SEERATUL MUSTAFA ﷺ KI POST
Contd...
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 01
SHAMAAYIL WA KHASAAYIL
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ko Allah Ta'ala Ne Jis Tarah Seerat Me Tamaam Awwalin Wa Aakhirin Se Mumtaz Wa Afzal Wa Aala Banaaya Usi Tarah Aap ko Jamaale Surat Me Bhi Be-Misl Wa Be-Misaal Paida Farmaya Ham Aur Aap Huzoor E Akaram ﷺ Ki Shaane Be-Misaal Ko Bhala Kya Samaj sakte Hai ?
💢📝 Hazraat-E-Sahaba-E-Ikram Jo din-Raat Safar wa Hazar Me Jamaale Nabuwat Ki Tajalliyaan Dekhte Rahe Unhone Mahbube Khuda ﷺ Ke Zamaale Be-Misaal ke Fazl wa Kamaal ki Jo Musawwiri ki Hai Us ko Sun kar Yahi kahna Padta hai Jo Kisi Maddahe Rasool ne kya Khoob kaha hai ki
💢📝 Yaani Allah Ta'ala Ne Hazrate Muhammed ﷺ Ke Darbaari Shayer Hazrate Hassan Bin Sabit رضي الله عنه Ne Apne Kasida-E-Hamziya me Jamaale Nabuwwat ki Shaane Be-Misaal ko is shaan ke Saath Bayaan Farmaya ki
*Tarjama* Yaani Ya Rasoolullah ﷺ Aap Se Jyaada Husn wa jamaal waala Meri Aankh Ne Kabhi Kisi ko dekha hi nahi Aur Aap se Jyaada Kamaal Wala kisi Aurat Ne Jana hi nahi *Aagr Faraate hai*
💢📝 *Tarjama* Ya Rasoolullah ﷺ Aap Har Aib wa Nuksan se paak paida kiye gaye hai Goya Aap Aise hi Paida kiye Gaye Jaise Haseen wa jamil paida hona chahte the
💢📝 Hazrate Allama Buseri Rahmatullahi Alaihi ne Apne Kasida me Farmaya
*Tarjama* yaani Hazrate Mahbube Khuda ﷺ Apni Khubiyoon me Aise Yakta hai ki is muaamle me unka koyi Sharik Hi nahi Hai Kyunki unme jo Husn ka zohar hai wah kaabile takseem Hi Nahi hai
💢📝 Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan Sahib Kibla Barelvi Kuddisa Sirhul Aziz رضي الله عنه ne bhi is Majmun ki Akkasi Farmate huye kitne Nafis Andaaz me farmaya hai ki
"Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam
💢📝 Bahrhaal is par Tamaam Ummat ka imaam Hai ki Tanasube Aaza Aur Husn wa jamaal Me Huzoor Nabi Aakhiruzzama ﷺ Be-Misl wa Be-Misaal hai Chunanche Hazraate Muhaddeseen wa Musannifeene Seerat ne Riwayate sahiya ke Saath Aap ke har Aaza-E-Sharif ke Tanasub Aur hussn wa zamaal ko bayaan kiya hai
💢📝 Ham bhi Apni is kuhtasar kitab me "Huliya-E-Mubaraka" ke zikre zamil se husn wa jamaal paida karne ke liye is unwaan par Hazrat Maulana Muhammed Kaamil Saahib Charaage Rabbani Nu'amaani Walid Puri Rahmatullahi Alaih ke Manjum Huliya-E-Mubaraka ke chnad Asha'Aar Nakl karte hai taaki Is Aalime kaamil ki Barkato se Bhi Yah Kitaab Sarfaraz Ho jaaye Hazrat Maulana Ausuf ne Apni Kitaab "Panja-E-Noor" me Tahrir farmaya ki
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd...
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 02
HULIYA-E-MUKADDAS
Ruhe haq ka main Sarapa kya likhu
Huliya-E-Noore Khuda main kya likhu
Par jamaale Rahmatullil Aalamin
Jalwaagar Hoga Makane Kabr me
Is liye hai Aa gaya mujah ko khayaal
Mukhtasar likh du jamaale Be-Misaal
Taaki yaaro ko meri pehchan ho
Aur is ki yaad bhi Aasaan ho
Tha miyaana kad wa Ausat paak tan
Par sapid wa Surkh ths range badan
Chand ke tukde the A'aza Aap ke
The haseen wa gool Saanche me dhale
Thi jabi Raushan kushada Aap ki
Chand me hai daag wah be-daag thi
Dono Abru Aap ke baarik thi
Husn wa khubi se wah dono thi mili
Dono Abru thi misaale do hilaal
Aur dono ko huwa tha ittisaal
Ittisaale do mahe "idain" tha
Ya ki adna kurb tha kausen ka
Thi nadi Aankhe haseen wa Surmgi
Dekh kar kurban thi sab hooreyi
Kaan dono khubSurat arjumand
Saath khubi ke dahan bini buland
Saaf Aayina tha chehra Aap ka
Surat Apni Is me har Ek dekhta
Taaba seena Rishe mahbube ilaah
Kub thi gunjaan mu Range Siyaah
Tha safed Aksar libaase paak tan
Ho ijaar wa jubba wa pairahan
Sabz Rahta tha Amaama Aap ka
Par kabhi Sood wa Saped wa saaf tha
Main kahu Pahchaan Umda Aap ki
Dono Aala. Me nahi Aisa koyi
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 03
JISM-E-ATHAR
💢📝 Hazrate Abu Hurrairah رضي الله عنه Ka Bayaan Hai ki Huzoor-E-Anwar ﷺ ke Jism-E-Aqdas ka Rang Gora Saped Tha Aisa Maalum Hota tha Ki Goya Aap ka Muqaddas Badan Chandi Se Dhaal kar Banaya Gaya hai
📚 Shamail-e-Tirmiji safa 02
💢📝 Hazrate Anas رضي الله عنه Kahte hai ki Aap ka Jism-E-Mubarak Nihaayat Narm Wa Naajuk tha Main ne deeba Wa hareer ( Reshami Kapde ) ko bhi Aap ke Badanse jyada narm wa naajuk nahi dekha Aur Aap ke Jism-E-Mubarak ki Khushbu se jyada Achhi kabhi koyi Khushbu Nahi Sunghi
📚 Bukhari jild 1 safa 503
💢📝 Hazrate Qa'ab bin Maalik رضي الله عنه Farmaya ki jab Huzoor ﷺ khush hote the to Aap ka Chehra-E-Anwar is Tarah Chamak Uthta tha ki goya Chaand ka Ek Tukda hai Aur Ham Log isi kaifiyat se Huzoor ﷺ ki Shaadmaani wa musarrat ki pahchaan lete the
📚 Bukhari safa 502
💢📝 Aap ke Rukhe Anwar par paseena ke kataraat motiyon ki tarah dhalakte the Aur is me mushaque wa Ambar se badh kar Khushbu Rahti thi Chunanche Hazrate Anas رضي الله عنه ki walida Hazrate Bibi Umme Sulaim رضي الله تعالي عنها ki Walida Hazrate Bibi Umme Sulaim رضي الله تعالي عنها Ek Chamde ka Bistar Huzoor ﷺ ke liye bicha deti thi Aur Aap Us par Dopahar ko Kailula Farmate the Aur Aap ke jism-E-Athar ke paseene ko wah Ek Sheeshe me jama farmaaleti thi phir Usko Apni Khushbu me mila liya karti thi
💢📝 Chunanche Hazrate Anas رضي الله عنه Ne Wasiyyat ki thi ki meri wafaat ke baad mere badan par Aur Kafan me wahi Khushbu lagayi jaaye jisme Huzoor-E-Anwar ﷺ ke jism-E-Athar ka paseena mila huwa hai
📚 Bukhari jild 2 Safa 626
📚 Bukhari jild 1 safa 365
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 04
JISM-E-ATHAR KA SAAYA NA THA
💢📝 Aap ke Qadde Mubarak ka saaya na tha Hakim Tirmizi (Mutawaffa 255 Hijri) ne Apni kitab "Nawadirul usul" me Hazrate zakwaan Tabeyi se yah hadees nakl hai ki Suraj mi dhoop Aur chaand me Rasoolullah ﷺ ka saaya nahi pasta tha
💢📝 Imaam Ibne Sab'a ka kaul hai ki Yah Aap ke Khasayis me se hai ki Aap ka Saaya Zamin par Nahi padta tha Au Apa Noor The is liye jab Aap Dhoop ya chaandni me chalte to Aap ka Saaya najar na aata tha
💢📝 Aur Ba'az ka kaul yah hai ki is ki Shahid wah hadees hai jisme Aap ki is dua ka zikr hai ki Apa ne yah dua maangi ki Khudawanda tu mere tamaam A'aza ko noor bana de Aur Aap ne Apni Is dua ko is kaul par khatm farmaya ki
Ya Allah tu mujah ko Saraapa noor bana de jaahir hai ki jab Aap Saraapa noor the to phir Aap ka Saaya kaha se padta ?
💢📝 Isi tarah Abdullah Bin Mubarak Aur ibnul Jauji ne bhi Hazrate Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه se Riwayat hai ki Huzoor ﷺ ka Saaya na tha
📚 Zurkani Jild 5 Safa 249
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 05
MAKHEE, MACHHAR, ZUO SE MAHFUZ
💢📝 Hazrate Imaam Fakhruddin Razi Ne Is Riwayat Ko Nakl Farmaya Hai Aur Allama Hijaji Wagairah Se bhi Yahi Mankul Hai ki Badan To Badan Aap ke Kapdo me bhi Kabhi Makhee Nahi Baithi Na kapdo me Kabhi Zuye Padi Na kabhi Khatmal ya machhar ne aap ko kaata
💢📝 Is mazmun ko Abur-Rabi'a Sulaimaan Bin Sab'a ne Apni kitaab "Shifaus-Sudur" fee A'Alaamak Nabuwwtir-Rasool" me bayaan Farmate huye tahreer farmaya ki iski Ek Wajah to yah hai ki Aap Noor the Phir Makhiyeeon ki Aamad Zuo ka paida hona Chunki gandagi, Badbu, Wagairah ki wajah se huwa karta hai Aur aap Chunki har kism ki Gandagiyoon se paak Aur Aap ka jism-E-Athar Khushbudaar Tha is liye Aap in Cheezo se Mahfuz Rahe Imaam Sabti Ne bhi Is Majmun ko "A'Ajamul-Mawaarid" me mufassal likha hai
📚 Zurkani Jild 5 Safa 249
📚 SEERATUL MUSTAFA ﷺ Hindi Safa 454
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 06
MUHAR-E-NABUWAT
💢📝 Huzoor ﷺ Ke dono Shaano ke Darmiyaan Kabutar Ke Ande Ke Baraabar Muhar-E-Nabuwat Thi Yah Bajaahir Surkhi Maail ubhra huwa gosht tha Chunanche Hazrate Jabir رضي الله عنه Farmate hai ki main ne Huzoor ﷺ Ke Dono Shaano ke beech me Muhar-E-Nabuwat ko Dekha Jo Kabutar me Ande ki Mikdaar me Aurkh Ubhra Huwa Ek Gadud Tha
💢📝 Lekin Ek Riwayat Me Yah Bhi Hai ki Muhar-E-Nabuwat Kabutar Ke Ande ke Baraabar thi Aur Is Par Yah Ibaarat Likhi Huyi Thi
*Tarjama* Allah Ek Hai Is ka Koyi Sharik Nahi (Ay Rasool ) Aap Jahaan bhi Rahenge Aap ki Madad ki jaayegi Aur Ek Riwayat me Yah Bhi Hai ki
*Tarjama* Muhar-E-Nabuwat Ek Chamakta huwa noor Tha Raaviyoo ne iski Jaahiri Shakl wa surat Aur mikdaar ko Kabutar ke Ande se Tashabih di
📚 Haashiya-E-Tirmizi jild 2 safa 205
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 07
QAD MUBARAK
💢📝 Hazrate Anas رضي الله عنه Ka Bayaan Hai ki Huzoor E Anwar ﷺ Bahut Jyada Lambe The na Pasta Qad Balki Aap Darmiyaane Qad Waale the Aur aap Ka Mukaddas Badan Intehayi khubSurat Tha Jab Chalte The to Kuch Khamida ( Zhuke Huye ) Ho Kar Chalte the
📚 Shamaile Tirmizi Safa 01
💢📝 Isi Tarah Hazrate Ali رضي الله عنه Farmate hai ki Aap Na Tawilul-Kamaat the Na pastaakad Balki Aap Mayaama Qad the Ba-Waqte Raftaar Aisa Maalum Hota tha ki Goya Aap kisi Bulandi se Utar Rahe hai Main ne Aap ka Misl Na Aap Se Pahle dekha Na Aap Ke Baad
📚 Shamaile Tirmizi Safa 01
📝💢 Is par Sahaba-E-Ikram Ka Ittefaq hai ki Aap Mayaana Qad the Lekin Yah Aap ki Muazeezaana Shaan hai ki mayaana Qad hone ke baa-Wajud Agar Aap Hajaaro Insaano ke mazma'e me khade Hote to Aap ka Qad-E-Mubarak Sab se Jyada Uncha Najar Aata tha
*Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat*
*Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho Salaam*
*Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya'n*
*Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho Salaam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 08
SAR-E-AQDAS
💢📝 Hazrate Ali رضي الله عنه Ne Aap ka Huliya-E-Mubaraka Bayaan Farmate Huye Irshad Farmaya ki Aap ka Sar-E-Mubarak "Badaa" Tha Jo Shaandaar Aur Wajih Hone ka Nishaan hai
*Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe*
*Uss Sare Taaje Rif'at Pe Laakho Salaam*
*📖MUQADDAS BAAL*
💢📝 Huzoor E Anwar ﷺ Ke Mu-E-Mubarak Na Ghunghar daar The na bilkul Seedeh Balki Un dono Kaifiyato ke Darmiyaan The Aap ke Muqaddas Baal Pahle kaano Ki Lau tak the Phir Shaano tak Basurate Gesu Latakte Rahte the
💢📝 Magar Hajjatul Wida'a ke Mauk'a par Aap ne Apne Baalo ko Utrawa Diya Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan Fazil-E Barely Rahmatullahi Ta'ala Alaih Ne Aap ke Muqaddas Balo ki In Teeno Surato ko Apne do Shearo me Bahut Hi Nafees Wa Taleef Andaaz Me Bayaan Farmaya Hai ki
*Gosh tak sunte the fariyad ab aaye taa dosh*
*ki bane khana badoshon ko sahare gesu*
*Aakhire Hajj ghame ummat mein paresha(n) ho kar*
*teerah bakhton ki shafa'at ko sidhare gesu*
💢📝 Aap Aksar Baalo me Tel bhi Daalte the Aur Kabhi-Kabhi Kangeeh bhi Karte the Aap ke Muqaddas Baal Aakhir Umr tak Siyaah Rahe Sar Aur Daadih Sharif me 20 Baalo se Jyaada Safed Nahi Huye the
📚 Shamaile Tirmizi safa 4, 5
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 09
MUQADDAS BAAL
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Hajjatul Wida'a Mr jab Apne Muqaddas Baal Utrawaye To wah Sahaba-E-Ikram Me Bataur Tabarruk Taqseem Huye Aur Sahaba-E-Ikram Ne Nihaayat Hi Akidat Ke Saath Is Mu-E-Mubarak Ko Apne pass Mahfuz Rakha Aur Isko Jaano Se Jyaada Aziz Rakhte the
💢📝 Hazrate Bib Umme Salma رضي الله تعالي عنها Ne in Muqaddas Baalo ko Ek Shishe me Rakh liya tha jab kisi Insan ko Najar lag jaati thi Ya Koyi Marz hota to Aap us Shishi ko paani me dubo kar deti thi Aur Is Paani se Shifa Haasil Hoti thi
📚 Bukhari jild 2 Safa 875
*Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa*
*Lakka E Abre Rahmat Pe Laakho Salaam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 10
RUKH E ANWAR
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ka Chehra-E-Munwwar Jamaale Ilahi ka Aayna aur Aur Anwaare Tajalli ka Majhar tha Nihaayat hi Wajih pur Gosht Aur kisi Qadar Golayi Liye huye The Hazrate Jabir Bin Samura رضي الله عنه ka Bayaan hai ki Main ne RasoolAllah ﷺ Ko Ek Martaba Chaandni Raat me dekha Main Ek Martaba Chaand ki Taraf dekhta Aur Ek Martaba Aap ka Chehra-E-Anwar ko dekhta To mujeh Aap ka Chehra Chaand se bhi jyaada khubSurat najar aata tha
💢📝 Hazrate Bara bin Aajib رضي الله عنه se kisi né pucha ki kya Rasoolullah ﷺ ka chehra ( Chamak-Damak ) me Talwaar ki Maanid Tha ? To aap ne Farmaya ki Nahi Balki Aap ka Chehra Chaand ke misl tha
💢📝 Hazrate Ali رضي الله عنه Ne Aap ke Huliya-E-Mubaraka ko Bayaan karte huye Yah kaha ki
*Tarjama* jo aap ko Achaanak dekha Wah Aap ke Ru'ab-daab se dar jaata Aur jo pahchaan ne ke baad Aap se milte to wah Aap se Muhabbat karne lagta tha
📚 Shamaile Tirmizi Safa 2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 11
RUKH E ANWAR
💢📝 Hazrate Abdullah Bin Salaam رضي الله عنه Ne Aap ke Chehra-E-Anwar ke baare me yah kaha ki "main ne jab Huzoor ﷺ ke Chehra-E-Anwar ko Bagaur dekha to Main ne pahchaan Liya ki Aap ka Chehra kisi Jhoote Aadami ka Chehra nahi Hai
📚 Mishqat Safa Jild 1 168
💢📝 Aala Hazrat Azilmul Barkat Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate Hai
Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood
Namak Aagi Sabahat Pe Laakho(n) Salaam
Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho(n) Salaam
💢📝 Aar'abi jamaan me bhi kisi Maddahe Rasool Ne Aap ke Rukh-E-Anwar ke Husn wa jamaal ka kitna haseen manjar Aur kitni Behtarin Tahabih pesh ki hai
Huzoor ﷺ Husn wa Jamaal ke bhi Nabi Hai yoon to Unki har-Har cheez husn ka Mu'azeeja hai lekin khaas kar unka chehra to aayate qubra ( Bahut Hi Bada Mu'azeeja ) hai
Un ke Rukhsaar ke sihan me unke til ka Bilaal Unki Raushan Peshaani ki chamak se Subhe sadiq ko dekhkar Azaan kaha karta hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd...
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 14
NOORANI AANKH
💢📝 Chunanche. Bukhari Wa Muslim ki Riwayat me Aaya hai ki "Ay Logo Tum Ruku'a Wa Sujud ko Durust Tarike se ada karo kyun ki khuda ki kasam main tum logo ko Apne peeche se bhi dekhta rahta hoon
💢📝 Saahibe mirkaat ne is hadees ki Sharah me Farmaya ki Yah Baat Aap ke un Muazeezaat me se hai jo Aap ko Ata kiye gaye hai
💢📝 Phir aap ki Aankho ka dekhna mahsusaat hi tak mahdood nahi tha balki Apa Gair-Marai (jo Chhuwa na jaa sake) wa Gair-mahsus (Jo mahsoos na ki Jaa sake ) Cheezo ko bhi jo Aankho se dekhne ke laayek hi nahi hai dekh liya karte the Chunanche Bukhari Sharif ki yah Riwayat hai ki Khuda ki Kasam Tumahara Ruku'a Wa khushu'a meri nigaaho se poshida nahi Rahta *Subhan'Allah*
📚 Bukhari jild 1 safa 59
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 15
NOORANI AANKH
💢📝 Pyaar-E-Mustafa ﷺ Ki Noorani Aankho ke Ezaaz Ka Kya Khana ? Ki Peeth ke peeche se Namaaziyoon ke Ruku'a Balki Khushu'a Ko Bhi Dekh Rahe hai "Khushu'a Kya Cheez Hai ? Khushu" dil me Khauf Aur Aazizi Ki Ek Kaifiyat Ka Naa Hai To Aankh se Dekhne ki Cheez nahi Hai
💢📝 Magar Nigaahe Nabuwat Ka Yah Mu'azeeja Dekho ki Aisi cheez Ko bhi Aap ne Apni Aankho Se dekh Liya Jo Aankh Se dekhne ke Kaabil hi Nahi Hai *Subhan'Allah*
💢📝 Chashmaane Mustafa ﷺ Ke Ezaaz ki shaqm kya koyi bayaan kar sakta hai ? Aala Hazrat Azilmul Barkat Imaam Ahmed Raza Khan Kibla Bareilly Qudsa Seerrhu Ne Kya Khub Farmaya
Shah Jahat Samte Makabil Shab wa Roz Ek Hi Haal
Dhoom wan-Najm me Hai Aap ki Beenai ki
Farsh ta Arsh Sab Aayina zamaeer Haajir
Bas Kasam khai-E-Ummi Teri daanayi ki
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 16
BEENI MUBARAK
💢📝 Aap ki Mutabrrak Naak khubSurat, Daraaz Aur Buland Thi Jis par Ek Noor Chamak tha tha Jo Shakhs Bagaor Nahi Dekhta Tha wah Yah Samaj tha Ki Aapki Mubarak Naak Bahut Unchi Na Thi Balki Bulandi Us Noor Ki Wajah se Mahsus hoti Thi Jo Aap ki Muqaddas Naak Ke Upar Jalwa Figan Tha
📚 Shamaile Tirmizi Safa 2
Nichee Aankho(n) Ki Sharmo Haya Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakho(n) Salaam
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 17
MUQADDAS PESHAANI
💢📝 Hazrate Hind Binte Haala رضي الله تعالي عنها Aap ke Chehra-E-Anwar Ka Huliya Bayaan Karte Hai ki "Waaseul Jabin" Yaani Aap ki Mubarak Peshaani Qushada Aur Chaudi Thi
📚 Shamaile Tirmizi safa 12
💢📝 Qudrati Taur se Aap ki Peshaani par Ek Noorani Chamak Thi Chunanche Darbaare Risalat ke Shaer Maddahe Rasool Hazrate Hassan Bin Sabit رضي الله عنه Ne isi Haseen wa Jameel Noorani Manjar Dekh kar Kaha Ki
*Tarjama* Yaani Jab Andehri Raat me Aap ki Muqaddas Peshaani Jaahir Hoti Hai To is Tarah Chamakti hai Jis Tarah ki Taariki me Roshan Charaag Chamakta Hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 18
GOSH MUBARAK
💢📝 Aapki Aankho ki Tarah Aap ke Kaan Me Bhi Muazee'zaana Shaan Thi Chunanche Aap ne Khud Apni Jabaane Aqdas Se Irshad Farmaya ki Main Un Cheezo Ko Dekhta hoon Jinko tu me se Koyi Nahi dekhta Aur Main Un Awaazo ko sunta hoon Jinko Tum me se koyi nahi sunta
💢📝 Is hadees se saabit hota hai ki aap ke Sam'a wa Basar ki Kuwwat Be-Misaal Aur Mu'azee jaana Shaan Rakhti thi Kyun ki Aap Door Najdik ki Awaajo ko Yaksaa'n Taur par Sun liya Karte the
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 21
JABAAN E AQDAS
💢📝 Aap ki Muqaddas zabaan wahi-e-ilahi ki Tarjama Aur charchashma-E-Aayaat wa makhzane Muazeezaat hai iski fasaahat wa balaagat is qadar hadde Ayzaaz ko pahunchi huyi hai ki bade-bade fusha wa bulga Aapke kalaam ko sun kar dang rah jaate the
*Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko*
*HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga*
Aap ki Muqaddas zabaan ki hukmarani Aur shaan ka yah Ayzaaz tha ki zabaan se jo farmaya Diya wah Ek aan me muazee'zaa ban kar Aalame wajud me aa gaya
*Wo Jabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe*
*Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho(n) Salaam*
*Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood*
*Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho(n) Salaam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 22
LUAAB E DAHAN
💢📝 Aap ka Luaab-E-Dahan (Thook) zakhamiyoon Aur Bimaro ke liye Shifa Aur zahro ke liye Tiyaake A'azam tha Chunanche Aap Muazeezaat Ke bayaan padeh ki Hazrate Abu Bakar Siddeeq رضي الله عنه ke paav me gaare saur ke Andar Saanp ne kaata us ka zahar Aap me Luaabe dahan se utar gaya Aur Zakham Achha ho gaya
💢📝 Hazrate Ali رضي الله عنه ke Aashobe chasham ke liye yah Luaabe dahan *Sheefaul-Ain* ban gaya Hazrate Rifa'a bin Raf'e رضي الله عنه ki Aankh me Junge badar ke din teer laga Aur Foot gayi Magar Aap ke Luaabe dahan se sheefa haasil huyi ki dard bhi jaata raha Aur Aankh ki Raushani bhi barkaraar rahi
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 23
LUAAB-E-DAHAN
💢📝 Hazrate Abu Qatada رضي الله عنه ke Chehre par Teer laga Aap ne Us par Apna Luaabe dahan laga diya Fauran ki khoon band ho gaya Aur phir Zindagi bhar Unko Kabhi Teer wa Talwaar ka Zakham na laga
💢📝 Sheefa ke Alaawa Aur Bhi Luaabe dahan Se Badi-Badi Mu'azeejana Barkaat Ka Zuhur huwa Chunanche Hazrate Anas رضي الله عنه ke ghar me Ek Kuwa (Well) tha Aap ne Us me Apna Luaabe dahan Daal diya To us ka Paani Itna Sheeri ho gaya ki Madina Munawwara me us se badh kar Koyi Sheeri Kuwa Na Tha
💢📝 Imaam Baihaki ne yah Hadees Riwayat ki hai ki Rasoolullah ﷺ Aashura ke din Doodh peete Bachhe ko bulaate the Aur Unke Muh me Apna Luaabe dahan daal dete the Aur unki Maao ko Hukm dete the ki wah Raat Tak Apne Bachho ko doodh na pilaaye Aap ka Yahi Luaabe dahan un bachho ko is Qadar sheekam-Sair Aur Sairaab kar deta tha ki un bachho ko din bhar na bhook lagti thi na Pyass
📚 Zurkani Jild 5 Safa 246
*Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa*
*Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho(n) Salaam*
*Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n) Bane*
*Us Julale Halavat Pe Laakho(n) Salaam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 24
AAWAAJ MUBARAK
💢📝 Yah Hazrate Ambiya-E-Ikram Ke Khasais me se hai ki wah khubSurat Aur Khoosh-Aawaaj Hote hai Lekin Huzoor Sayyedul-Mursalin ﷺ Tamaam Ambiyaa علیہ السلام Se Jyada Khubaru Aur Sab se Badh kar Khush-Go, Khush-Aawaaj Aur Khush-Qalam the
💢📝 Khush-Aawaaz ke Saath-Saath Is Qadar Buland Aawaaj Bhi The ki Khutbo me Door Aur Nazdik waale Sab Yaksaa'n' Apni Apni Jagah par Aap ka Muqaddas Qalam Sun Liya Karte The
📚 Zurkani Jild 4 Safa 178
Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa(n)
Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho(n) Salaam
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 25
POOR-NOOR GARDAN
💢📝 Hazrate Hind Bin Abi Haala رضي الله عنه Ne Bayaan Farmaya Ki Rasoolullah ﷺ Ki Gardan-E-Mubarak Nihaayat Hi Mu'Atadil, Suraahidaar Aur Sudool thi khubSurati Aur Safayi me Nihaayat hi Be-Misl, khubSurat Aur Chaand Ki Tarah Saaf wa Shaffaque Thi
📚 Shamaile Tirmizi Safa 2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 26
DAST E RAHMAT
💢📝 Aap ki Muqaddas Hatheli Chaudi, Pur-Gosht, Qalaiyaa'n' Lambi, Baajudaar Aur Gosht Se Bhare Huye the Hazrate Anas رضي الله عنه Kahte Hai Ki Main ne Kisi Resham Aur Deeba Ko Aap ki Hatheliyoon se jyada Narm wa naajuk nahi Paaya
💢📝 Jis Shakhas se Aap Musafah Farmate wah din bhar Apne Haatho ko khush-bu-daar paata jis Bachhe ke sar par Aap Apna dast-e-Aqdas phira dete the wah Khushbu me tamaam Bachho se mumtaaz hota
💢📝 Hazrate jabir Bin Samura رضي الله عنه ka bayaan hai ki main ne Huzoor ﷺ ke Saath Namaaz e Johar Ada ki phir Aap Apne Ghar ki taraf Rawana huye Aur Main bhi Aap ke saath Hi Nikla Aap ko Dekh kar Chhote-Chhote Bachhe Aap ki Taraf Daude To Unme se Har Ek Ke Rukhsaar Par Apna Dast-E-Rahamat pherne lage main Saamne se Aaya To Mere Rukhsaar par bhi Aap ne Apna Dast-E-Mubarak Laga diya To main ne Apne Gaalo par Aap ke Dast-E-Rahmat ki Thandak Mahsus ki Aur aisi Khushbu Aayi ki Goya Aap ne Apna Haath Kisi Itrr-Farosha ki Sandookchi me se Nikaala hai
Is Dast-E-Mubarak se kaise-Kaise Muazeezaat Aur Tasarrufaat Aalame Jahur me aaye Unka kucha Tazkira Aap Muazeezaat ke Bayaan me padehnge
*Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya*
*Mouje Behre Sama'at Pe Laakho(n) Salaam*
*Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi*
*Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam*
*Ka'aba E Deen O Imaa(n) Ke Dono Sutoo(n)*
*Sayyedaine Risalat Pe Laakho(n) Salaam*
*Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam*
*Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho(n) Salaam*
*Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee*
*Ungliyo(n) Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 27
SHEEKAM WA SEENA
💢📝 Aap ka sheekam Aur seena-E-Aqdas dono hamwaar Aur Baraabar the Na seena Sheekam se uncha tha, Na Sheekam seene se Aap ka Seena Chauda tha Aur Seene ke upari Hisse se naaf Tak Muqaddas Baalo Ki Ek Patli see lakeer chali Gayi thi Muqaddas Chaatiyoon Aur pura Sheekam Baalo se khaali Tha Haa'n' khaano Aur Kalaiyoon par Qadre baal the
💢📝 Aap ka Sheekam Sabr wa Kanaa'at ki Ek dunyaa Aur Aap ka seena Mu'rifate ilahi ke Anwaar ka safeena Aur Wahi-E-Ialahi ka Gazeena The
*Kul Jahaa(n) Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza*
*Uss Shikam Ki Kana'at Pe Laakho(n) Salaam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 28
PAAYE AQDAS
💢📝 Aap ke Muqaddas Paaw Chaude, poor-Gosht, Ediyaa'n' Kam Gosht waali, Talwa Uncha Jo Zamin se nq Lagta Tha Dono Pandliyaa'n' Kadre Patli Aur Saaf wa Shaffaque, paaw ki narmi Aur Nazakat Ka Yah Aalam Tha ki un par paani jara bhi nahi Thahar tha
💢📝 Aap chalne me bahut hi waqaar wa tawaajo'a' ke saath Kadam sharif ko zamin par Rakhte the Hazrate Abu Hurrairah رضي الله عنه ka bayaan hai ki Chalne me Huzoor ﷺ se badhkar tez Raftaar kisi ko nahi dekha goya zamin Aap ke liye lapeti jaati thi ham log aap ke saath dauda karte the Aur tez chalne se mushqqat me pad jaate the magar Aap Nihaayat hi waqaar wa Sukun ke SAATH chalte the magar phir bhi ham sab logose aage hi Rahte the
📚Shamaile Tirmizi Safa 2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 29
LIBAAS
💢📝 Huzoor ﷺ Jyada Tar Suti libaas Pahante the Un aur Kataan Ka Libaas Bhi Kabhi-Kabhi Aap ne Istemaal Farmaya hai Libaas ke baare me kisi khaas poshaak Ya Ismityaazi Libaas ki pabandi Nahi Farmate the
💢📝 Zubba, Quba, Pairahan, Tahband, Hulla, Chaadar, Aamaama, Topi, Moza In Sab ko Aap ne zebe tan farmaya hai Paa-E-Jama ko Aap ne Pasand farmaya Aur mina ke Bazarar se Ek Paa-E-Jama kharida bhi tha Lekin Yah saabit Nahi ki Kabhi Aap ne Paa-E-Jama Pahna Ho
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 30
AMAAMA SHARIF
💢📝 Aap Amaama me Shimalaa Chhodte the Jo Kabhi Ek Shaan Par Aur Kabhi Dono Shaano ke Darmiyaan pada Rahta tha Aur ek Amaama Safed, Sabz, Za'afraani Siyaah Rang Ka Tha Fateh-Makka ke din Aap Kaale Rang ka Amaama Baandeh huye the
💢📝 Amaama ke neeche Topi Jarur Hoti thi Farmaya karte the ki Hamaarr Aur Musharikin ke Amaamo me Yahi Farque wa Imtiyaaz Hai ki Ham Topiyoon par Amaama Baandhte hai
📚 Abu Dawood Baabul-Amaayem safa 209 jild 2 Mujtabai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 31
CHAADAR
💢📝 Yaman ki Tayyaar-Shuda Suti Dhaari Waali Chaadare Jo Arab me *Hibrah* ya Burde Yamaani kahlaati thi Aap ko Babot jyada pasand thi Aur Aap un Chadaro ko kasrat se istemaal farmaate the kabhi-Kabhi Sabz Rang ki Chaadar bhi Aap ne Istemaal Farmayi hai
📚 Abu Dawood jild 2 Safa 207
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 32
QAMLI
💢📝 Aap Qamli Bhi Ba-Qasrat Istemaal Farmate the Yahaan tak ki Ba-Waqte wafaa'At bhi Ek Qamli Odeh huye the Hazrate Abu Burda رضي الله عنه ka Bayaan hai ki Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنها ne ek Mota Kambal Aur Ek Mota Lapde ka Tahband Nikala Aur Farmaya ki inih dono kapdo me Huzoor ﷺ ne wafaa'At paayi
📚 Tirmizi jild 1 safa 206
📖 NAA'ALAIN AQDAS
💢📝 Huzoor-E-Aqdas ﷺ ki Naa'Alain Aqdas ki Shakal wa Surat Aur Naksha Bilkul Aisa hi tha jaise Hindustan me chappal hote the Aap ki Muqaddas Jutiyoon me do tasme Aam Taur par lage hote the jo kurum ke huwa karte the
📚 Shamaile Tirmizi Safa 7
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 33
PASAND DEEDA RANG
💢📝 Aap ne Safed, Siyaah, Sabz, Za'Afraani Rango ke kapde Istemaal Farmaye Hai Magar Safed Kapda Aap ko Bahot Jyada Mahboob Wa Margub Tha Surkh Rang ke kapdo ko aap Bahut Jyada Naa Padand farmate the
💢📝 Ek Martaba Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Surkh Rang ke kapde pahne huye Baargaahe Akdas Me Haajir huye To Aap ne naa Gawaari Jaahir Farmate huye Daryaaft Farmaya ki Yah kaisa kapda hai ? Unohne Us kapde ko Jala diya
💢📝 Aap ne suna to Farmaya Ki Usko Jalaane ki Jarurat Nahi Thi Kisi Aurat ko de dena Chahiye Tha Kyunke Aurato ke liye Surrkh Libaas pahanne me Koyi Harjj nahi hai Isi Tarah Huzoor ﷺ Ek Martaba Ek Shakhas ke pass Se gujre jo do Surkh Rang ke kapde Pahne huye Tha Is ne Aap ko Salaam kiya To Aap ne Usko Salam ka jawaab nahi diya
📚 Abu Dawood jild 2 Safa 207
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 34
ANGUTHI
💢📝 Jab Aapne Baadshao ke naam Dawat e Islam ke khutut bhejne ka irada farmaya to logone kaha ki salaatin Wagairah Muhar waale khutut kabul nahi karte to Aap ne Chaandi ki Ek Anguthi Banayi Jis ke upar tale teen satro me "Muhammedoor-Rasoolullah ﷺ Qunda kiya huwa tha
📚 Shamaile Tirmizi Safa 7
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 35
KHUSHABU
💢📝 Aap ko Khushbu Bahut Jyada Pasand thi Aap Hamesha Itrr ka Istemaal Farmaya karte the Halaanki Khud Aap ke zisme Athar Se Aisi Khushbu Nikalti thi Ki Jis gali me se Aap gujar jaate the wah gali Muattar Ho jaati thi
💢📝 Aap farmaya karte the ki Mardo ki Khushbu Aisi honi chahiye ki Khushbu Faile Aur rang najar na aaye Koyi Aap ke Pass Khushbu Bhejta to Aap kabhi Radd na Farmate Aur Irshad Farmate ki Khushbu ke taufeko Radd mat karo Kyun ki Yah jannat se nikli huyi hai
📚 Shamaile Tirmizi Safa 15
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 36
*SURMAA*
💢📝 Huzoor ﷺ Rozana Raat ko "Ismood" ka Surma Lagaya karte the Aapke pass Ek Surmaa-Daani Thi Us me se 3-3 Salayi Dono Aankho me lagaya karte the Aur Farmaya Karte the ki Ismood ka Surmaa lagaya karo Yah Nigaah ko Roshan Aur tez karta hai Aur Palak ke baal Ugaata hai
📚 Shamaile Tirmizi Safa 5
*SAWAARI*
💢📝 Ghode ki Sawaari Aapko Bahut Jyaada Pasand thi Ghodo ke Alaawa Oont, Khachhar, Himaar ( Arbi Gadaah Jo Ghode se jyaada khubSurat Hota hai ) par bhi sawaari Farmayi hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 37
NAFAASAT-PASANDI
💢📝 Huzoor ﷺ ka mijaaj-e-Aqdas Nihayat hi Talif Aur Nafaasat-Pasand tha Ek Aadami ko aap ne mail kapde pahne huye dekha to naagawari ke Saath Irshad Farmaya ki us se itna bhi nahi hota ki yah apne kapdo ko dho liya kare isi tarah ek Shakhas ko dekha ki uske baal ulzeh huye hai to farmaya ki kya usko koyi Aisi Cheez ( Tel-Kanghee ) nahi milti ki yah apne baalo ko sawaare
📚 Abu Dawood jild 2 Safa 207
💢📝 Isi Tarah Ek Aadami Aap ke pass Bahut hi kharaab kism ke kapde pahne huye aa gaya to aap ne us se Daryaaft Farmaya ki kya tumahare pass kuch maal bhi hai ? Us ne arz ki gee haan
💢📝 Mere pass Oont, Bakriyaan, Ghode, Gulaam Sabhi kism ke maal hai to aap ne Farmaya ki jab Allah Ta'ala ne tum ko maal diya hai to Chahiye ki Tumahare upar uski Neymato ka kuch Nishaan bhi najar aaye Yaani Achhe Aur Saaf-Suthare Kapde Pahno
📚 Abu Dawood jild 2 Safa 207
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 38
MARGUB GEEJAAYEIN
💢📝 Huzoor ﷺ ki Muqaddas Zindagi Chunki Bilkul Hi Jahidaana Aur Sabr Wa Kanaa'At Ka Mukammal Namuna thi Is liye Aa0 Kabhi Lajij Aur poor-Takalluf Khaano ki Khwaish hi nahi Farmate the Yaha tak ki aap ne kabhi Chapati nahi khayi
💢📝 Phir bhi Ba'Az khaane Aap ko Bahot pasand the jinki Badi rabgat ke saath Aap Tanaaul Farmate the Maslan Arab me Ek Khana Hota Hai jo "Hais" Kahlaata hai Yah ghee, Paneer Aur Khajur Milaakar Pakaaya jaata hai Usko Aap Badi Rabgat ke Saath Khaate the
💢📝 Zoo'N' ki Mooti-Mooti Rotiyaan Aksar Geeja me Istemaal Farmate Saalano me Gosht, Sirqa, Shahad, Rogne Zaitun, Qaddu khususiyat ke Saath Margub the Gosht me Qaddu pada hota to pyaale me se qaddu ke tukde talaasha kar ke khaate the *Subhan'Allah*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 39
MARGUB GEEJAAYEIN
💢📝 Aap ne Bakri, Dumba, Bhed, Oont, Gorkhar, Khargosh, Murg, Bater, Machali ka Gosht khaya hai isi Tarah Khajur Aur Sattu bhi bakasrat tanaaul farmate the tarbuz khajur ke Saath Milakar, Khajur ke saath kakdi milakar, Roti ke Saath khajur kabhi-kabhi Tanaul Farmaya karte the
💢📝 Angur, Anaar, Wagairah Fal- fruit bhi khaya karte the thanda paani bahut margub tha doodh kabhi khaalis kabhi is me paani milaakar noosh farmate kabhi kishmish Aur khajur paani me bhigokar is ka Ras peete the jo kuch peete teen saans me nosh farmate
💢📝 Table Aur Mez par kabhi khana tanaul nahi farmaya hamesh kapde ya chamde ke dastarkhwaan par khana khaate masnad ya takiyaa par tek lagaakar, Ya let kar kabhi kuch na khaate na is ko pasand farmate
💢📝 Khana sirf Ungaliyoon se nosh farmate chamcha, kaanta Wagairah se khana pasand nahi farmate the haan ubale Gosht ko kabhi chhuri se kaat kar bhi khaate the
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 40
ROZ-MARRAH KE MAALUMAAT
💢📝 Ahadees Karima ke mutaala'a se pata chalta hai ki Aap ne Apne din-Raat ke Aukaat ko teen hisso me takseem kar Rakha tha Ek Khuda ki Ibadat ke liye dusra Aam Makhluk ke liye Teesra Apni jaat ke liye
💢📝 Aam taur par Aap ka Yah Maamul tha ki Namaaz e fazr ke baad Aap Apne Musalla par Baith jaate Yaha tak ki Aaftaab khub buland ho jaata Aam logo se Mulaakaat ka Yahi khaas waqt tha
💢📝 Log aap ki Khidmate Aqdas Mein Haajir hote Aur Apni haajat wa jaruriyaat ko puri farmaate Aur logo ko masail wa Ahkaame islam ki Ta'alim wa talkeen farmate Apne Aur Logo ke khwaabo ki ta'abir Bayaan Farmate is me baad mukhtalif kism ki Guftagu Farmate
💢📝 kabhi-Kabhi log Jamaana-E-Jahiliyat ki baato Aur Rasmo ka Tazkira karte Aur Haste to Huzoor ﷺ bhi muskura dete kabhi-Kabhi Sahaba-E-Ikram رضي الله عنه Aap ko Asha'Aar bhi sunaate
📚 Mishqat jild 2 safa 406
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 41
ROZ-MARRAH KE MAAMULAAT
💢📝 Aksar isi waqt me ganeemat Aur wajaaif ki Takseem bhi farmate jab suraj khub buland ho jaata to kabhi 4 Raka'at, Kabhi 8 Raka'at namaaz e Chashat ada farmate phir Azwaaje Mutah'haraat ke hujro me Tasharif Le jaate Aur gharelu jaruriyaat ke bandobast me masroof ho jaate Aur ghar ke kaam-kaaj me Ajwaaje Muhthhraat ki Farmate
💢📝 Namaaz e Asr ke baad aap har Ek Ajwaaje Muhthhraat wahi jama'a ho jaati isha tak aap Apne se baat- cheet farmate Rahte phir namaaz e isha ke liye masjid me Tasharif Le jaate Aur Masjid se waapas lautakar Aaraam farmate Aur isha ke baad baat-Cheet ko naa pasand farmate
📚 Muslli Jild 1 safa 472
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 42
SONA-JAAGNA
💢📝 Namaaz E Isha padh kar Aaraam karna Aam Taur par Yahi Aap ka Maamul Tha Sone se Pahle Qura'an Majid ki Kuch Surte Jarur Tilaawat Farmate Aur Kuch Dua-O-ka Bhi wird Farmate phir Aksar Yah dua padh kar Daahine karwat pe late jaate
*Allahumma Bismika Amutu wa Aha-yaa*
Ya Allah tera naam lekar Wafaat paata hoon Aur Zinda rahta hoo
💢📝 need se bedaar hote to Aksar yah dua padhte
*Alhamdu Lillahil laji Ahyaana Ba'ada ma Amaa-Tanaa wa Ilaihinnushur*
Us khuda ke liye hamd hai Jisne maut ke baad ham ko zinda kiya Aur Usi ki Taraf hashar hoga
💢📝 Aadhi Raat ya pahar Raat rahte bistar se uth jaate Miswaaq farmate phur wuzu karte Aur Ibaadat me Mashagul ho jaate, Tilaawat Farmate, Mukhtalif Dua o ka wajifa padhte Khususiyat ke Saath Namaaz e Tahajjud Ada farmate Tahajjud ki Namaaz me Kabhi lambi-Lambi kabhi Chhoti Surte padhte
💢📝 Zo'Afe peeri me kabhi kuch Raka'ate baith kar Ada farmate namaaz e Tahajjud ke bad witrr padhte Aur phir subah saadiq tulu ho jaane ke baad sunnate Fazr ada farmate namaaz e fazr ke liye masjid me Tashrif le jaate
💢📝 Kabhi-Kabhi Kayi-Kayi baar raata me sote Aur jaagte Aur Qura'an majid ki aayat Tilaawat Farmate Aur kabhi Azwaaje Mutah'haraat se Guftagu Farmate
📚 Sahahe sitta Wagairah
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd...
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 43
RAFTAAR
💢📝 Huzoor ﷺ bahut hi Baa-Waqaar Raftaar ke Saath Chalte the Hazrate Ali رضي الله عنه ka Bayaan hai ki Ba-waqte Raftaar Huzoor ﷺ zara jhuk kar chalte the Aur Aisa maalum hota tha ki Goya Aap kisi Bulandi se Utar rahe hai
💢📝 Hazrat Abu Hurrairah رضي الله عنه kahte hai ki Aap is Kadar tez chalte the ki Goya Zamin Aap ke kadmo ke neeche se lapte jaa rahi hai ham log Aap ke Saath chalne me haanp ne lagte the Aur Mushakkat me pad jaate the Magar Huzoor ﷺ Bila Takalluf Bagair kisi Mushakkat ke tez-Raftaari me saath Chalte Rahte the
📚 Shamaile Tirmizi safa 09
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 44
QALAAM
💢📝 Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنها Ne Farmaya ki Huzoor ﷺ Bahut tezi ke Saath jaldi-jaldi Guftagu Nahi Farmate the Balki Nihaayat hi mataanat Aur Sanjeedgi se Thahar-Thahar kar Qalaam farmate the
💢📝 Qalaam Itna saaf Aur waajeh hota tha ki sun ne waale is ko samjah kar yaad kar lete the Agar Koyi Aham baat hoti to us zumle ko kabhi-kabhi 3-3 martaba farma dete taaki saamiyin (Sunna waalo) ko Achhi tarah zihan-Nashin kar le
💢📝 Aap ko "zawaamiul Qalim" ka Mu'azeeja Ata kiya gaya tha ki Mukhtar se jumle me lumbi-chaudi baat ko Bayaan farma diya karte the Hazrate Hind Bin Abu Hala رضي الله تعالي عنها ka bayaan hai ki Aap bila jarurat Guftagu nahi Farmaate the Balki Aksar khaamosh hi rahte the
📚 Shamaile Tirmizi Safa 2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 45
TAAJDAARE NABUWWAT
💢📝 Huzoor Taajdaare do Aalam ﷺ ka Darbaar Salaatin Aur Badshahe jaisa darbaar na tha Yah darbaar Takht, Wa Taaj, Nakib wa Darbaar, pahredaar Aur Body Gard wagairah ke Takalluf se Kat'an be-Niyaaz tha
💢📝 Masjid-E-Nabvi ke sehan me Sahaba-E-Ikram ne Ek Chhota sa Mitti ka Chabutra bana diya tha Yahi Taajdaare do Aalam ﷺ wah Takhte Shahi tha jis par ek Chatayi beechakar dono Aalam ke Taajdaar Aur Shahanshahe kaunain Raunak-Afroz hote the
💢📝Agar is Saadgi ke Baawajud Jalaale Nabuwwat se Har Shakhas is Qadar Darbaar me paikare Tasveer najar Aata tha Bukhari Sharif Wagairah ki Riwayat me aaya hai ki log Aap ke Darbaar me baithte to Aisa Maalum hota tha ki goya Unke Saro par Chidyaa'n Baithi huyi hai Koyi Zara Zumbish nahi karta tha
📚 Bukhari jild 1 safa 398
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 46
DARBAAR E NABUWAH
💢📝 Aap Apne is Darbaar me sab se pahle Ahle Haajat Ki Taraf Tawajjo Farmate Aur Sabki Darkhaasto ko sun kar Un ki Haajat-Rawayi Farmate Qabail ke numaindo se Mulakate farmate Tamaam Haajirin Kamaale Adab se Sar Zhukaye Rahte Aur jab Aap kuch Irshad Farmate To Majlis par Sannata Chha jaata Aur sab Log Hamaa-Tan Gosh ho kar Shahanshahe kaunain ﷺ ke Farmane Nabuwat ko sunte
💢📝 Aap ke Darbaar me Aane waalo ke liye Koyi Rook-Took nahi thi Amir wa fakeer, Shari Aur badwi Sab kism ke log Haajire Darbaar Hote Aur Apne-Apne Lahjo me sawaal wa jawaab karte koyi Shakhas Agar Bolta to Khwaah kitna hi garib wa miskin kyun na ho magar dusra Shakhas Agarche wah kitna hi bada Amir wa kabeer kyun na ho uski baat kaat kar bool nahi sakta tha *Subhan'Allah*
Wah Aadil Jiske Meezaane Adaalat me Baraabar hai
Gubaare Maskanat Ho, Ya Waqaare Taaje Sultaani
💢📝 Jo log Sawaal Wa Jawaab me hadd se jyaada badh jaate to aap kamaale hilm se Bardasht Farmate Aur sab ko masail wa Ahkaame islam ki Ta'alim wa Talkin Aur mawaaiz wa Nasaayih ( Takreer wa Nasihat ) Farmate Rahte isi Darbaar me Aap Muqaddamaat ka Faisla bhi Farmate the Aur Apne Makhasus Ashaab se mashawara bhi Farmate Rahte Aur Sulah wa Jung Aur Ummat ke Nizam wa Intizam ke baare me Jaruri Ahkaam bhi Saadir Farmaya karte the
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 47
TAAJDAARE DO AALAM KE KHUTBAAT
💢📝 Nabi wa Rasool Chunki deen ke daayi Aur Shari'At e Millat ke Muballig hote hai Aur Ta'lime Shari'At Aur Talkine din ka Behtarin zariya khutba aur waaj hi hai is liye har nabi wa Rasool ka khatib Aur waiz hona jaruriyaat wa lawaajime Nabuwat me se hai
💢📝 Yahi wajah hai ki jab Allah Ta'ala ne Hazrate Musa علیہ السلام Ko Apni Risaalat se Sarfaraz Farma kar Firaun ke pass bheja to Hazrate Musa علیہ السلام ne us waqt yah dua maangi ki *Ay mere Rab mera seena khool de mere liye mera kaam Asaan kar Aur meri jabaan ki girah khool de ki wah log meri baat samjeh*
💢📝 Huzoor e Akdas ﷺ chunki tamaam Rasoolo ke Sardaar Aur sab nabiyoon ke khaatim hai is liye Khudawand Quddus ne Aap ko khitaab wa takrir me Aisa be-misaal Kalaam Ata Farmaya ki Aap Afsahul-Arab (Tamaam Arab me Sab se badh kar fasih huye ) Aur aap ko jawaamiul-Kalim ka Mu'azeeja Baqsha gaya ki Aap ki jabaan e Mubarak se nikle huye ek-ek lafz me Ma'ani wa mataalib wa samundar mauze maarta huwa nazar aata tha aur aap ke joshe takallum ki taasiraat se saameyin ke dilo ki dunya me Inkilaabe Azim paida ho jaata tha
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 48
TAAJDAARE DO AALAM KE KHUTBAAT
💢📝 Chunanche Jumma wa Eidain ke khutbo ke siwa seinkdo mawaake'a par Aap ne Aise-Aise faseeh ws baleeg khutbaat Aur Muassar mawaaiz ( Takrir ) Irshad farmaye ki Fushaa-E-Arab hairaan Rah gaya Aur un khutbo ke Asraat ws Taaseeraat se Bade-Bade Sangdilo ke liye Moom ki Tarah peeghal Gaye Aur dam jadan me unke Qulub ki dunya hi badal gayi
💢📝 Chunki Aap mukhtalif Haisiyat ke jaame'a the is liye aap ki yah Mukhtalif Haisiyate Aap ke khutbaat ka tarze bayaan par Asar Asar Andaaz huwa karti thi
💢📝 Aap ek din ke daayi bhi the, Fateh bhi the, Amire Lashakar bhi the, Muslehe kaum bhi the, farmaarawaa bhi the is liye un haisiyato ke lihaaj se Aap ke khutbaat me har kism ka joore bayaan Aur tarah-tarah ka joshe kalaam huwa karta tha
💢📝 Joshe bayaan ka yah Aalam tha ki basa Awkaat khutba ke dauraan me Aap ki Aankhe Surkh Aur Aawaaj bahut hi buland ho jaati thi Aur jalaale Nabuwat ke jajbaat se Aap ke Chehra-E-Anwar par gajab ke Aasaar Namudaar ho jaate the Baar-Baar Ungaliyoon ko Utha-Utha kar ishara farmate the goya Aisa maalum hota tha ki Aap kisi Lashakar ko lalkaar rahe hai
📚 Muslim jild 1 safa 284
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 49
TAAJDAARE DO AALAM KE KHUTBAAT
💢📝 Main ne Huzoor ﷺ ko Mimbar par khutba dete suna Aap Farma rahe the ki Khudawande jabbar Aasmano Aur zamino ko Apne haath me le lega phir farmayega ki main jabbar hoon main baadsha hoon kaha hai jabbar log ? Kidhar hai Mutakabbirin ?
💢📝 yah farmate huye Huzoor ﷺ kabhi mutthi band kar lete kabhi mutthi khol dete Aur aap ka jisme Akdas ( Josh me ) kabhi daayein, kabhi baayein, zhuk-zhuk jaata yaha tak ki main ne yah dekha ki Mimbar ka neechla hissa bhi is Qadar hil raha tha ki main (apne dil ne ) yah kahne laga ki kahi yah Mimbara Aap ko lekar to nahi geer padega
📚 Ibne Maaza safa 326 ziqrul ba'as
💢📝 Aap ne Mimbar par, Zamin par, Oont ki peeth par khade ho kar jaisa mauka Pesh Aaya khutba diya hai kabhi-kabhi Aap ne tavil khutbaat bhi diya hai lekin Aam taur par Aap ke khutbaat bahut mukhtasar magar jaame'a hote the
💢📝 Maindaane jung me Aap kamaan par tek lagaa kar khutba irshad farmaate Aur masjido me juma ka khutba padhte waqt daste Mubarak me Asa hota tha
📚 Ibne Maaza safa 79 baabu maaza fil khutbatil youmal juma'a
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 50
TAAJDAARE DO AALAM KE KHUTBAAT
💢📝 Aap ke Khutbo ke Asraat ka yah Aalam Hota tha Ki Ba'az Martba Sakht Se Sakht Ishtiaal-Angez Mauko par Aap ke Chand Jumle Muhbbat ki dunya Baha dete the
💢📝 Hazrate Anas رضي الله عنه ka Bayaan hai ki Ek din aap ne Aisa Asar-Angez Aur walwala Khez khutba padah ki Main ne Aisa khutba nahi suna tha Darmiyaane khutba me Aap ne yah Irshad Farmaya ki
💢📝 Ay logo jo main jaanta hoon Agar tum log jaan lete to Haste kam Aur Rote jyaada jabaane Mubarak se iss jumle ka niklna tha ki Saameyin ka yah haal ho gaya ki log Kapdo me Muh Chupa-Chpa kar Jaar-Jaar Rone lage
📚 Bukhari jild 2 Safa 665
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 51
SARWAR E KAAYANAAT KI IBAADAT
💢📝 Huzoor-E-Aqdas ﷺ Baa-Wajudeki Be-Shumaar Mashaagil the itne bade Ibaadat Gujaar the ki Tamaam Ambiya wa Mursalin ALaihimusalatu Wattasilm ki Muqaddas Zindagiyoon me iski misaal Milni dushwaar hai Balki Sach to Yah Hai ki Tamaam Ambiyaa E Saabikin ke Baare me Sahi Taur se yah bhi nahi Maalum ho Sakta ki unka Tarikaa-E-ibaadat kya tha ? Aur un ke Koun Koun se Aukaat Ibaadato ke liye makhsusu the ?
💢📝 Tamaam Ambiyaa E Ikraam ki ummato me yah fakhr wa Sharff Sirf Huzoor Khaatimul Ambiyaa ﷺ ke Sahaab hi ko haasil hai ki Unohne Apne Pyaare Rasool ﷺ ki ibaadat ke tamaam tariko unke Aukaat wa kaifiyaat garz uske Ek-Ek zujiyaat ko mahfuz Rakha hai Gharo ke Andar Raato ki Taarikiyoo me Aap jo Aur jis kadar ibaadate farmaate the unko Azwaaje Mutah'haraat ne dekh kar yaad rakha hai Aur Saari Ummat ko bata diya
💢📝 Aur ghar ke baahar ki ibaadato ko hazraate Sahaba-E-Ikram ne Nihaayat hi Ahtemaam ke Saath Apni Aankho se dekh-dekh kar Apne zehno me Mahfuz kar liya Aur Aap ke kayaam wa Qaood , Ruku wa Sujud Aur unki kamiyaat wa Kaifiyaat, Azkaar Aur dua o ke Bee-Ainihi Alfaaz yaha tak ki Aap ke Ishaarat Aur khuzu'a wa khushu'a ki Kaifiyaat ko bhi Apni yaad-Daashat ke Khajaano me Mahfuz kar liya
💢📝 Phir Ummat ke saamne in Ibaadato ka is Qadrr charcha kiya ki na sirff Kitaabo ke Auraak me wah mahfuz ho kar rah gaye balki Ummat ke Ek-Ek fard yaha tak ki parda-Nashin khawaatin ko bhi inka ilm haasil ho gaya Aur Aaj Musalman ka Ek Ek Bachha khwah wah Qurra-E-Zamin ke kisi bhi goshe me Rahta ho us ko Apne Nabi ki ibaadato ke mukammal haalaat maalum hai aur wah in Ibaadato par Apne Nabi ki ittibaa'a me Joshe Imaani Aur zazba-E-Alam ke Saath Kaarband hai Aap ki Ibaadato ka Ek izmaali khaaka hasbe jail hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 52
NAMAAZ
💢📝 Aylaane Nabuwat se Qabl bhi Aap Gaare Hira me Kiyaam wa muraakbaa Aur zikr wa fiqr ke taur par khuda ki ibaadat me masroof rahte the nuzule wahi ke baad hi Aap ko Namaaz ka Tarika bhi bata diya gaya phir sab e meraaj me namaaz e panjagaana farz huyi
💢📝 Huzoor ﷺ Namaaz e panjagaana ke Alaawa Namaaz e ishraak, Namaaz e Chasht, Tahiyyatul Wazu, Tahiyyatul Masjid, Salaatul Awwaabin Wagairah Sunan wa Nawaafil bhi Ada Farmate the Raato ko Uth-Uth kar Namaaz e Padah karte the, Tamaam umr Namaaz e Tahajjud ke paaband Rahe Raato ki nawaafil ke baare me Mukhtalif Riwaayat hai Ba'az Riwayato me yah aaya hai ki Aap Namaaz e Isha ke baad Kuch der Sote phir kuch der tak uth kar namaaz padhte phir so jaate phir uth kar namaaz padhte garz subah tak yahi haalat kaayam rahti
💢📝 Kabhi 2tihaayi raat gujar jaane ke baad be-daar hote Aur subahe saadiq tak namaazo me Mashgul Rahte kabhi Nisf Raat gujar jaane ke baad bistar se uth jaate Aur phir saari Raat bistar se peeth nahi lagaate the Aur Lambi-Lambi Surte namaazo me padah karte kabhi Ruku wa sujud tawil hota kabhi Kayaam Tawil hota
💢📝 Kabhi 6 Raka'at Kabhi 8 Raka'at Kabhi is se kam kabhi is se jyaada Akhir Umr sharif me kuch Raka'ate Khade ho kar kuch baith kar Ada farmate Namaaz e Witrr Namaaz e Tahajjud ke Saath Ada Farmaate Ramzan Sharif Khususan Aakhari Ashare me Aap ki ibaadat bahut jyaada badh jaati thi Aap Saari Raat be-daar rahte Aur Apni Azwaaje Mutah'haraat se Be Ta'lluk ho jaate the Aur Ghar waalo ko namaazo ke liye jagaaya karte the Aur Umuman Aytekaaf Farmate the
💢📝 Naamzo ke saath saath kabhi khade hokar, kabhi Baith kar, kabhi sar ba-sajud ho kar nihaayat Aah wa jaari Aur geerya wa buka ke Saath geed geeda-geed geeda kar Raato me duayein bhi maanga karte Ramzan Sharif me Hazrate Jibrail علیہ السلام ke Saath Qura'an e Azim ka Daur bhi Farmate the Aur Kabhi-Kabhi Saari Raat Namaazo Aur DuaO me khade Rahte yaha tak ki Paaye Aqdas me Waram Aajaya karta tha
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 53
ROZA
💢📝 Ramzan Sharif ke Rozo ke Alaawa Shabaan me Bhi Karib-Karib Mahina Bhar Aap Roza daar hi rahte the Saal ke baaki Manino me bhi Yahi Kaifiyaat Rahti thi Agar Roza Rakhna Shuru Farma dete to Maalum hota tha ki Ab Kabhi Roza Nahi Chodenge Phir Tarque Farma dete to maalum hota tha ki Ab kabhi Roza Nahi Rakhenge
💢📝 Khaas kar har Mahine me teen deen Ayyame beez ke Roze, Do Shambaa wa Jumeraat ke Roze Aashura ke Roze Ashara-E-jil hijja ke roze, Shawwaal ke 6 Roze Ma'mulan Rakha Karte the
💢📝 kabhi-Kabhi Aap Soume wisaal bhi Rakhte the Yaani Kayi-Kayi din Raat ka Ek Roza Magar Apni Ummat ka Aisa Roza Rakhne se Mana Farmate the
💢📝 Ba'az Sahaba ne Arz kiya Ki Ya Rasoolullah ﷺ Aap to Soume Wisaal Rakhte hai Irshad Farmaya ki *Tum me mujah Jaisa koun Hai ?* Main Apne Rab ke darbaar me Raat Basar Karta hoon Aur wah Mujah ko *Ruhaani Geeza* khikaata Aur Peelata hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 54
JAKA'AT
💢📝 Chunki Hazraate Ambiyaa علیہ السلام par Khudawande Quddus ne Jaka'at Farz hi nahi Farmayi hai Is liye Aap par Jaka'at farz hi nahi thi
💢📝 Lekin Aap ke Sadkaat wa Khairaat ka yah Aalam tha ki Aap Apne passs sona Chandi Ya Tijaarat ka koyi Saamaan ya Maveshiyoon ka koyi rewad Rakhte hi nahi the balki jo kuch bhi Aap ke pass aata sab khuda ki Raah me mustahikkin par Taqsim farma diya karte the
💢📝 aap ko yah gawaara hi nahi tha ki raat bhar koyi maal wa daulat Kashana-E-Nabuwat me rah jaaye ek martaba Aisa Ittifaaq pada ki khiraaj ki rakam is qadar jyada aa gayi ki wah Shaam tak taqsim karne ke baawajud khatam na ho saki to Aap Raat bhar masjid hi me rah gaye
💢📝 Jab Hazrate Bilal رضي الله عنه ne aa kar yah khabar di ki ya Rasoolullah ﷺ saari Rakam Taqseem ho chuki to aap Aap ne Apne makaan me qadam Rakha
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 55
HAJJ
💢📝 Aylaane Nabuwat ke baad Makka Mukarrama me Aap ne 2 ya 3 hajj kiye
Lekin Hijrat ke baad Madina Munawwara se san 10 hijri me Aap ne Ek Hajj Farmaya Jo "Hajjatul Wida'a" ke naam se mash-hoor Hai jiska mufassal Tazkira Gujar chuka
Hajj ke Alawa Hijrat ke baad Aap ne 4 Umre Bhi Ada Farmaye
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 17
Part 56
ZIKRE ILAAHI
💢📝 Hazrate Ayesha رضي الله عنه Ka Bayaan Hai Ki Aap Har waqt Har Ghadi Har Lahja Zikre Ilahi me Masroof Rahte the
💢📝 Uthate-Baithte, Chalte-phirte, Jhaate-Peete, Soote-Jaagte, Wazu karte Naye kapde pahante, Sawaar hote, Sawaari se Utarte, Safar me jaate, Safar se wapas Hote, Baitul khala me daakhil hote Aur nikalte, Masjid me Aate jaate, Jung ke waqt, Aandhi, Baarish, Bizli kadakte waqt, Har waqt har haal me duayein Wirde Jabaan Rahti thi
💢📝 Khushi Aur Gami ke Aukaat me Subeh Saadeeq Tulu hone ke waqt gurube Aaftaab ke waqt murg ki Aawaaz Sukar, Gadeh ki Aawaaz sun kar, Garjj kaun sa aisa mauka tha ki Aap koyi dua na padhte
💢📝 Din hi me nahi balki Raat ke Sannato me bhi Baraabar dua khwaani Aur ziqre Ilahi me mashgul Rahte Yaha tak ki Ba-waqte Wafaat bhi jo phikr Baar-Baar wirde Jabaan Raha wah "Allah Hummar-Rafiqul Aa'ala" ki dua thi
🔴 END OF BAAB 17
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 01
AKHLAQ E NABUWAT
💢📝 Aap ke Akhlaq e Hasna ke baare me khalq e khuda se kya puchna ? Jan ki khud Khaliq e Akhlaq ne Yah Farma diya ki "Ay Habib Bila Shuba Aap Akhlaq ke bade Darje par hai"
💢📝 Aaj takriban 1400 baras gujar jaane ke baad Dushmaan ne Rasool ki kya majaal ki Aap ko Bad-Akhlaq kah sake us waqt jab ki Aap Apne dushamano ke maz makaamo me Apne Amli kirdaar ka mujaahrà farma rahe the
💢📝 Khudawande Quddus ne Qura'an me Aylaan Farmaya ki "Ay Habib khuda ki Rahmat se Aap Logo se narmi ke saath pesh Aate hai Agar Aap kahi Bad-Akhlaq Aur Sakht dil hote to Yah Log Aap ke pass se hat jaate
💢📝 Dushmaan ne Rasool ne Qura'an ki jabaan se Yoon Khudayi Aylaan suna magar kisi ki Majaal nahi huyi ki iske Khilaaf koyi bayaan deta ya is Aaftaab se jyaada Roshan hakikat ko zhutlaata balki Aap ke bade se bade Dushmaan ne bhi is ka Ayteraaf kiya ki Aap bahut hi Buland Akhlaq Narm-Khu ( Aadat ) Aur Rahim wa Karim Hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 02
AKHLAQ E NABUWAT
💢📝 Baharhaal Huzoor ﷺ Mahasine Akhlaq ke tamaam Gosho ke Jaame'a the yaani Hilm wa Afw Raham wa Karam, Adal wa Insaaf, Jud wa Sakhaa, Isaar wa Kurbani Mehmaan-Nawaaji, Adme Tashahudd, Shuja'At, Ifa-e-Ahad, Husnne Muaamla Sabrr wa Kana'at, Narm-Guftaari, khushruyi, milansaari, Musaawaat, gamkhwaari, Saadgi wa Be-Takallufi,.Tawaajo'a-Inksaari, hayaadari ki itni Buland manjilo par aap faayiz wa Sarfaraz hai ki Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنها ne Ek jumle me iski sahi tasveer Kheechte huye Irshad Farmaya ki "Taalimaate Qura'an par pura-pura Amal yahi aap ke Akhlaq the"
💢📝 Akhlaq e Nabuwat ka Ek Mufassal wa'az ham ne apni kitaab "hakkani takrire" me Tahrir kar diya hai yaha bhi ham Akhlaq e Nabuwat ke "Shajartul khulq" ki chand shaakho ke kuch phool-phool pesh kar dete hai taaki ham Aur aap un par amal kar ke apni islami zindagi ko kamil wa akmal banaa kar Aalame islam me mukammal Musalman ban jaayein Aur daarul Amal se daarul zaja tak Khudawand Azza wa zall ke Shaamiyaana-E-Rahmat me uske A'ala wa Afzal inaamo ke meethe-meethe fal khaate rahe "wallahu Ta'ala huwal muwafifku wa muyin"
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 03
HUZOOR KI AQL
💢📝 Chunki Tamaam Ilmi Wa Amli Aur Akhlaaqi Kamaalaat ka Daar wa Madaar Aql hi par hai is liye Huzoor ﷺ ki Aql ke baare ne bhi kuch Tahrir kar dena intihaayi jaruri hai Chunanche is Silsile me ham yaha sirf Ek hawaala tahrir karte hai
💢📝 Wahab bin Munabbah رضي الله عنه ne farmaya ki main ne 71 kitaab me yah padah hai ki jab se dunyaa Aalame wajud me aai hai us waqt se kiyaamat tak ke tamaam insaano ki aqlo ka Agar Huzoor ﷺ ki Aql Sharif se muwaajana (Baraabari ) kiya jaaye to tamaam insaano ki Aqlo ko Huzoor ﷺ ki Aql Sharif se wahi nisbat hogi jo Ek ret ke zarre ko tamaam dunya ke Registano se Nisbat hai
💢📝 Aur Huzoor ﷺ ki Aql Sharif Tamaam dunya ke Registano ke baraabar hai is hadees ko Abu Nuaim Muhaddis ne Hiliya me Riwayat kiya Aur Muhaddis Ibne Asaakar ne bhi isko Riwayat kiya hai
📚 Zurkani Jild 4 Safa 250
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 04
HILM WA AFW
💢📝 Hazrate zaid bin S'anaa رضي الله عنه jo pahle yahoodi Aalim the Unhone Huzoor ﷺ se Khajure kharidi thi khajure dene ki muddat me Abhi do-Ek Din baaki the Unhone Bhare majma me Huzoor ﷺ se intihaayi talkh wa turrsh lahje me sakhati ke Saath takaaja kiya
💢📝 Aap ka daaman Aur chaadar pakad kar nihayat tund wa tez najrose Aap ki taraf dekha Aur chilla-Chilla kar kaha ki Ay Muhammed ﷺ tum sab Abdul muttalib ki Awlaad ka yahi tarika hai ki tum log hamesha logo ke hukuk ada karne me der lagaya karte ho Aur taal matoola karna tum logo ki Aadat ho chuki hai yah
💢📝 manjar dekh kar Hazrate Umar رضي الله عنه Aape se baahar ho gaye Aur Nihaayat hi gajabnaak Aur jahrili najro se Ghur-Ghur kar kaha ki Ay Khuda ke dushman tu khuda ke Rasool ﷺ se Aisi gustakhi kar Raha hai ?
💢📝 Khuda ki Qasam Agar Huzoor ﷺ ka Adab Maane'a na Hota to main Abhi-Abhi Apni Talwaar se tera sar uda deta yah sun kar Aap ne Farmaya ki Ay Umar tum yah kya kah rahe ho ? Tumeh to yah chahiye tha ki mujah ko Adaye haq ki targeeb de kar Aur us ko narmi ke Saath takaaza karne ki hidaayat kar ke ham dono ki madad karte phir Aap ne hukm diya ki Ay Umar isko iske haq ke Baraabar khajure dedo Aur kuch jyaada bhi de do
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 05
HILM WA AFW
💢📝 Hazrate Umar رضي الله عنه ne jab haq se jyaada di to Hazrate Zaid Bin S'anaa رضي الله عنه ne kaha ki Ay Umar mere haq se jyada kyun de Rahe ho ? Aap ne Farmaya ki Chunki main ne tedhi-Teerchi najro se dekh kar tum ko khuwf jada kar diya tha is liye Huzoor ﷺ ne Tumahri dil-juyi wa dil-daari ke liye tumahre haq se kuch jyada dene ka mujeh hukm farmaya hai
💢📝 Yah sun kar Hazrate Zaid Bin S'anaa رضي الله عنه ne kaha ki Ay Umar kya tum mujeh ko pehchan te ho ? Main zaid bin S'anaa hoon Aap ne Farmaya ki tum wahi zaid bin S'anaa ho jo yahoodiyoon ka bahut bada Aalim Hai Unhone Kaha "ji haan" Yah sun kar Hazrate Umar رضي الله عنه ne Daryaaft Farmaya ki phir tum ne Huzoor ﷺ ke Saath Aisi gustakhi kyun ki ?
💢📝 Hazrate zaid bin S'anaa ne jawaab diya ki Ay Umar Darasal baat yah hai ki main unki Jaat me dekh liya magar 2 Nishaaniyoon ke baare me mujeh inka itminaan karna baaki rah gaya tha Ek yah ki inka Hilm Zahal par Gaalib Rahega Aur jis Qadar jyaada unke Saath Zahal ka Bartaaw kiya jaayega Usi Qadar Unka Hilm Badhta jaayega
💢📝 Chunanche main is Tarkib se in 2no Nishaaniyoon ko bhi in me dekh liya Aur main Shahaadat deta hoon ki yakinan yah Nabi-E-Barhaq Hai Aur Ay Umar Main Bahut hi Maaldaar Adami hoon Main Tumeh Gawaah banaata hoon ki Main ne Apna Aadaah maal Huzoor ﷺ ki Ummat par sadqa kar diya phir yah Baargaahe Risalat me Aaye Aur Qalima padh kar daamane Islam me Aa Gaye
📚 Zurkani Jild 4 Safa 253
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 06
💢📝 Hazrate Jabir Bin Mut'Am رضي الله عنه Kahte hai ki Junge Hunain se Wapsi par dehaati log Aap se Chimat gaye Aur Aap se maal ka sawaal karne lage Yaha tak aap ko chimte ki Aap peeche hat te- hat te Ek babul ke Darakhat ke pass thahar gaye
💢📝 Itne me Ek Badvi Aap ki chaadare mubark Uchak kar Le bhaaga Phir Aap ne Khade ho kar Irshad Farmaya ki Tum log meri Chaadar to mujeh dedo Agar mere pass in zhadiyoon ke baraabar Chaupaa-E-Hote to main un sab ko Tumhre Darmiyaan Taqseem kar deta Tum log Mujeh Na Bakheel Paaoge na Zhuta na Buzdil
📚 Bukhari jild 1 safa 446
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 07
HILM WA AFW
💢📝 Hazrate Anas رضي الله عنه Ka Bayaan hai ki Main Huzoor ﷺ ke hamraan chal raha tha Aur aap ek Najraani chaadar Odeh huye the jiske kinaare Mote Aur khurdure the Ek-dam ek Badvi ne Aap ko pakad liya Aur itne me jabardast Zhatke se Chaadare Mubarak ko usne kheeca ki Huzoor ﷺ ki nurm wa naajuk Gardan par chaadar ki kinaare se kharaash aagayi
💢📝 Phir is Badvi ne yah kaha ki Allah ka jo maal Aap ke pass hai aap hukm dijiye ki usme se mujeh kuch mill jaaye Huzoor Rahmate Aalam ﷺ ne jab is Badvi ki taraf Tawajjo Farmayi to kamaale hilm wa Afw se uski taraf dekh kar hanss pade Aur phir usko kuch maal Ata faramaane ka hukm saadir farmaya
📚 Bukhari jild 1 safa 446
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 08
HILM WA AFW
💢📝 Junge Uhood me utba bin Abi waqqas ne Apa ke Dandaane Mubarak ko Shahid kar diya Aur Abdullah Bin kimiyaa ne Chehra-E-Anwar ko zakhmi Aur khoon-Aalud kar diya Magar aap ne in logo ke liye iske siwa kuch bhi nahi farmaya ki Ay Allah meri koum ko hidaayat de kyunki yah log mujahe jaante nahi
💢📝 Khaibar me zainab naami yahoodi Aurat ne Aap ko zahar diya magar aap ne us se koyi inteqaaam nani liya Lubaid bin A'Asam ne Aap par jaadu kiya Aur Ba-Zariyaa-E-Wahi is ka saara haal maalum huwa magar Aap ne is se koyi muaakhaj nahi farmaya goras binul haris ne Aap ke katl ke irade se Aap ki Talwaar lekar niyaam se kheechli jab Huzoor ﷺ neend se be-daar huye to goras kahne laga ki Ay Muhammad ﷺ Ab koun hai jo Aap ko mujah se Bacha lega ? Aap ne farmaya ki Allah
💢📝 Nabuwat ki haibat se talwaar uske haath se geer padi Aur Huzoor ﷺ ne Talwaar haath me lekar kaha ki bool Ab tujah ko mere haath se koun bacha ne waala hai ? Goras geed-geeda kar kah ne laga ki Aap hi meri jaan bacha de Rahmate Aalam ﷺ ne us ko Chhod Diya Aur maaf farmadiya Chunanche Goras Apni kaum me aakar kahne lga ki Ay logo Main Aise Shakhas ke pass se aaya hoon jo Tamaam dunyaa ke insaano me sab se behtar hai
📚 Sheefa Qazi Ayaz Jild 1 Safa 62
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 09
HILM WA AFW
💢📝 Kuffare Makka ne wah koun sa Aisa zaalimaana Bartaaw tha jo Aapke Saath na kiya ho magar Fateh-Makka ke din jab yah sab jabbaraane Quraish Ansar wa Muhajirin ke Lashakaro ke muhaasare me mahsus wa majbur ho kar harme Ka'aba me khauf wa dahshat se kaanp rahe the Aur Inteqaam ke dar se unke jism ka Ek-Ek baal Laraj raha tha Rasoole Rahmat ne un mujrimo Aur paapiyoon ko yah farmaya chhod Diya Maaf farma diya
💢📝 Ek kafir ko Sahaba-E-Ikram pakad kar laaye ki Ya Rasoolullah ﷺ isne aap ke Qatl ka irada kiya tha wah Shakhas khauf wa dahshat se Laraja bar-Andaam ho gaya Rahmatullil-Aalamin ﷺ ne Farmaya ki tum koyi Khauf na Rakho Bilkul mat daro Agar tum ne mere Qatl ka Irada kar liya tha to kya huwa ? Tum Bhi mere upar gaalib nahi ho sakte the kyun ki Khudawand Ta'ala meri Hifazat ka wa'ada Farma liya hai
📚 Shifa Qazi Aayz Jild 1 safa 63
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 10
HILM WA AFW
💢📝 Al-Garaj is tarah ke Nabi-E-Rahmat ki Hayaate Tayyeba me hajaaro wakiyaat hai jinse pata chalta hai ki hilm wa Afw yaani ijaa o ka Bardasht karna Aur muhrimo ko Qudrat ke Ba-Wajud Bagair Inteqaam ke chhod dena Aur Maaf kar dena Aap ki Yah Aadate karima bhi Aap ke Akhlaq e hasna ka wah Azim Shahkaar hai jo saari dunya me Adimul-Misaal hai
💢📝 Hazrate Bibi Ayesha رضي الله تعالي عنها Farmati hai ki
Apni jaat ke liye kabhi bhi Rasoolullah ﷺ ne kisi se Inteqaam nahi liya haan Albatta Allah ki Haraam ki huyi Cheezo ka Agar koyi Murtakab hota to jarur us se Muaakhaja farmate
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 11
TAWAAJO
💢📝 Huzoor ﷺ ki Shaane Tawaajo bhi Aal se Niraali thi Allah Ta'ala Ne Aap Ko Ikhtiyaar Ata Farmaya Ki Ay Habib Agar Aap Chahe to Shaahaana Zindagi Basar Farmayein Aur Agar Aap Chahe to Ek Bande ki Zindagi Gujare To Aap ne Banda Bankar Zindagi Gujaarne ko Pasand Farmaya
💢📝 Hazrate Israfil علیہ السلام Ne Aap ki Yah Tawaajo dekh kar Farmaya ki Ya Rasoolullah ﷺ Aap ki is Tawaajo ke Sabab se Allah Ta'ala Ne Aap ko Yah Jalilul Qadr Martaba Ata Farmaya hai ki Aap Tamaam Aulaade Adam me sab se jyada Bujurg Aur Buland Martaba Hai Aur Kiyamat ke din Sab se Pahle Aap Apne Qabre Anwar Se Uthaye Jaayeinge Aur Maidane Mahshar Me Sab se Pahle Aap Shafa'At Farmayein ge
📚 Zurkani Jild 4 Safa 262
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 12
TAWAAJO
💢📝 Hazrate Abu Umama رضي الله عنه Riwayat karte hai ki Huzoor ﷺ Apne Asa Mubarak par tek Lagate huye Kashana-E-Nabuwat se bahar Tasharif Laaye To ham Sab Sahaba Taazim ke liye khade ho gaye yah dekh kar Tawaajo ke Taur par Yah Irshad Farmaya ki tum log is Tarah na khade Raha karo jis tarah Azmi log Ek dusre ki Ta'Azim ke liye khade Raha karte hai Main To Ek Banda hoon Bando ki Tarah Khata hoon Aur bando ki Tarah Baithta Hoon
📚 Shifa Sharif 1 Safa 86
💢📝 Hazrate Ayesh رضي الله تعالي عنها Ka Bayaan Hai ki Huzoor ﷺ kabhi-Kabhi Apne peeche Sawaari par Apne kisi Khaadim ko bhi Beetha liya karte the Tirmizi Sharif ki Riwayat hai ki Junge Kuraiza ke din Aap ko Sawari ke Jaanwar ki Lagaam Chaal Rassi se bani huyi thi
📚 Zurkani Jild 4 Safa 264
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 13
TAWAAJO
💢📝 Hazrate Anas رضي الله عنه kahte hai ki Huzoor ﷺ Gulamo ki Daawat ko Bhi Kabul Farmate the Jau ki Rooti Aur Purani Charbi khaane ki Daawat di jaati thi To aap is Daawat ko Kabul Farmate the Miskino ki Beemaar-pursi Farmate Fukra ke Saath Ham-Nashi Farmate Aur Apne Sahab ke Darmiyaan Mil-Jul kar Nashist Farmate
💢📝 Hazrate Abu Sayid Khudri رضي الله عنه ne Farmaya ki Huzoor ﷺ Apne Gharelu kaam Khud Apne Daste Mubarak se kar liya karte the Apne Khadimo ke Saath Baith kar Khana Tanawul farmate the Aur ghar ke kaamo me Aap Apne khadimo ki madat farmaya karte the
📚 Shifa Sharif Jild 1 Safa 77
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 14
TAWAAJO
💢📝 Fateh Makka ke din Jab Fatihaana Shaan ke Saath Aap Apne Lashkaro ke huzum me Share Makka ke Andar Dakhil hone lage To Us waqt Aap par Tawaajo Aur Inkisaari ki Aisi Tajalli Namudaar Thi ki Aap Oontni Ki peeth par is tarah sar Zhukaye huye baithe the ki Aap ka sare Mubarak kajaawa ke Agle Hisse se laga huwa tha
💢📝 Isi Tarah jab hajjatul Wida'a me Aap Ek laakh Shama-E-Nabuwat ke parwano ke Saath Apni Muqaddas Zindagi ke Aakhari Hajj me Tasharif le gaye To Aap ki Oontni par purana Paalaan tha Aur Aap ke Zisme Anwar par Chaadar thi jis ki kimat 4 dirham se jyaada na thi
💢📝 Isi Oontni ki pusht par Aur isi Libaas me Aap ne Khudawand Zul-Jalaal ke Naa-E-Be Akram Aur Taajdaare do Aalam hone ki Haisiyat se Apna Shahanshahi khutba padah jisko 1 laakh se Jaayed Farzandane Tauhid hamaatan goosh Bankar Sun Rahe the
📚 Zurkani Jild 4 Safa 268
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 15
TAWAAJO
📝💢 Hazrate Abdullah Bin Aamir رضي الله عنه Bayaan karte hai ki Ek Martaba Aap ki Naa'Alain Aqdas ka Tasma Toot gaya Aur Aap Apne daste Mubarak se usko durust Farmane lage Main ne arz ki Ya Rasoolullah ﷺ mujeh dijiye main is ko durust kar du
💢📝 Meri is darkhwast par Irshad Farmaya ki Yah sahi hai ki tum is ko theek kar doge magar main is ko pasand nahi karta ki main tum logo par Apni Bartari Aur Badhaayi zaahir karu
💢📝 Isi Tarah Sahaba-E-Ikram رضي الله عنه Aap ko kisi kaam me Mashagul dekh kar Baar-Baar Darkhwast karte Ki Ya Rasoolullah ﷺ Aap Khud yah kaam na kare is kaam ko ham log Anzam denge magar aap yahi Farmate hai ki Yah sach hai ki tum log mere sab kaam kar doge magar mujeh yah gawaara nahi hai ki main tum logo ke Darmiyaan kisi Imtiyazi shaan ke saath rahu
📚 Zurkani Jild 4 Safa 265
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 16
HUSNE MUAASHARAT
📝💢 Huzoor-E-Aqdas ﷺ Apne Azwaaje Mutah'haraat , Apne Ahbaab, Apne Ashaab, Apne Rishtedaaro, Apne Padosiyoon Har Ek ke Saath Itni Khush-Akhlaaqi Aur Milansaari ka Bartaaw Farmate the ki Unme Har Ek Aap ke Akhlaak e Hasana ka Garvida Aur Maddah tha
💢📝 Khaadime Khaas Hazrate Anas رضي الله عنه ka Bayaan hai ki Main ne 10 Baras tak Safar wa Watan me Huzoor ﷺ ki Khidmat ka Sharf Haasil kiya Magar Kabhi Huzoor ﷺ ne Mujeh Daanta, Na jheedka Aur na kabhi Yah Farmaya ki tu ne fala kaam kyun kiya Aur fala kaam kyun nahi kiya ?
📚 Zurkani 4 Safa 266
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 17
HUSNE MUAASHARAT
💢📝 Hazrate Ayesh رضي الله تعالي عنها kahti hai ki Huzoor ﷺ se jyaada koyi Khush-Akhlaaq Nahi Tha Aap ke Ashaab Ya Aap ke Ghar waale me se Jo koyi bhi Aap ko pukaarta Aap Labbaik ( Haajir Janaab ) kah kar Jawaab dete Hazrate Jarir رضي الله عنه Irshad Farmate hai Ki main jab se Musalmaan Huwa Kabhi bhi Huzoor ﷺ ne Mujeh pass Aane se nahi Roka Aur jis waqt bhi dekhte Muskura dete Aur Aap Apne Ashaab se Khush-Tabyi bhi Farmate
💢📝 Aur Sab ke Saath Mil-Jul kar rahte Aur Har Ek Se Guftagu Farmate Aur Sahaba-E-Ikram ke Bachho se bhi Kusha-Tabayi Farmaate Aur In Bachho ko Apne Muqaddas Goad me beetha lete Aur Aazaad Neej Laundi Gulaam Aur Miskin Sabki Dawate Kabul Farmate Aur Madine ke Intihayi hisse me Rahne waale Marijo ki Beemaar-pursi ke liye Tasharif Le jaate Aur ujr pesh karne waale ke Ujr Kabul Farmate
📚 Shifa Sharif Jild 1 safa 71
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 18
HUSNE MUAASHARAT
💢📝 Hazrate Anas رضي الله عنه Ravi hai ki Agar Koyi Shakhas Huzoor ﷺ ke kaan me Koyi Sargoshi ki baat karta to Aap Us waqt tak Apna sar us ke Muh se Alag na Farmate jab tak wah kaan me kuch kahta Rahta Aur Aap Apne Ashaab ki Majlis me kabhi Paanv Faila kar Nahi Baithte the Aur jo aap ke saamne Aata Aap Salaam Karne me pahal karte
💢📝 Aur Mulaakatiyoon se musafa farmate Aur Aksar Aukaat Apne pass Aane waale Mulaakatiyoon ke liye Aap Apni Chaadar Mubarak beecha dete Aur Apni man pasand bhi pesh kar dete Aur Apne Ashaab ko unki Qunniyato Aur Achhe namaazo se pukarte kabhi kisi baat karne waale ki baat ko kaate nahi the har Shakhas se khush ruyi ke Saath muskura kar mulalaat Farmate
💢📝 Madine ke khuddaam Aur Nokar chaakar bartano me subah ko paani le kar Aate taaki Huzoor ﷺ har ek ke bartan me Apna Muqaddas Haath daal diya karte the Aur jood ki sardi ke baa-wajud kisi ko mahrum nahi Farmate the
📚 Shifa Sharif Jild 1 safa 72
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 19
HUSNE MUAASHARAT
💢📝 Hazrate Ame Bin Sayeb رضي الله عنه Ne kaha ki main ek Martaba Huzoor ﷺ ki Khidmat me haajir tha to Aap ke Razai baap Yaani Hazrate BiBi Halima رضي الله تعالي عنها ke Shohar Tasharif laaye To Aap ne Apne kapdo ka Ek hissa Un ke liye bicha diya Aur wah us par Baith gaye
💢📝 Phir aap ki Razai Maa Hazrate BiBi Halima رضي الله تعالي عنها Tasharif Laayi to Aap ne Apne kapdo ka baaki hissa un ke liye bicha diya Phir aap ke Razai Bahai aaye to Aap ne un ko Apne saamne beetha liya Aur Huzoor ﷺ Hazrate Soyba رضي الله تعالي عنها ke pass hamesha kapda Wagairah bhejte rahte the Yah Abu Lahab ki Laundi thi Aur Chand dino tak Huzoor ﷺ ko Unohne Bhi doodh peelaya tha
📚 Shifa Sharif Jild 1 safa 75
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 20
HUSNE MUAASHARAT
💢📝 Aap Apne Liye Makhsus Bistar Nahi Rakhte the Balki Hameha Azwaaje Mutah'haraat ke Bistarohi par Aaraam farmate Aur Apne Pyaar wa Mohabbat se Hamesha Apni Muqaddas Biwiyoon ko khush Rakhte the
💢📝 Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنها Farmati hai ki main Pyaale me paani pee kar Huzoor ﷺ ke jab deti to Aap Pyaale me usi Jagah Apna Labe Mubarak Lagaakar Nosha Farmate Jahaan mere Hoot lage hote Aur Gosht se bhari koyi haddi Apne daantose nooch kar wah haddi Huzoor ﷺ ko deti to Aap Bhi usi jagah se Gosht ko Apne daanto se nocha kar Tanwaul Farmaate jis jagah mera Muah laga hota
📚 Zurkani Jild 4 Safa 269
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd...
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 21
HUSNE MUAASHARAT
💢📝 Aap Rozana Apni Azwaaje Mutah'haraat se Mulakaat Farmate Aur Apni Saahib jaadiyoon ke Gharo par Raunak Afroz ho kar Un ki khabar geeri farmate Aur Apne nawaso Aur Nawaasiyoon ko bhi Apne pyaar wa Shafkat se Baar-Baar Nawaazte Aur sab ki diljuyi wa dildaari farmate Aur Bachho se bhi Guftagu Farma kar unki baat cheet se Apna dil khush karte Aur un ka dil bahlaate
💢📝 Apne Padosiyoon ki bhi khabargeeri Aur unke Saath intehayi karimaana Aur mushfikaana bartaawa farmate Al-Garaj Aap ne Apne tarze Amal Aur Apni seerate Muqaddasa se Aise islami muaashare ki taklim farmayi ki Agar Aaj Duniya Aap ki Seerate mubaraka par Amal karne lage
💢📝 To tamaam dunya me Aman wa sukun Aur Mohabbat wa Rahmat ka dariya Bahane lage Aur saare Aalam se jidaal wa Kataal Aur Nifaak wa Shakaak ki Jahannam bujah jaaye Aur Aalame KAAYANAAT Amal wa Raahat Aur Pyaar Mohabbat ki Bahisht ban jaaye
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 22
HAYAA
💢📝 Huzoor Akdas ﷺ ki Hayaa ke baare me Hazrate Haq ﷻ ka yah Farmaan sab se bada Gawaah hai ki
*Tarjama* be-shaque Tumahri yah baat nabi ko iza pahunchati hai lekin wah tum logo se haya karta hai Aur tum ko kuch nahi kah sakte
💢📝 Aap ki shaane haya ki Tasveer kheechte huye Ek Muaz'zaz Sahabi Hazrate Abu Sayid Khudri رضي الله عنه ne Farmaya ki Aap kuwaari parda-Nasheen Aurat se bhi kahi Jyaada Haya daar the
📚 Zurkani Jild Safa 284 wa Bukhari jild 1 safa 503
💢📝 Isi liye har kabeeh kaul wa fe'al aur har kaabile muzmmat harkaat wa Sakaanat se umr bhar hamesha Aap ka Daamne Asmat Paak wa Saaf hi Raha Aur puri Hayaate Mubaaraka me waqaar wa murawwat ke khilaaf Aapse koyi Amal Sarzad Nahi huwa
💢📝 Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنها Ne Farmaya ki Huzoor ﷺ na Fahush-Kalaam the na Be-Huda goo, Na Baajaro me shoor Machane waale the Burayi ka badla burayi se nahi diya karte the Balki muaaf farma diya karte the Aap yah bhi Farmaya karti thi ki kamaale hayaa ki wajah se main ne kabhi Huzoor ﷺ ko Barhana nahi dekha
📚 Sheefa Sharif Jild 1 Safa 69
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 23
WA'ADA KI PAABANDI
💢📝 Ifa-e-Ahad Aur Wa'ada Ki paanbadi Bhi darakhte Akhlaq Ki Ek Bahut hi Aham Aur Nihayat hi Hari-Bhari Shaakh Hai Is Khususiyat me bhi Rasoole Arabi ﷺ Ka Khulke Azim Be-Misaal Hi Hai Hazrate Abul Hamsa رضي الله عنه Kahte hai ki Aylaane Nabuwat se Pahle Main ne Huzoor ﷺ se kuch saamaan kharida Isi silsile me Aap ki kuch Rakam mere jimme Baaki Rah gayi Main ne Aas se kaha ki Aap Yahi Thaariye main Abhi-Abhi ghar se Rakam Laakar isi jagah Aap ko deta hoon
💢📝 Huzoor ﷺ ne usi jagah Thahre Rahne ka Wa'ada Farmaya Liya magar main ghar me Aakar Apna Wa'ada bhool gaya phir 3 din ke baad Mujeh jab khayaal Aaya to Rakam le kar us jagah par pahuncha to kya dekhta hoon ki Huzoor ﷺ usi jagah thahre huye mera intijaar farma rahe hai
💢📝 Mukeh dekh kar jara bhi Aap ki peshani par Bal nahi Aaya Aur is ke siwa Aap ne Aur kuch nahi Farmaya ki Ay Jawaan tum ne mukeh mushkil me daal diya kyun ke main Apne waade ke mutaabik 3 din se yaha Tumahara Intijaar Kar Raha hoon
📚 Sheefa Sharif Jild 1 safa 74
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 24
ADLL
💢📝 Khuda ke Muqaddas Rasoolullah ﷺ Tamaam jahaan se jyaada Ameen Sab se Badh kar Aadil Aur paakdaaman wa Raastabaaj the Yah wah Roshan hakikat hai ki Aap ke Bade-Bade Dushamano ne bhi iska Ayteraaf kiya
💢📝 Chunanche Aylaane Nabuwat se Kabl Tamaam Ahle Makka Aap ko "Sadikul wa'ad" Aur "Ameen" ke Muaz'zaz Lakab se Yaad karte the
💢📝 Hazrate Rabi'a Bin Khusaima رضي الله عنه Ka bayaan hai ki makka Waalo ka is Baat par Ittifaaq Tha ki Aap A"Ala Darje ke Ameen Aur Aadil hai isiliye Aylaane Nabuwat se Pahle Ahle makka Apne Muqaddamaat Aur jahgdo ka Aap se Faisla Karaya Karte the Aur Aap ke Tamaam Faislo ko intihaayi Ahteraam ke saath Bila Chun wa Chara Talsim kar lete Aur kaha karte the ki yah Ameen ka Faisla Hai
📚 Sheefa Sharif Jild 1 safa 78,79
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd.......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 25
ADLL
💢📝 Huzoor E Akdas ﷺ Kis Kadar Buland Martaba Aadil The Is baare me Bukhari Sharif ki Ek Riwayat Sab se Badkar Shahide Adll Hai Kabila-E-Kuraish ke khandan Bani Makhjum ki Ek Aurat ne Chori ki Islam me chor ki Yah saja Hai ki Isla Daayaan Haanth Pahuncho se Kaat daala jaaye
💢📝 Kabila-E-Kuraish ko is wakiye se Badi Fiqr daamnagir ho gayi ki Agar Hamare kabile ki is Aurat ka haath kaat daala gaya to yah hamari khandaani Sharafat par Aisa Badnuma daag hoga jo kabhi mit na sakega is liye in logo ne yah tay kiya ki Baargahe Risalat me koyi jabardast Shifarish pesh ki jaaye taaki Aap is Aurt ka haath na kaate
💢📝 Chunanche in logo ne Hazrate Usama bin zaid رضي الله عنه ko Jo Nigaahe Nabuwat me intehayi Mahbub the dabaab daal kar is baat ke liye Aamaada kar liya ki wah darbaare Akdas me Sifarish pesh kare
💢📝 Hazrate Usama bin Zaid رضي الله عنه ne Ashrafe Kuraish ke israar se Mut'assir Ho kar Baargaahe Akdas ﷺ me Sifarish Arz kar di Yah sun kar Peshani-E-Nabjwwat par Jalaal ke Aasaar Namudaar ho gaye Aur Aap ne Nihaayat hi Gajabnaak Lahje me Farmaya ki
💢📝 Ki Ay Usama Tu Allah ki Mukarrar ki huyi SajaO me se Ek saja ke baare me Shifarish karta hai ? Phir is ke baad Aap ne Khade ho kar Ek khutba diya Aur is khutbe me irshad farmaya ki
💢📝 Ay logo tum se pahle ke log is wajah se gumrah ho gaye ki jab unme koyi Sharif Chori karta tha to us ko Chhor dete the Aur jab koyi kamjor chori karta to us par Sajaayein kayam karte the khuda ki kasam Agar Muhammad ki beti Fatima bhi chori karegi to Yakinan Muhammad Haath kaat lega ﷺ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 26
WAQAAR
💢📝 Hazrate Kharja Bin Zaid رضي الله عنه Farmaya karte the ki Huzoor ﷺ Apni Majliso me jis Kadar Waqaar ke Saath Raunak-Afroz Rahte the bade se bade Badshaaho ke Darbaar me bhi iski Misaal nahi mil sakti
💢📝 Hazrate Jabir bin Samura رضي الله عنه farmaya karte ki Aap ki majlis hilm wa Hayaa Aur khair wa Maanat ki majlis huwa karti thi Aap ki majlis me kabhi koyi buland Aawaaz se Guftagu nahi kar sakta tha Aur jab aap kalaam farmate the to Tamaam Ahle majlis is tarah sar zhukaye Huye Hamaatan gosh bankar Aap ka Kalaam sunte the ki goya unke saro par chidyaan baithi huyi hai
💢📝 Hazrate Bibi Ayesha رضي الله تعالي عنها irshad farmati hai ki Huzoor ﷺ nihaayat hi waqaar ke Saath is Tarah Tahar-Tahar kar guftagu farmate the ki Agar koyi Shakhas Aap ke jumlo ko geenna chahta to wah geen sakta tha
📚 Sheefa Sharif Jild 1 Safa 80,81
💢📝 Aap ki nashist wa barkhast, Raftaar wa Guftaar, Har Ada me Ek khaas paiygambaraana waqaar paaya jaata tha jisse Aap ki Asmate Nabuwwat ka jaah wa jalaal Aaftaabe Aalam ki Tarah har khaas wa Aam ki najaaro me namudaar rahta tha
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
[20/05, 5:42 am] Asif Raza: Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 42
TIBBE NABAWI
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Ay Allah ke Bando Tum Log Dawayein Istemaal karo Is liye ki Allah Ta'Ala Ne Ek Beemaari ke siwa Tamaam Bimaariyon ke liye Dawa Paida Farmai Hai Logone Arz kiya Ya Rasoolullah ﷺ wah Koun si Beemaari hai jis ki koyi dawa nahi hai ? Aap ne irshad Farmaya wah budhapa hai
📚 Tirmizi Jild 2 Safa 25 Abwabul-Tibb
💢📝 Hazrate Abdullah bin Abbas رضي الله عنه ne Farmaya ki tum log jin-jin Tariko se ilaaj karte ho un me sab se behtar chaar Tarika-E-Ilaaj hai "Sa'Aut" Naak ke zariye dawa chadahna "Ladud" Muh ke kisi Ek jaanib se dawa peelana "Hajaamah" kisi Azw par pachane lagwaakar Khun nikalwa dena "Masshi" Jullab lena
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 43
TIBBE NABAWI
💢📝 Ba'az dawa-E-Khud Huzoor ﷺ Ne Iste'amaal Farmai hai Aur Ba'az Dawao ke Ausaaf Aur Un ke Fawayed se Apni Ummat ko Aagah Farmaya hai Ham Yaha Un me se Tabarrukan Chand Dawao ka zikr Tahrir Karte Hai Taaki Hamari is Mukhatasar kitaab ke Safahaat "Tibbe Nabawi" ke Ahem Baab se Mahroom Na Rah Jaaye
💢📝 *Ismood* ( Surma e Siyaah Asfahaani ) Huzoor E Akram ﷺ ne iske baare me irshad farmaya ki Tum log Ismood ko Iste'amaal me rakho Yah Nigaah ko tez karta hai Aur Palak ke baal Ugaata hai
📚 ibne maaza safa 258 Baabul Kuhul Bil Ismood
💢📝 Hazrate Abdullah bin Abbas رضي الله عنه Ka Bayaan hai ki Huzoor E Aqdas ﷺ ke pass Ek Surmaadaani Thi Jisme Ismood ka Surma Rahta tha Aur Aap Sone se pahle Har Raat 3-3 Salai dono Aankho me lagaya karte the
📚 Shamaile Tirmizi Safa 05
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 44
TIBBE NABAWI
💢📝 *Heena* Yaane Mehndi :- Huzoor ﷺ Ko koyi Funsi Nikalti Ya Kaata Chubh jaata to Aap Us Par Mehndi Rakh diya karte The
📚 ibne Maza Safa 258 Abwabul-Tibb
💢📝 *Al Habbatus Saudaau* Kalonji jisko Shonij bhi kahte hai Aur Ba'az Jagah is ko Magrila bhi kaha jaata hai Huzoor ﷺ ne irshad Farmaya ki is ke Istemaal ko Laajim pakad lo Kyunki is me Maut ke siwa sab beemaariyoon se sheefa hai
📚 Ibne Maaza Safa 254 Abwabul-Tibb wa Bukhari Jild 2 Safa 845
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 45
TIBBE NABAWI
💢📝 *At-Talbeenh* ( Aata, Paani, Shahad, Tel Milaakar Hariraa ki Tarah Banaaya jaata Hai ) Huzoor ﷺ ke Ghar waalo me jab Koyi Shakhs Jaada-Bukhaar me Mubtala hota tha to aap is Ta'Aam ke Tayyar karne ka hukm dete the Aur Farmate the ki Yah khana gamgeen aadmi ke dil ko Takviyat deta hai Aur Beemaar ke dil se Taklif ko is Tarah door kar deta hai jis tarah tum log paani se Apne Chehro ke mail-Kuchail ko door kar deta hai
📚 Ibne maaza 254 Abwabul-Tibb wa Bukhari Jild 2 Safa 849
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 46
TIBBE NABAWI
💢📝 *AL-ASAL* ( Shahad ) Huzoor ﷺ ki Khidmat me Ek Shakhs ne Aakar Sheekayat ki ki Is ke Bhai ko Dast Rahe hai Aap ne Farmaya ki is ko shahad pilao Phir dusari baar Aakar kahne laga ki dast band nahi hote irshad farmaya ki is ko Shahad polao Phir wah teesri baar Aakar khane laga ki dast ka silsila jaari hai Aap ne phir shahad peelane ka hukm diya
💢📝 us ne kaha ki yah ilaaj to main kar chuka Aap ne irshad farmaya ki Allah Ta'Ala Sachha hai Aur tere bhai ka pet zhuta hai Us ko shahad peelao Us ne jaa kar Shahad peelaya to wah sheefaayaab ho gaya
📚 Bukhari Jild 2 Safa 848 Baabud-Dawa Bil Asal
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya ki jo Shakhs har mahine me 3 din Subah ke waqt Shahad Chaat liya kare us ko koyi badi bala na pabunchegi
Aap ne yah bhi farmaya ki do Shafao ko laajim pakdo Ek Shahad Dusri Qur'aan Sharif
📚 Ibne Maaza Safa 255 Baabul-Asal
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 47
TIBBE NABAWI
💢📝 *KHALL* ( Sirqa ) Huzoor ﷺ Ne Farmaya ki Behtarin saalan Sirqa hai Ay Allah Sirqe me barkat ata farma Kyun ke yah Ambiyaan علیہ السلام ka saalam Hai Aur jis ghar me Sirqa hoga wah kabhi mohtaaj nahi hoga
📚 Ibne Maaza safa 246 Baabul aytedaal Bil-khall
💢📝 *zait* ( Rowgne zaitun ) Huzoor E Aqdas ﷺ Ne irshad farmaya ki tum Log Rogne zaitun ko saalan ke taur par istemaal karo Aur is ko badan pe bhi malte raho kyun ke yah mubarak darakhat se nikla huwa hai Aur dusri hadees me yoon waarid huwa ki tum log rowgane zaitun ko khao Aur is ko badan pe lagao kyun ki yah barkat waali cheez hai
📚 Ibne maaza Safa 246 Baabuz Zait
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 48
TIBBE NABAWI
💢📝 *MUSMIMN* ( Badan ko Farba karne waali dawa ) Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنها kahti hai ki meri waalida ne jab Meri Rukhsati ka Irada kiya to mera ilaaz kar ne lagi ki main Jara Frba Badan ho Jaau'n' Magar koyi ilaaz kaar gar nahi huwa magar jab main ne *kakdi Ko Taaja Khajuro* ke saath khana shuru kar diya to main khub barfa badan waali ho gayi
📚 Ibne maaza safa 246
💢📝 *ASHA* ( Raat ka khaana) Huzoor ﷺ Ne Irshad farmaya ki Raat ka khana Tark na karo Kuch na mile To 1 Mutthi Khajur Hi khaa Liya karo Kyunki Raat ka khaana Chhor dene se Jald Budaahpa Aa jaata Hai
📚 Ibne Maaza safa 248
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 49
TIBBE NABAWI
💢📝 *Himyah* ( Mujir Cheezo se Parhej ) Huzoor ﷺ Apne Saath Hazrate Ali رضي الله عنه ko Le kar Hazrate Ummul Munzir Sahabiyaa رضي الله تعالي عنها ke Makaan par Tasharif le gaye Unohne Kachhi-Pakki khajuro ka Ek khosha pesh kiya Aur Huzoor ﷺ is me se khaane lage Hazrate Ali رضي الله عنه ne bhi haath badahya To Aap ne Farmaya Ay Ali Tum Abhi Beemaar se Uthe Ho Aur Nakaahat baaki hai is liye tum isko mat khaao
💢📝 Is ke baad Hazrate Ummul Numazir رضي الله تعالي عنها Ne Jau Aur Chukandar Milaa kar khaana pakaya To Huzoor ﷺ Ne Hazrate Ali رضي الله عنه se Farmaya ki Tum Yah Khaao Yah Tumahare liye Bahut jyaada Mufeed geeza hai
📚 ibne maaza safa 254
💢📝Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Tum log jabardasti kar ke Apne Marizo ko khane-peene par majbur mat kiya karo Allah Ta'Ala Un logo ko Khila-peela diya karta hai
📚 ibne maaza safa 254
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 50
TIBBE NABAWI
💢📝 *Janjabeel* ( Sooth ) Badshahe Room Ne Ek Ghada janjabeel se bhara huwa Aap ke pass Hadayatan bheja tha Aap ne is me se Ek-Ek Tukda Ashaab ko khaane ke liye diya is Riwayat ko Abu Nu'Aim Muhaddees Ne Apni Kitab *Tibbe Nabawi* me bayaan kiya hai
💢📝 *Azwah* Madina Munawwara ki Khajuro me se Ek khajur Ka naam Hai is ke baare me Irshade Nabawai hai ki *Azwah* Jannat se hai Aur wah Junun Ya Jahar se Shifa hai
📚 Ibne maaza Safa 255
💢📝 *Kam'Aat* Jis ko Ba'az Log Kukurmutta Aur Ba'az Log Saanp Ki Chatri Kahte hai Is ke baare me Huzoor ﷺ Ne Farmaya ki Kam'aat *Man* ki misl hai jo Bani israil par naazil huwa tha ( Yaani Jaise Muft ki cheez Aur Bahut hi mufeed cheez thi Aisi hi yah hai ) Aur is ka Akr Aankho ke liye Sheefa hai
📚 Ibne maaza safa 255
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 51
TIBBE NABAWI
💢📝 *Sana* ( Sana E Makki Ek Dawa Hai ) Hazrate Asma Binte Umais رضي الله تعالي عنها Se Huzoor ﷺ Ne Daryaft Farmaya ki Tum Kis Dawa se Jullab leti ho ? To Unohne Arz ki *Shubram* Se Aap ne Farmaya ki Yah to bahut hi garam dawa hai Phir Aap ne un ko sana ka Jullab lene ke liye Hukm farmaya ki Agar maut se sheefa dene waali koyi cheez hai to wah sana hai
📚 Ibne maaja safa 255
💢📝 *Snnaut* Iske Ma'Ani me Shaarehin ne Hadees ka ikhtilaaf hai magar Atibba ne ek Khaas Tafseer ko Tarjeeh di hai Yaani wah Shahad jo geeh ke bartan me rakha gaya ho Aur usme geeh ke kuch Asraat pahunch gaye ho Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya ki tum Log *Sana* Aur *Sannaut* ko Istemaal karte Raho ki in dono me maut ke siwa tamaam Amraaj se sheefa hai
📚 Ibne maaja Safa 255
💢📝 Ba'az Atibba Ne Wajahe Tarjeeh me kaha hai ki Shahad Aur Geeh se Sana ki Islaah Aur Islaah ki I'Aanat ho jaati Hai *Wallahu Ta'Ala Aalam*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part t2
TIBBE NABAWI
💢📝 *Samm* ( *Jahar* ) Hazrate Abu Hurrairah رضي الله عنه ka bayaan hai ki Rasoolullah ﷺ Ne Khabees dawa yaani Jahar se mana farmaya hai
📚 Ibne maaja Safa 255
💢📝 *Ude Hindi* ( Kusti Sheeri ) Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Is Ude Hindi ko Istemaal me laaya karo kyun ki is me 7 sheefayein Hai halak me kawwao ke liye is ko Saut karna chaahiye Aur Nimoniya ke liye iska joshaanda peelana chahiye
📚 Ibne maaja Safa 256
💢📝 *Dawa Akurn-Nisa* Hazrate Anas رضي الله عنه Ne kaha ki main ne Rasoolullah ﷺ Ko Yah Farmate huye suna ki Jungal me Charne waali Bakri me *Surin* ko Gala Kar 3 Tukde kar liye jaayein Aur 3 din Nahaar Muh Ek Tukda khaaye is me "Akurn-Nisa Ki Sheefa hai
📚 Ibne Maaja Safa 256
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 53
TIBBE NABAWI
💢📝 *Haraam Dawayein* Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Allah Ta'Ala Ne Beemari Bhi Utaari Hai Aur dawa Bhi Aur Har Beemaari ki dawa Bana di Hai Lihaaja Tum log dawa karo Magar Haraam Cheez se Dawa-Ilaaj mat karo
💢📝 *Sharaab* Hazrate Suwaid Bin Tarique رضي الله عنه Ne Huzoor ﷺ Se Sharaab ke Baare me Daryaaft kiya to Aap Ne Is ke Iste'Amaal se Mana Farmaya Phir Dobaara pucha to Aap ne Mana Farmaya Teesri Baar Unhone Arz kiya ki Yaa Nabiyyallah Yah To dawa Hai Aap ne Irshad Farmaya ki *Nahi* Yah Beemaari Hai
📚 Abu Dawood Jild 2 Safa 185 Mujtabai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 54
TIBBE NABAWI
💢📝 *Zakhamo Ka Ilaaj* Hazrate Sahal Bin Sa'Ad Saa'Adi رضي الله عنه kahte Hai ki Junge Uhood ke din Huzoor ﷺ Ke Dandaane Mubarak Shaheed Ho gaye Aur Lohe ki Topi Aap ke Sar-e-Aqdas par Tood Daali Gayi To Hazrate Fatima رضي الله تعالي عنها Chehra-E-Anwar se khoon dhoo Rahi thi Aur Hazrate Ali رضي الله عنه Dhaal me paani Rakh Kar Zakham par Baha Rahe The Lekin Jab Khoon Bahne ka silsila Badhta hi Raha To Hazrate Fatima رضي الله تعالي عنها ne Khajur Ki Chatai ka Ek Tukda liya Aur Usko Jalaakar Raakh Bana daali phir usi Raakh ko Zakhamo par Cheepka diya to Khoon Bahna Band Ho Gaya
📚 Ibne Maaja Safa 256
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 55
TIBBE NABAWI
💢📝 *Taaun* ( pleg ) ke Baare Me Huzoor E Aqdas ﷺ ne Farmaya ki Ek Ajaab Hai Jisko Allah Ta'Ala Ne Bani Israil Par Bheja Tha Jab Tum Suno ki Kisi Zameen Me Taaun Fail Gaya Hai To Tum Log Log Us Zameen me daakhil na huwa karo Aur jab Tumahari Zameen me Taaun Aa Jaaye to Tum Us Zameen se Nikal kar na Bhaago
📚 Ibne Maaja Safa 258
💢📝 *Anaadi Tabeeb* Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki jo Shakhas Ilme Tibb Ko Nahi Jaanta Aur Ilaaj Karta Hai To wah ( Marij ko Agar Nuksaan Pahuncha ) Jaamin hai Yaani Us se nuksaan ka Taawaan liya jaaye
📚 Ibne Maaja Safa 256
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 56
TIBBE NABAWI
💢📝 *Bukhaar Ka Ilaaj* Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Bukhar Jahannam ke josh maarne se hai Lihaaj tum log paani se pilaa kar Aur Gusl kara kar thanda karo
📚 Ibne maaja Safa 256
💢📝 *NOTE* Bukhaar ka yah Ilaaj Ek khaas Kism ke Bukhaar ka ilaaj hai jo Arab me hota hai Jisko Atibba Safravi Bukhaar Ya Humma E Naariya ( Loo Lagne ka Bukhaar Kahte hai ) Yah Har Kism ka Ilaaj nahi hai
💢📝 Is liye har kism ke Bukhaaro me Yah Ilaaj kaamyaab nahi ho sakta lihaaja kisi Tabeeb haajik se Achhi Tarah Bukhaar ki Tasha khees kara lene ke baad hi iska ilaaj karana chahiye Wallahu Ta'Ala Aalam
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 57
PAIGAMBARI DUAYEIN
💢📝 Khudawande Kuddus Ke Darbaar me bando ki Dua o ka bahut hi bada daja hai Aur dawa o ki Tarah dua o me bhi Khallak-E-Aalam ﷻ Ne Badi-Badi Khaas-Khaas Tasiraat paida farma di
💢📝 Chunanche Parwardigaar E Aalam Ne Qur'aan Majid Me Baar-Baar Bando ko Duayein Maangne ka hukm diya hai Aur irshad farmaya ki *Ay Bando Tum log mujah se duayein maango Main Tumahari dua o ko kabul karunga*
💢📝 Aur Huzoor E Aqdas ﷺ ne bhi Dua o ki Ahmiyat Aur un ke Fawayed ka Zikr Farmate huye Apni Ummat ko Duayein maangne ki Targeeb dilaayi Aur Farmaya ki *Allah Ta'Ala Ke Darbaar me Dua o se badh kar izzat waali koyi cheez nahi hai*
💢📝 Aur Dua o ki Fazilat Wa Ahmiyat ka ijhaar farmate huye Yaha tak irshad farmaya ki *Dua Ibaadat ka magz hai* Aur yah bhi farmaya *Jo khuda se Dua nahi maamgta Khuda us se naaraaj ho jaata hai*
💢📝 Is Liye *Tibbe Nabawi* ki Tarah Huzoor E Aqdas ﷺ ki Un Chand Dua o ka tazkira bhi ham is kitaab me Tahrir karte hai jo Aap ke Ma'Mulaat me rahi hai Aur jis ki fazaile ws fawaaed se Aap ne Apni Ummat ko Aagah farma kar un ke wird ka hukm farmaya hai taaki Seerate nabawi ke is Muqaddas baab se bhi yah Kitaab musharraf ho jaaye Aur Musalman un Dua o ka wird kar ke Dunya wa Aakhirat ke Be-Shumaar Munaafe'a qa Fawaayed se Maal-Maal hote Rahe
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 58
HAR BALA SE NAJA'AT
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya ki jo Shakhs Subah wa sham ko 3 martaba Yah dua pade to Us ko Dunya ki koyi Cheez Nuksan Nahi Pahunchaegi
BismillahilL Laji La Ya-Zurru Ma-As-Mihi Shaiun Fil-Arzi wala fis-Samaai wa Huwas samiul Alim
📚 Tirmizi jild 2 Safa 173
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 59
SOTE WAQT KI DUA
💢📝 Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Jo Shakhs Beechone par Yah Dua 3 Martaba padh kar Soyega to Allah Ta'Ala us ke tamaam Gunaho ko Baksh dega Agarche Uske Gunaah Darakhato ke patto Aur Teelo ki Ret ki Ta'adad Me Ho
As-tag-Firullahal-laji Laa ilaaha illa huwal'Hayyul kayyum wa Atubu ilaihi
💢📝 Huzoor E Akram ﷺ Sote waqt Yah dua padah karte the *Allahumma bis mika Amutu wa Ah-yaa* Aur jab Neend se bedaar hote to yah dua padahte the
Alhamdu Lillahil-Laji Ahyaa Nafsi Ma Amaa-Taha wa Ilaihin-Nushur
📚 Tirmizi Jild 2 Safa 177
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 60
RAAT ME JAAGE TO KYA PADEH
💢📝 Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya ki jo Shakhs Raat me Neend se be-daar Ho to Yoon dua padeh phir is kw baad jo dua maange wah makbool hogi Aur wazu karke jo Namaaz padega wah Namaaz bhi Makbool Ho jaayegi
Laa Ilaha Illallahu wah-dahu la sharikalah lahul mulku wa lahul hamdu wahuwaa Ala Kulli Shaiyin Qadir wa Subhanallahi wal-Hamdu Lillahil waa Ilaaha Ilallahu wallahu Akbaru wala howla wala kuwwata illa billahi
📚 Tirmizi Jild 2 safa 177
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 61
GHAR SE NIKAL NE KI DUA
💢📝 Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ki Jo Shakhs Apne Ghar Se Baahar Nikalte waqt Yah Dua Pad Le To Uski Mushkilaat Door Ho Jaayeingi Aur wah Dushamano se Mahfuj Rahega Aur Shaitan Us se Alag Hat Jaayega
Bismillahi Tawakkaltu Alal-Laahi Laa Howla wala Kuwwataa Illa Billaah
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
62
BAAZAAR ME DAAKHIL HO TO YAH PADE
💢📝 Irshade Nabawi Hai ki Jo Shakhs Bazaar me daakhil hote waqt in kalimaat ko pad le to Khudawand Ta'Ala 10 Laakh Nekiyaan Us ke Naama-E-Aamaal me Likhne ka hukm Farmayega Aur Us ke 10 Laakh Gunaaho ko mita dega Aur us kw 10 Laakh Darje Buland Farmayega
Laa Ilaha Illallahu Wah-Dahu Laa Shari-Ka-Lahu Lahul Mulku Wa Lahul Hamdu Youh-yee wa Youmitu wa huwaa Hayyul Laa Yamutu Bee-Yadihil Khairu wa Huwa Alaa Kulli Shaiyin Kadir
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd.....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 63
DUA E SAFAR
💢📝 Hazrate Abdullah bin Sarjis رضي الله عنه ka Byaan Hai ki Huzoor ﷺ Jab Safar Ke Liye Rawana hote to Yah Dua padte the
Allahumma Antas Saahibu Fis Safari Wa Khali Fatu Fil Ahli Allahumma As-Habna fee Safarina wakh Lufna fee Ahlina Allahumma inni Auju beeka Miw Wa'a-sa-is safari wa ka-Aa-Batil Mun-ka-Labi wa Minal Hauri Ba'Adal Kauri
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 64
SAFR SE AANE KI DUA
💢📝 Huzoor ﷺ Jab Safar Se Laut kar Apne Kashana E Nabuwwat Par Madina Tasharif Laate To Yah Dua padhte the
Aa-ibuna Taa-Ibuna Aabidunaa Lee-Rabbinaa Haamidun
*MANJIL PAR IS DUA KA WIRD KARE*
💢📝 Rahmatullil Aalamin ﷺ Ka Farman Hai ki Jo Shakhs Safar Me Kisi Jagah padaab kare Aur Yah dua Padte To Usko Us jagah kisi Kism ka Nuksan Nahi Pahunchega
Auj bee-kalima-Tillahit taammaati min Sharri Maa Khalka
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
PART 65
BECHAINI KE WAQT KI DUA
💢📝 Hazrate Abdullah bin Abbas رضي الله عنه Farmate Hai Ki Huzoor ﷺ Ko jab Koyi Bechaini Aur Pareshaani Laahik huwa karti thi to us waqt Aap is dua la wird farmate the
Laa Ilaha illallahu halimul hakeem laa ilaha illallahu Rabbul Arshil Azim Laa ilaha illallahu Rabbus Sa-Maawaat Wal Ar-zee Rabbul Ar-shil karim
📚 Tirmizi jild 2 Safa 181
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
Contd......
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 66
KISI MUSIBAT-ZADA KO DEKH KAR YAH PADEH
💢📝 Huzoor Sarwar E Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya ki jo Shakhs Kisi Bala me Mubtala Hone waale Ko dekhe ( Beemaar Ya Musibat-Zada Ko ) To Yah Dua Padle to Tamaam Umr wah Us Bala ( Beemaari Ya Musibat ) Se Bacha Rahega
Alhamdu Lillahil Lazee Aafaani Mimmab-Talaaka wa Faz-za-la-ni Alaa Kasirim Mimman Khalak Taf-zeelaa
📚 Tirmizi Jils 2 safa 181
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 67
KISI KO RUKHSAT KARNE KI DUA
💢📝 Huzoor ﷺ Jab kisi Insan ko RuKhsat Farmate the To Yah Kalimaat Jabaane Mubarak se Irshad Farmate the
اَسْتَوْدِعُ اللّٰهَ دِيْنَكَ وَاَمَانَتِك وَخَوَاتِمَ عَمَلِك
KHANA KHAA KAR KYA PADEH ?
💢📝 Hazrate Abu Umaama رضي الله عنه Kahte Hai ki Huzoor E Aqdas ﷺ ke saamne se jab dastarkhwaan Uthaya jaata tha to Aap Yah Dua padhte the
اَلْحَمْدُلِلّٰهِ حَمْدًا كَثِيْرًاطَيِّبًامُّبَارَكًافِيْهِ غَيْرَمُوَدَّعٍ وَّلَامُسْتَغْنٰي عَنْهُ رَبَّنَا
📚 Tirmizi Jild 2 Safa 183
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 68
Huzoor E Aqdas ﷺ Jab Aandhi Chalti To Yah Dua padhte
اَللّٰهُمَّ اِنّيْ اَسْئَلُكَ مِنْ خَيْرِهَاوَخَيْرِمَافِيهَاوَ خَيرِمَااُرْسِلتْ بِهٖ وَاَعُوْذُبِكَ مِنْ شَرِّهَاوَشَرِّماَفِيْهَاوَشَرِّمَا اُرْسِلْتُ بِهٖ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
✍ Join Our WhatsApp Group
*👑Maslak E Aala Hazrat Group*
*📲9920098723*
*🌎Maslak E Aala Hazrat Network :-* http://www.maslake-e-aala-hazrat.blogspot.com
[23/06, 11:59 pm] Asif Raza: Contd....
SEERATUL MUSTAFA ﷺ
BAAB 18
Part 68
JANNAT KA KHAZAANA
💢📝 Hazrate Abdullah Bin Kais رضي الله عنه Ka Byaan hai ki mujah Se Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ki kya Main teri Rahnumai Aise Kilime Par Na Karu Jo Jannat ke khazaano Me Se Hai Main se Hai Main ne Arz ki Ya Rasoolullah ﷺ Wah koun sa kalima Hai ? TO irshad farmaya ki wah kalima
LAA HAWALAA WALAA KUWWATA ILLABILLAHI
📚 Muslim Jild 2 Safa 351
🔴 END OF BAAB 18
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
_To be Continued.....In Sha ALLAH ﷻ_
✍ Join Our WhatsApp Group
*👑Maslak E Aala Hazrat Group*
*📲9920098723*
*🌎Maslak E Aala Hazrat Network :-*
http://www.maslake-e-aala-hazrat.blogspot.com
Kya kisi ka Qur'an ka makharij sahi ho par dadhi na ho woh namaz ke masail bhi janta ho aur uska aqeeda bhi durust ho to. Uske pichhe namaz padh sakte hain majburi me
ReplyDeleteCustom titanium headers | TITIAN ARTICALS
ReplyDeleteCustom titanium headers by TITIAN ARTICALS. Designed with micro touch hair trimmer premium craftsmanship. Titian titanium earrings hoops ARTICALS. Enjoy ford escape titanium our classic t fal titanium pan artistry and edc titanium craftsmanship with
p298t3vjogz654 vibrating dildos,horse dildo,masturbators,g-spot dildos,realistic dildos,vibrators,fantasy toys,dildos,dog dildo p461l4lksef023
ReplyDelete