam dastagheer ...2
Imdad kun Imdad kun, imdad kun,
Tere haath mein haath maine diya hai ...2
Teray haath hai laaj Ya Ghaus e Azam
Nikala hai pehlay to doobay huoon ko ...2
Aur ab doobtoon ko bacha Ghaus e Azam
Bhawar mein phansa hai safina hamara ...2
Bacha Ghaus e Azam, Bacha Ghaus e Azam
Kasam hai ke mushkil ko mushkil na paya ...2
Kaha hum nay jis waqt Ya Ghaus e Azam
Mureedoon ko khatra nahin bahr e ghum say ...2
Kay beray ke hain na khuda Ghaus e Azam
Kahein kis say jakar Hassan apne dil ki ...2
Sunne koun teray siwa Ghaus e Azam
ππππππ°π°π°π°πππππ
π NAAT NO 02
Sunte Hain Ki Mehshar Mein Naat Lyrics
Sunte hain ki mehshar mein sirf unki rasaaee hai
Gar unki rasaaee hai lo jab to ban aayi hai
Machla hai ki rehmat ne ummeed bandhaaee hai
Kya baat teri mujrim kya baat banaaee hai
Sab ne safe mehshar mein lalkaar diya hum ko
Aye bekason ke Aaqa ab teri duhaaee hai
Yoon to sab unhi ka hai par dil ki agar poocho
Yeh toote hue dil hi khaas unki kamaaee hai
Zaair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyaare
Uth mere akele chal kya der lagaaee hai
Baazaare amal mein to sauda na bana apna
Sarkaar karam tujh mein aibee ki samaaee hai
Girte huo(n) ko muzda sajde mein gire Maula
Ro ro ke shafa'at ki tamheed uthaaee hai
Aye dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi uth
Dum ghutne laga zaalim kya dhooni ramaaee hai
Mujrim ko na sharmaao ahbaab kafan dhak do
Muh dekh ke kya hoga parde mein bhalaaee hai
Ab aap hi sambhaalen to kaam apne sambhal jaayen
Humne to kamaaee sab khelon mein ganwaaee hai
Aye ishq tere sadqe jalne se chute saste
Jo aag bujha degi woh aag lagaaee hai
Hirso hawase bad se dil tu bhi sitam kar le
Tu hi nahi begaana dunya hi paraaee hai
Hum dil jale hain kiske hat fitno(n) ke parkaale
Kyun foonk du ik uf se kya aag lagaaee hai
Taiba na sahi afzal Makka hi bada zaahid
Hum ishq ke bande hain kyun baat badhaaee hai
Matla' mein yeh shak kya tha wallah Raza wallah
Sirf unki rasaaee hai sirf unki rasaaee hai
ππππππ°π°π°π°πππππ
NAAT NO 03
Tu Shamme Risalat Hain
Tu Shamme Risalat Hain Aβalam Tera Parwana
Tu Mahe Nubuvvat Hain Ay Jalwa E Janana
Jo Saaqi E Kausar Ke Chehre Se Nikaab Uththe
Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paymana
Dil Apna Chamak Utthe Imaan Ki Tal'at Se
Kar Aankhein Bhi Noorani Ay Jalwa E Jaanana
Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe
He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana
Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi
Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana
Peete Hain Tere Dar Ka, Khate Hain Tere Dar Ka
Pani Hain Tera Pani, Dana Hain Tera Dana
Sarshar Ise Kar De Ik Jaam E Labalab Se
Taa Hashr Rahe Saaqi Aabad Ye Maikhana
Is Darr Ki Huzoori Hi Isyan Ki Dawa Thahri
Hai Zehre Ma Aasi Ka Taibah Hi Shifa Khaana
Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri
Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana
Duniya Mein Hume Tum Ne Jab Apna Banaaya Hai
Mehshar Me Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deewana
Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya
Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare Jaana Na
Sange Dare Jaana Hain, Thokar Na Lage Kisko
Ay Kash Wo Sun Lete, Mujhse Mera Afsana
Sange Dare Jaana Par, Karta Hu Jabee Sayi
Sajda Na Samajh Najdi, Sar Deta Hu Nazrana
Woh Kehte Na Kehte Kuch Woh Karte Na Karte Kuch
Ay Kash Wo Sunn Lete Mujh Se Mera Afsana
Sarkaar Ke Jalwon Se, Roushan Hain DileNoori
Ta Hashr Rahe Roshan, Noori Ke Ye Kaash Aana
ππππππ°π°π°π°ππππππ
NAAT No 04
Shai al Lillah Ya Abdul Qadir
Saqeenal Bagdad Ya Shaikh al Jeelani
Asiro(N) Ke Mushkil Kusha, Ghause Aβzam
Asiro(N) Ke Mushkil Kusha, Ghause Aβzam
Faqiro(N) Ke Haajat Rawa, Ghause Aβzam
Ghira Hai Balaao(N) Mei(N), Banda Tumhaara
Tere Haath Mei(N) Haath, Mayne Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj, Ya Ghause Aβzam
Murido(N) Ko Khatra Nahi(N), Behre Gham Se
Ke Bere Ke Hai(N) Naakhuda Ghause Aβzam
Bhanvar Mei(N) Pha(N)Sa Hai, Hamaara Safina
Bacha Ghause Aβzam, Bacha Ghause Aβzam
Meri Mushkilo(N) Ko Bhi Aasaan Kijiye
Ke Hai(N) Aap Mushkil Kusha, Ghause Aβzam
Kahe Kis Se Jaakar, Hasan Apne Dil Ki
Sune Kaun Tere Siwa, Ghause Aβzam
ππππππ°π°π°π°ππππππ
Naat 05
Khila Mere Dil Ki Gali Ghous E Aazam
Mita Qalb Ki Be Kali Ghous E Aazam
Mere Chand Mai Sadqe Aaja Idhar Bhi
Chamak Uthhe Dil Ki Gali Ghous E Aazam
Tere Rab Ne Maalik Kiya Tere Jad Ko
Tere Ghar Se Duniya Pali Ghous E Aazam
Wo Hai Kaun Aisa Nahi Jisne Paaya
Tere Darr Pe Duniya Dhali Ghous E Aazam
Nahi Koi Bhi Aisa Fariyadi Aaqa
Khabar Jiski Tumne Na Li Ghous E Aazam
Meri Rouzi Mujhko Ataa Kar De Aaqa
Tere Darr Se Duniya Ne Li Ghous E Aazam
Na Maangu Me Tujhse To Fir Kis Se Maangu
Kahi Aur Bhi Hai Chali Ghous E Aazam
Jo Qismat Ho Meri Buri Achhi Kar De
Jo A'adat Ho Badd Kar Bhali Ghous E Aazam
Tera Martaba A'ala Kyo Ho Na Maula
Tu Hai Ibn E Maula Ali Ghous E Aazam
Jo Doobi Thi Kashti Wo Damm Me Nikali
Tujhe Aisi Qudrat Mili Ghous E Aazam
Tabahi Se Naav Hamari Bachaa Do
Hawa E Mukhalif Chali Ghous E Aazam
Fida Tumpe Ho Jaaye Noori E Muztar
Ye Hai Uski Khwaish Dili Ghous E Aazam
ππππππ°π°π°π°ππππππ
Naat 06
YA RASOOLALLAH ο·Ί NAAT
Sunn Taiba Nagar Ke Maharaja, Fariyaad Moreh Inn Asuan Ki
Moreh Nain Dukhi Hai Sukh Data, De Bheek Inhein Ab Darshan Ki
Jab Toreh Dagar Mein Paaungi, Toreh Sapne Mein Kho Jaungi
Torah Roop Rachungi Nainan Mein, Sukh Chaiyyan Mein Baith Khajuran Ki
Toreh Roop Ki Jyot Se Do Jag Mein, Kya Jhal Jhal Jhal Ujiyaalo Hai
Toreh Kais Badarwa Rehemat Ke, Kya Rachna Rachoon Toreh Nainan Ki
Jab Ruth Ho Suhaani Saawan Ki, Tab Mujhko Bula Moreh Pyaare Nabi
Baagan Mein Toreh Jhulwa Jhuloo, Mein Banke Saheli Hooran Ki
Mil Jaye Agar Darbar Teroh, Palkan Se Buharoon Dwaar Teroh,
Mein Mukh Pe Maloon Nainan Mein Rachoon, Jo Dhul Miley Inn Charanan Ki
π
Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai
Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai
Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai
π
Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool,
Aur Rasoolon Se A'ala Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
π
Sarkar Misal nahi Tumhari Tumsa na huwa paida jaana
Hai salleala Subhan'Allah Tori jaatko sab se juda jaana
Hai zikre nabi Ta Auje falak Yani Warfana laqa zikrak
Jo Aur hai sundar taki zahlak Har Shai ko tera jalwa jana
Ye din mila imaan Mila Zine ke liye Qura'an mila
Wahdat ka hame saamaan mila tum shafa-e-Roz-E-Zaja jaana
Woh Noor jo Arsh ki zeenat tha Peshaani-E-Aadam me chamka
Pehla Insan Takhlik huwa tere Noor ko Noor khuda jaana
Man kamtar khaa ma-E-Man kamtar Kyun kar ho bayaa shaan-E-Athar
Qura'an Hai jin ka khud mazhar Qura'an ko Rab ki sada jaana
πYaβAti Naziro Kafi Nazrin,
Misle To Na Shud Paida Jaana.
Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So,
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana.
Al Bahro Alaa wal Mavjo Tagha,
Man Bekaso Tufaan Hosh Ruba,
Manjdhaar Mein Houn Ya Rasulallah,
Manjdhaar Mein Houn Bigri Hai Hawaa,
Mori Nayya Paar Laga Jaana.
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam,
Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abr e Karam,
Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim,
Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana
π
Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga
Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga
jab unke gadabhar dete hai shahane zamana ki jholi
mohtaj ka jab ye alam hai to mukhtar ka alam kya hog
π
MERI GAWAHI MERI SHAHADAT MADINE WALE KHATH ME HAI
MERI NAMAZ AUR MERI JANNAT MADINE WALE
K HATH ME HAI
YE ILM'O FAZL'O KAMAL'O HIQMAT MADINEWALE K HATH ME HAI
YE SARR BULANDI YE SHAN'O SHAUQAT
MADEENE WALE K HATH ME HAI
ZABOOR TAURAIT BEE HAI BARHAQ MAGAR
MUJHE INKI KYA ZAROORAT
MERI KITAB AUR MERI HIDAYET MADINE WALE
K HATH ME HAI
DIKHA K TAHZEEB K UJALE MUJHE NA BAHKAYEDUNIYA WALE
MAI JANTA HU KHUDA KI REHMAT MADINE
WALE K HATH ME HAI
KHUDA KA RAHM'O KARAM HAI SB PER WHI HAI DONO JAHA'N KA MALIK
MAGAR BAQAULE RAZ'A HUQUMAT MADINE
WALE K HATH ME HAI
WO RAHBER B WO PASBAA'N B WO ILM WALEHAI GAIBDA'N B
KHUDA KI BAKHSHI HER EK NE'MAT MADINE
WALE K HATH ME HAI
GAWAHI DETA HAI SAHNE AQSA JO SARE
NABIYO NE SAFF BANAI
KAHA YE ZIBRIL NE IMAMAT MADINE WALE KHATH ME HAI
HAJAR AAYE BALAYE LEKIN BALAYE KUCH B NAKR SKEGI
BTA DO UNSE MERI HIFAZAT MADINE WALE KHATH ME HAI
BAHOOT HAI MEHSHAR KI GARM KHABREN
MAGAR MUJHE KOI DARR NI HAI
MUJHE YAKEE'N HAI MERI SHAFA'AT MADINE
WALE K HATH ME HAI
*YA RASOOLALLAH ο·Ί*
ππππππππππ°π°π°πππ
Naat No 07
*Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Loat Raha Ho Naat E Paak*
Dil dard se bismil ki tarha loat raha ho
Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho
Gar waqte ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho
Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho
Tum zaate Khuda se na judaa ho na khuda ho
Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho
Yeh kyun kahoon mujh ko ye ataa ho ye ataa ho
Woh do ke hamesha mere ghar bhar ka bhalaa ho
Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa
Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho
Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade
Jisko mere Sarkaar se tukda na mila ho
Mitti na ho barbaad pase marge ilaahi
Jab khaak udhe meri Madine ki hawaa ho
Dekha unhe mehshar mein to rehmat ne pukaaraa
Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho
Dhoonda hi karein sadre qayaamat ke sipaahi
Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho
Shaabaash Hasan aur chamakti si ghazal padh
Dil khol kar aaina e imaan ki jilaa ho
De daaliye apne labe jaan bakhsh ka sadqa
Aye chara-e-dil dard-e-HASAN ki bhi dawa ho
πππππ°π°π°π°ππππππ
Naat 08 MANQABAT
1) Karte hain jinn o bashr har waqt charcha gaus ka
Bajj raha hai chaarso aalam mein danka gaus ka
2) Naar dozakh se bachayega sahara gaus ka
Le chalega khuld mein adnaa isharah gaus ka
3) Khaliq kaun o makaΕ ne pehle hi roze azal
Likh diya hai meri peshani pe banda gaus ka
4) Aankhen milne k liye haath aaye chokhat gaus ki
Sar ragadne k liye mil jaye roza gaus ka
5) Jalte hain dushman khuda k un k zikr o fikr se
Wird sab allah wale karte hain ya gaus ka
6) Hashr mein utha hua hai ruwe anwar se naqab
Ashiqo dil khol k kar lo nazara gaus ka
7) Gaus ko q karna aye pyar tum pa aye jamil
Hai Raza murshid tumhara jab k pyara gaus ka
βββββββββββββββ
Naat No 09
Bayaan Ho Kis Zubaan Se Martaba Siddique-E-Akbar Ka Manqabat
Bayaan Ho Kis Zubaan Se Martaba Siddique-E-Akbar Ka
He Yaare Ghaar Mehboobe Khuda Siddique-E-Akbar Ka
Ilaahi Rahem Farma Khaadim E Siddique-E-Akbar Hoon
Teri Rehmat Ke Sadqe Waasta Siddique-E-Akbar Ka
Rasul Aur Ambiya Ke Baad Jo Afzal Ho Aalam Se
Ye Aalam Mein Hai Kis Ka Martaba Siddique-E-Akbar Ka
Gadaa Siddique-E- Akbar Ka Khuda Se Fazl Paata Hai
Khuda Ke Fazl Se Mein Hoon Gadaa Siddique-E-Akbar Ka
Huwe Farooq O Usman O Ali, Jab Daakhile Bayt
Bana Fakhro Salaasil Silsila Siddique-E-Akbar Ka
Maqaame Khwaabe Raahat Chain Se Aaraam Kar Ne Ko
Bana Pehlu E Mehboob E Khuda Siddique-E-Akbar Ka
Ali haiin us ke dushman aur woh dushman Ali ka
Jo dushman aql ka dushman huwa Siddique-e- Akbar ka
Lutaaya raahe haq mein ghar kayi baar is muhabbat se
Ke lut, lut, kar HASAN ghar bhar gaya, Siddique-e- Akbar ka
ββββββββββββββββββ
Naat 10
Mast Maye Alast Hai Woh Baadshahe Waqt Hai Naat Lyrics
Mast Maye Alast Hai Woh Baadshahe Waqt Hai
Bandaye Dar Jo Hai Tera Woh Be Niyaaz Bakht Hai
Unki Gadayi Ke Tufail Hum Ko Mili Sikandari
Rang Ye Laayi Bandagi Ouj Pe Apna Bakht Hai
Gardishe Daur Ya Nabi Wiraan Dil Ko Kar Gayi
Taab Na Mujh Mein Ab Rahi Dil Mera Lakht Lakht Hai
Ghunchaye Dil Khilaaiye Jalwaye Rukh Dikhaaiye
Jaame Nazar Pilaaiye Tishnagi Mujh Ko Sakht Hai
Akhtare Khasta Taiba Ko Sab Chale Tum Bhi Ab Chalo
Jazb Se Dil Ke Kaam Lo Uttho Ke Waqte Raft Hai
πΊββββββββββββββ
NAAT 11
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Aap jaisa koi ho sakta nahi
Apni har khubi me tanha aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Aabo gill me noor ki pehli kiran
Jan e Aadam jaan e Hauwa aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Husn e Awwal ki namude awwali
Bazme aakhir ka ujala aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Aap ki khatir banaye do jahaan
Aur apni khatir jo banaya aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Aap ki tal at ko dekha jaan di
Qabr me pahucha to dekha aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Aap ki tal at khuda ka aaina
Jisme chamke haq ka jalwa aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Aap se khud aap ka sahil hu mai
Jaan e Ja meri tamanna aap hai
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
Bar darad aamad gadha behre salaam
Ho bhala Akhtar ka data aap hain
Mustafa e Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai
β³β³β³βππππβββββπ π π
Maat 12
Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hamd Lyrics
Wohi Rab hai jis ne tujh ko hamaa- tan Karam banaya
Humein bheek maangne ko tera aastaa(n) bataya
Tujhe hamd hai Khudaya
Tumhi(n) haakime baraaya tumhi(n) qaasime ataaya
Tumhi(n) daafe'ye balaaya tumhi shaafe'ye khataaya
Koi tum sa kaun aaya
Woh kunwaari paak Maryam woh Nafakhtu feehi ka dum
Hai ajab nishaane aa'zam magar Aamina ka jaaya
Wohi sab se afzal aaya
Yahi bole sidra waale chamane jahaa(n) ke thaale
Sabhi maine chaan daale tere paaye ka na paaya
Tujhe yak ne yak banaya
"Fa izaa faraghta fan sab" yeh mila hai tum ko mansab
Jo gada bana chuke ab uththo waqte bakhshish aaya
Karo qismate ataaya
"Wa ilal ilaahi farghab" karo arz sab ke matlab
Ki tumhi(n) ko takte hain sab karo un par apna saaya
Bano shaafe'ye khataaya
Are aye Khuda ke bando ko mere dil ko dhoondo
Mere paas tha abhi to abhi kya hua Khudaya
Na koi gaya na aaya
Hume aye Raza tere dil ka pata chala ba mushkil
Dare rauza ke muqaabil woh humein nazar to aaya
Yeh na pooch kaisa paaya
Kabhi khanda zere lab hai kabhi gitya saari shab hai
Kabhi gham kabhi tarab hai na sabab samajh mein aaya
Na usi ne kuch bataya
Kabhi khaak par pada hai sare charkh zere paa hai
Kabhi peshe dar khada hai sare bandagi jhukaaya
To qadam mein arsh paaya
Kabhi woh Ε₯apak ki aatish kabhi woh tapak ki baarish
Kabhi woh hujoome naalish koi jaane abr chaaya
Badi joshisho se aaya
Kabhi woh chahak ki bulbul kabhi woh mahak ki khud gul
Kabhi woh lahak ki bilkul chamane jinaa(n) khilaaya
Gule quds lehlahaaya
Kabhi zindagi ke armaa(n) kabhi marge nau ka khwahaa(n)
Woh jiya ki marg qurbaa(n) woh muwa ki zeest laaya
Kahe rooh ha jilaaya
Kabhi gum kabhi ayaa(n) hai kabhi sard gah tapaa(n) hai
Kabhi zere lab fugaa(n) hai kabhi chup ki dum na tha ya
Rukhe kaam jaa(n) dikhaaya
Yeh tasawwuraate baatil tere aage kya hain mushkil
Teri qudrate(n) hain kaamil inhe(n) raast kar Khudaya
Main unhe Shafee' laaya
Tujhe hamd hai Khudaya
π―π―π―π―π π π π ββββππππ
π΄ Gause Azam Bamane Be saro saama'n madade
Qibla e deen madade Kaba e Ima'n madade
*01* Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Kadam Aala Tera
*02* Sar Bhala Kiya Koi Jane Ki Hain Kesa Tera
Avaliya Malte Hain Aankhain Wo Hain Talwa Tera
*03* Kiya Dabe Jis Pe Himayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatare Main Lata Nahi Kutta Tera
*04* Kasame De De Ki Khilata Hain Pilata Hain Tuje
Piyara Allaha Tera Chahane Wala¬¬ Tara
*05* Nabwi Menh, Alvi Fashl Batuli Gulshan
Hasani Phool Huseni Hain Mahkana Hain Tera
*06* Tuj Se Dar, Dar Se Sag Aur Se Sag Hain Mujko Nisbat
Meri Gardan Main Bhi Dur Ka Dora Tera
*07* Is Nisani Ke Jo Sag Hain Nahi Mare Jate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera
*08* Meri Kismat Ki Kasam Khae Sagane Bagadad
Hind Me Bhi Hu To Deta Rahu Pahra Tera
*09* Jo Wali Qabl The Ya Baad Huye Ya Honge
Sab Adab Rakhte Hai Dil me Mere Aaqa Tera
*10* Saare Aktaab e Jahaa Karte Hai Ka'ab e ka Tawaaf
Ka'ABA Karta Hai Tawaafe Dare Waala Tera
*11* Raaj Kis Shahar Me Karte Nahi Tere Khuddaam
Baaz Kis Nahar Se Leta nahi Dariya Tera
*12* *Hain Raza Yunh Na Bilak Tu Nahi Jayyed To Na Ho*
*Sayyede Jayyede Har Dahar Hain Maola Tera*
*13* Fakhe Aaka Me Raza Aur Bhi Ek Najm Rfia
Chal Likha Lae Sana Khwano Main Chehara Tera
βββββββ
*14* Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera
*15* Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera
*16* Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Ay Abre Karam Zor Barasna Tera
*17** Tujhko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan E Rafe'a
Dang Rah Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera
*18* Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera
*19* *Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai*
*Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera*
Nice Articleurdu naat
ReplyDelete